Friday, August 5, 2011

Sau Baar Chaman Mehka Sau Baar Bahaar Ayi

Sau Baar Chaman Mehka Sau Baar Bahaar Ayi
Dunya Ki Wohi Ronaq Dil Ki Wohi Tanhaayi

Ek Lehaz Bahe Aansu Ek Lehaz Hansi Ayi
Seekhey Hen Naye Dil Ne Andaaz E Shakeebayi

Ye Raat Ki Khamoshi Ye Aalam E Tanhayi
Phir Dard Utha Dil Main Phir Yaad Teri Ayi

Har Dard E Muhabbat Se Uljha Hai Gham E Hasti
Kya Kya Hamen Yaad Aaya Jab Yaad Teri Ayi 

Dekhey Hain Bohot Hum Ne Hangame Mohabbat Ke
Aaghaaz B Ruswaai Anjaam B Ruswaai

Dunia Hi Faqat Meri Haalat Pe Nahi Chonki
Kuch Teri B Ankhon Main Halki Si Chamak Ayi

Auron Ki Mohabbat K Dohraaye Hain Afsaane
Baat Apni Mohabbat Ki Honton Pe Nahi Ayi

Aankhon Ne Sameite Hain Nazron Main Tere Jalwe
Phir B Dil E Muztar Ne Taskeen Nahi Payi

Ye Bazm E Mohabbat Hai Is Bazm E Mohabbat Main
Deewaane B Shedaayi Farzaane B Shedaayi..X..

(Sufi Ghulam Mustafa Tabassum)

No comments:

Post a Comment

StatCounter