Saturday, August 6, 2011

Darman-e-Gham-e-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya

Darman-e-Gham-e-Hijar Agar Ho To Mujhy Kya,
Tumhain Ab Meri Khaber Ho To Mujhy Kya?
Jab Ho Gai Gam Sy Meri Dunya Teh-o-Bala,
Ab Ek Jahan Zair-o-Zabar Ho To Mujhy Kya
Jab Khaaq Bhi Baqi Na Rahi Qalb-o-Jigar Ki,
Ab Koi Mere Liye Khaaq Basar Ho To Mujhy Kya?
Han Ab DiL-e-Veraa’n Me Ujala Nahi Hota,
Tum Gherat-e-Khursheed-o-Qamar Ho To Mujhy Kya?
Aur Hy Ab Meri Dunya Me Sarasar Shab-e-Furqat,
Ab Is Shab-e-Furqat Ki Sehar Ho Tu Mujhy Kya?
Achha Hy Bin iffi K Guzar Jaye Kisi Ki,
Aur Phir Bhi Kisi Ki Na Guzar Ho Tu Mujhy Kya…

No comments:

Post a Comment

StatCounter