Friday, September 30, 2011

Bikne Se To Shayed Mujhe Inkar Nai Tha

Bikne Se To Shayed Mujhe Inkar Nai Tha,
Ye Bat Alag K Koi Kharidar Nai Tha,

Samjhata Usay Farq Main Kaya Zulm O Wafa Main,
Jub Us Ki Nazar Main Koi Maayar Nai Tha,

Hr Ghont Gham E Dil Ka Piya Main Ne Akely,
Acha Howa Koi Mera Gham Khar Nai Tha,

Ilzam Meri Zat Pe Sub Us Ne Lagaye,
Jis Shakhs Ka Apna Koi Kirdar Nai Tha,

Kahin Logo Ki Khata B Na Ho Shamil ,
Main Itni Sazaon Ka To Haqdar Nai Tha.

Lab Pe Ati Hai Dua Ban K Tamnna Meri

Lab Pe Ati Hai Dua Ban K Tamnna Meri
Zindagi Shamma Ki Surat Ho Khudaya Meri

Dur Duniya Ka Mere Dam Andhera No Jaye
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye

Ho Mere Dam Se Yun Hi Mere Watan Ki Zinat
Jis Tarah Phul Se Hoti Hai Chaman Ki Zinat

Zindagi Ho Meri Parwane Ki Surat Ya Rab
Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhko Mohabbat Ya Rab

Ho Mera Kam Garibon Ki Himayat Karna
Dard-Mandon Se Zaifon Se Mohabbat Karna

Mere Allah Burai Se Bachana Mujhko
Neik Jo Rah Ho Us Rah Pe Chalana Mujhko

Bahar Rut Main Ujar Raste

Bahar Rut Main Ujar Raste 
Dekha Karo Gy To Ro Paro Gy
Kisi Ko Milne Ko Jab Bhi Mohsin
Saja Karo Gy To Ro Paro Gay
Tumhare Wadon Ne Yar Mujh Ko
Tabah Kia Hay Kuch Is Tarah Se
Ke Zindagi Main Jo Phir Kisi Se
Dagha Karo Gay To Ro Paro Gay
Main Janta Hun Meri Mohabbat
Ujar De Gi Tumhain Bhi Aesay
Keh Chand Raton Main Ab Kisi
Se Mila Karo Gy To Ro Paro Gay
Barasti Barish Main Yad Rakhna
Tumhain Satain Gi Meri Aankhen
Kisi Wali Ke Mazar Pe Jab
Dua Karo Gy To Ro Paro Gay

Thursday, September 29, 2011

Mujh Se Poocha Kisi Ne Dil Ka Matlab

Mujh Se Poocha Kisi Ne Dil Ka Matlab
Main Ne Hans K Keh Diya Thikana Us Ka
Us Ne Poocha Suhani Shaam Kisy Kehty Hain
Main Ne Keh Diya Satana Us Ka
Us Ne Poocha Batao Ye Qayamat Kya Hy?
Main Ne Ghabra K Keh Diya Rooth Jana Us Ka
Mout Kehty Hain Kisy Jo Kisi Ne Mujh Sy Poocha To
Main Ne Aankhein Ponochh Kr Kaha Chhor Jana Us Ka.

Zauq-E-Sitam Janoon Ki Hadon Se Guzar Gayaa

Zauq-E-Sitam Janoon Ki Hadon Se Guzar Gayaa
Kam-Zarf Zindaa Rah Gaye, Insaan Mar Gayaa

Gham Khaanaa-E-Jahaan Men Kise Jurrat-E-Qayaam
Meraa Hi Hausla Thaa, Do Din Thehar Gayaa

Hai Shiddat-E-Khuloos Ek Zurm-E-Aashiquii
Parwaana Jal Ke Shamma Ko Badnaam Kar Gayaa

Baithe Hain Aaj Aaiinaa Le Ke Wo
Ab Jaaniye Ke Nazm-E-Do Aalam Sanwar Gayaa

Lillah ! Aap Mujhse Muhabbat Na Keejiye
Do Roz Hi Men Aapkaa Chehraa Utar Gayaa

Pehle Tau Zindagii Kee Tamanna Thii Ishq Mein
Ab Dhuundhtaa Hun Main, Meraa Qaatil Kidhar Gayaa

Rah Kar Tilism-E-Khaana-E-Hastii Mein Ai Shakeel
Tau Main Khud Apne Hi Saaye Se Darr Gayaa.

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai K Tum Ho

Jis Simt Bhi Dekhoon Nazar Aata Hai K Tum Ho 
Ae Jaan-E-Jahaan Ye Koi Tum Saa Hai K Tum Ho 

Yeh Khwaab Hai, Khushboo Hai, K Jhonka Hai, K Pal Hai 
Yeh Dhund Hai, Baadal Hai, K Saayaa Hai, K Tum Ho 

Is Deed Ki Saa'at Main Kaiiy Rang Hain Larzaan 
Mein Hoon Ke Koi Aur Hai Duniya Hai Ke Tum Ho 

Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhain Hain K Meri 
Dekhoon Yeh Kisi Aur Ka Chehra Hai K Tum Ho 

Yeh Umr-E-Gurezaan Kahin Tahre To Yeh Jaanoon 
Har Saans Main Mujh Ko Yeh Lagta Hai K Tum Ho 

Har Bazm Main Mauzoo-E-Sukhan Dil Zadgaan Ka 
Ab Kaun Hai Shireen Hai Ke Laila Hai K Tum Ho 

Ik Dard Ka Phaila Hua Sahara Hai K Main Hoon 
Ik Mauj Main Aaya Hua Dariya Hai K Tum Ho 

Woh Waqt Na Aaye K Dil-E-Zaar Bhi Sochy 
Is Shehar Main Tanha Koi Hum Sa Hai K Tum Ho 

Ae Jaan-E-Faraz Itni Bhi Taufeeq Kisse Thi 
Hum Ko Ghum-E-Hasti Bhi Gawaara Hai K Tum Ho

Ahmed Faraz

Sach Kahon Ga To Saza Dain Gy Tery Shehr K Log

Sach Kahon Ga To Saza Dain Gy Tery Shehr K Log..
Mujko Sooli Pr Charha Dain Gy Tery Shehr K Log..

Baton Baton Mein Tera Zikr Krain Gy Mujh Sy..
Yun Zakhmon Ko Hawa Dain Gy Tery Shehr K Log..

Aik Diwar Gira Doon Bhi To Aye Jan E Ghazal..
Nai Diwar Utha Dain Gy Tery Shehr K Log..

Main Ny Sadion Mein Hunsny Ka Saliqa Sikha..
Kiya Khabar Thi Rula Dain Gy Tery Shehr K Log..

Main To Shama Hoon Meri Umar Hi Kiya Hai..
Subha Hoty Hi Bujha Dain Gy Tery Shehr K Log.

Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein

Jinhen Main Dhundhta Tha Asmanon Mein Zaminon Mein
Wo Nikle Mere Zulmat-E-Khana-E-Dil K Makinon Mein

Mahine Wasl K Ghariyon Ki Surat Urte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzarti Hai Mahinon Mein

Mujhe Rokega Tu Ai Nakhuda Kya Garq Hone Se
K Jin Ko Dubna Hai Dub Jate Hain Safinon Mein

Jala Sakti Hai Sham-E-Kushta Ko Mauj-E-Nafas Un Ki
Ilahi Kya Chupa Hota Hai Ahal-E-Dil K Sinon Mein

Tamanna Dard-E-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqiron Ki
Nahin Milta Ye Gauhar Badshahon K Khazinon Mein

Muhabbat K Liye Dil Dhundh Koi Tutnewala
Ye Wo Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abginon Mein

Bura Samajhun Unhen Mujh Se To Aisa Ho Nahin Sakta
K Main Khud Bhi To Hun "Iqbal" Apne Nuktachinon Mein

Terey Badan Se Chura Kar Mehek Hawa Daigee

Terey Badan Se Chura Kar Mehek Hawa Daigee
Zakham Ko Rang Hara, Shokhi E Saba Daigee,

Mujhe Yaqee’n Hai K Jab Mera Tazkara Hoga
Wo Kuch Kahe Na Kahe Aankh Muskura Daigee,

Ye Merey Shair Teri Yaad Aashna Hongey
Meri Ghazal Bhi Terey Dard Ka Pata Daigee,

Mujhey Khabar Thii Kaha’n Uski Sogawaar Aankhain
Bujhe Se Dil Mai Mohabbat Ko Phir Jaga Daigee,

Terey Khayal Ki Khushboo Aur Uski Pyari Mehak
Mujhe Ye Darr Hai K Shayar Mujhe Bana Daigee,

Chhupana Pyar Teri Jaa’n Ko, Jaan Kya Aaye
Zuban O Dil Na Kahey, Aankh Hii Bata Daigee

Kuch Panchhi Qataar Mein Urrtay Hon

Kuch Panchhi Qtaar Mein Urrtay Hon,
Kuch Rasta Kathan Ho Wese B,
Kuch Door Ufaq Pe Manzil Ho,
Ik Panchhi Ghayal Ho Jaye,
Aor Be-Dam Ho Kr Gir Jaye,
To Rishtay, Natay, Pyaray Sabhi,
Kab Is Ki Khatir Ruktay Hain,
Is Duniya Ki Hai Reet Yehi,
Jo Saath Chalo To Saath Bohat,
Jo Ruk Jao To Tanha Ho .

Halat Ke Panjon Mein Giraftar Musalsil

Halat Ke Panjon Mein Giraftar Musalsil
Jee Apna Raha Khud Say Bezaar Musalsil

Es Shaher May Jab Jab Bhi Koi Jurm Hua Hay 
Hum Loag Hi Tehray Hain Sazawar Musalsil

Jesy Meri Ankhain Hain Roi Hijr May Teray
Yun Roya Na Koi Bhi Meray Yaar Musalsil

Izhaar May Humnay Tu Koi Farq Na Chora
Us Taraf Se Huta Raha Inkaar Musalsil

Ae Umer Bata Phr Tujhay Kaisay Guzaroun?
Khadshaat Se Rahtay Huye Do Char Musalsil

Aafat Ki Shokhiyaan Hain Tumhari Nigaah Main

Aafat Ki Shokhiyaan Hain Tumhari Nigaah Main
Mehshar Ke Fitne Khelte Hain Jalwa-Gaah Main

Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain
Main Shaad Hoon Ke Hoon To Kisi Ki Nigaah Main

Aati Baat Baat Mujhe Yaad Baar Baar
Kahta Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Main

Is Taubaah Par Hai Naaz Mujhe Zaahid Is Qadar
Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Main

Mushtaaq Is Adaa Ke Bahut Dard-Mand The
Ae Daag Tum To Baith Gaye Ek Aah Main

Monday, September 26, 2011

Bikhar Rahi Hai Mere Zaat Usay Kehna

Bikhar Rhe Hai Mere Zaat Usay Kehna
Kahein Melay Tu Ye Baat Usay Kehna

Usay Kehna K Bin Us K Din Nahi Kat Taa
Sisak Sisak K Kat Tee Hai Raat Usay Kehna

Wo Jis Ko Sun K Palat Aiye Mere Duniya Me
Hawaoo Aesi Koi Baat Usay Kehna

Agr Wo Phir B Na Lotay Tu Ay Mehraban Qasid
Hamari Zeest K Hallat Usay Kehna

Main Apni Har Jeet Uskay Naam Kar Rhi Ho.
Mai Manti Ho Apni Haar Usay Kehna...!!!

Lai Hayat Aye Qaza Le Chali Chale

Lai Hayat Aye Qaza Le Chali Chale 
Na Apni Khushi Aye Na Apni Khushi Chale

Behatar Tu Hai Yahi Ke Na Duniya Se Dil Lage 
Par Kya Karen Jo Kam Na Bedillagi Chale

Ho Umr E Khizr Bhi Tu Kahenge Bavaqt E Marg 
Ham Kya Rahe Yahan Abhi Aye Abhi Chale

Duniya Ne Kis Ka Rah E Fana Men Diya Hai Sath 
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale

Nazan Na Ho Khirad Pe Jo Hona Hai Wo Hi Ho 
Danish Teri Na Kuch Meri Danishvari Chale

Kam Honge Is Bisat Pe Ham Jaise Badqimar 
Jo Chal Ham Chale Wo Nihayat Buri Chale

Ja Ki Hava E Shauq Men Hain Is Chaman Se `Zauq` 
Apni Bala Se Bad E Saba Kahin Chale

(Sheikh Ibrahim Zaoq)

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lage

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lage..
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lage..

Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhul Jao Mujye..
Tumhe Bhulane Mein Shayad Mujye Zamana Lage..

Humare Pyaar Se Jalne Laggi Hai Eik Duniya..
Duwa Karro Kissi Dushman Ki Bad Duwa Na Lage..

Main Eik Shaam Chura Loon Agar Burra Na Lage..
Tumhare Shaher Ka Mausam Barra Suhana Lage..

Jo Dub Na Hai To Itne Sakoon Se Dubbo..
Ke Ass Paas Ki Lehroon Ko Bhi Pata Na Lage..

Kuch Is Aadha Se Mere Saath Bewafai Kar..
Ke Tere Baad Mujye Koi Bewafa Na Lage..

Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Muhabbat Mar Chuki Ab To,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon,

Badalti Ratt Ki Wajah Se, Zra Bojhal Tabiyat Hay
Yun Mera Haal Mat Poocho,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon,

Mery Lehjay Pa Mat Chonko,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Yun Hairat Se Na Dekho Tm,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon,

Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin
Aey Meri Neend Ki Pariyoon,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon,

Udasi Saray Ghar Mein Pahilti Jati Hay Gham Ban Kar
Dar O Deewar Pe Likh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Be Khud Kiye Detey Hain Andaz Hijabana

Be-Khud Kiye Detey He'n!! Andaaz Hijabaana.. 
Aa Dil Me'n Tujhey Rakh L0o'n!! Aey Jalwa-E-Janaana. 

Manzil Merey Maqsad Ki!! Kaaba Hey Na Butt'khaana.. 
In D0n0o Sey Aagay Chal!! Aey Himmat-E-Mardaana. 

Jaana Terey Milney Ki!! Tadbeer Ye S0ochi Hey. 
Hum Dil Me'n Bana Le'n Gey!! Chh0ota Sa Sanam'khaana. 

Me'n H0osh-Hawas Apney!! Is Baat Pey Kh0o Betha. 
Tu Ney J0o Kaha Hans Ker!! Aaya Mera Deewaana. 

Saaqi K0o Dikha D00'n Ga!! Ye Haal Faqeeraana.. 
T0oti H0yi B0ottle Hey!! T0ota Huwa Paimaana., 

Ky0o'n Aankh Milaayi Thi!! Ky0o'n Aag Lagaayi Thi.
Ab Rukh K0o Chhupa Bethey!! Kar Ke Mujhey Deewaana. 

Aey Gham Meri Qismat Me'n!! Sajdey He'n Isi Dar Key. 
Chh0ota Hey Na Chh0oty Ga!! Sang-E-Dar-E-May\'Khaana.

Jee Chaahta Hey D0o Aankhe'n!! Tujhey T0hfey Main Dey D0o'n Me'n.. 
Darshan Ka T0u Darshan H0o!! Nazraaney Ka Nazraana.. 

Dhoop Ke Sath Gaya Sath Nibhane Wala

Dhoop Ke Sath Gaya Sath Nibhane Wala
Ab Kahan Ayega Wo Laut Ke Aane Wala

Ret Par Chhod Gaya Naqsh Hazaron Apne
Kisi Pagal Ki Tarah Naqsh Mitane Wala

Sabz Shakhen Kabhi Aise To Nahin Cheekhati Hain
Kaun Aaya Hai Parindon Ko Darane Wala

Ariz-E-Sham Ki Surkhi Ne Kiya Fash Use
Parda-E-Abr Mein Tha Aag Lagane Wala

Safar-E-Shab Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho
Dasht Pur Houl Hai Toofan Hai Aane Wala

Mujh Ko Dar Parda Sunata Raha Qissa Apna
Agale Waqton Ki Hikayat Sunane Wala

Shabnami Ghas Ghanne Phool Larazti Kiranein
Kaun Aaya Hai Khazaon Ko Lutane Wala

Ab To Aaram Karein Sochtii Aankhein Meri
Raat Ka Akhiri Tara Bhi Hai Jane Wala

Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Ham Hain

Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Ham Hain 
Rukh Hawaon Ka Jidhar Kaa Hai Udhar Ke Ham Hain

Pehle Har Chez Thi Apni Magar Ab Lagata Hai 
Apne Hi Ghar Mein Kisi Dosare Ghar Ke Ham Hain

Waqt Ke Sath Hai Mitti Ka Safar Sadiyon Tak 
Kis Ko Malom Kahan Ke Hain Kidhar Ke Ham Hain

Chalte Rahte Hain Ke Chalna Hai Musafir Kaa Naseeb 
Sochate Rahte Hain Ke Kis Rahguzar Ke Ham Hain

Gintiyon Mein Hi Gine Jate Hain Har Daor Mein Ham 
Har Qalamkar Ki Benam Khabar Ke Ham Hain

Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaro

Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaro 
Ke Main Zamin Ke Rishton Se Kat Gaya Yaro 

Wo Be-Khayal Musaafir Main Rastaa Yaro 
Kahaan Thaa Bas Mein Mere Us Ko Rokana Yaro 

Mere Qalam Pe Zamane Ki Gard Aisi Thi 
Ke Apne Barey Mein Kuchh Bhi Na Likh Saka Yaro 

Tamam Shahar Hi Jis Ki Talash Mein Gum Tha 
Main Us Ke Ghar Ka Pata Kis Se Pochhta Yaro

Apane Har Har Lafz Ka Khud Aainaa Ho Jaonga

Apane Har Har Lafz Ka Khud Aainaa Ho Jaonga
Us Ko Chhotaa Kah Ke Mai.N Kaise Ba.Daa Ho Jaonga 

Tum Girane Mein Lage The Tum Ne Socha Hi Nahin 
Mein Gira To Masala Ban Kar Kharra Ho Jaonga 

Mujh Ko Chalane Do Akela Hai Abhi Mera Safar 
Rasta Roka Gaya To Qafila Ho Jaonga 

Sari Duniya Ki Nazar Mein Hai Mera Ahad-E-Wafa
Ek Tere Kahane Se Kya Mein Bewafaa Ho Jaonga...

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal

Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !

Pehele Haq Tha Teri Chahat K Chaman Per Mera !
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Per Mera !

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi !
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi !

Ab Kisi Or K Shano Pe Hai Tera Aanchal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ……. !

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaon Kaise ?
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaon Kaise ?

Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushbu Shaiyad !
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi TU Shaiyad !

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal …… !

Mujh Se Kehtein Hein Ye Khamosh Nigahein Teri !
Meri Parvaaz Se Oonchi Hein Pnaahein Teri !

Or Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hun !
Ab Kisi Or Ki Bahon Mein Hein Bahein Teri !

Ab Kahaan Mera Thikana Hai Kahaan Tera Mehal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal 

Shikasta Aienoo Ki Kirchiyan Achi Nahi Lagti

Shikasta Aienoo Ki Kirchiyan Achi Nahi Lagti
Mujhay Wadoon Ki Khali Sipyan Achi Nahi Lagti

Guzishta Ruut Kay Rangoon Ka Asar Dekho Kay Ub Mujhe Ko
Khulay Angan Main Urrti Titliyan Achi Nahi Lagti

Woh Kiya Ujra Nagar Tha Jis Ki Chahat Kay Sabab Ub Tak
Hari Beloon Say Uljhi Tehniyan Achi Nahi Lagti

Dabay Paoon Hawa Jin Kay Chiraghoon Say Bhelti Ho
Mujhay Aisay Gharoon Ki Khirkiyan Achi Nahi Lagti

Bhalay Lagtay Hain Toufanoo Say Lartay Baadbaan Mujhe Ko
Hawa Kay Rukh Par Chalti Kashtiyan Achi Nahi Lagti

Yeh Khe Kar Ajj Uss Say Bhi Talouk Toor Aya Hoon
Meri Jaan Mujhay Ziddi Larkiyan Achi Nahi Lagti

Kahtan Hai Rah Guzar Kitni

Kahtan Hai Rah Guzar Kitni
Safar Dushwar Kitna Hai...

Kabhi Manzil Nahi Milti...
Kabhi Rasta Nahi Milta....

Hamary Sath Chal PAYE....
Koi Aesa Nahi Milta.......

Faqat Aesy Guzaron To.....
Ye Roz-O- Shab Nahi Kat Tay...

Ye Kat Tay Thy Kabhi Pehly...
Magar Haan Ub Nahi Kat Tay...

Mery Malik Mujhy Phir Bhi.
Koi Shikwa Nahi Tujh Say...

Main Jaan Per Khail Sakta Hoon
Main Har Gham Jhel Sakta Hoon...

Agar Tu Aaj Hi Kar Day........
Muhhabat Hamsafar Meri.......

Ajeeb Shakhs Tha Har Ek Se Pyar Mangta Tha

Ajeeb Shaks Tha Har Ek Se Pyar Mangta Tha 
Jahan Na Dard Ho Esa Diyar Mangta Tha 

Jo Maangta Tha, Woh Dena Meri Bisat Na Thi 
Woh Meri Rooh Ka Mujhse Qarar Mangta Tha 

Usay Garz Thi Na Gulon Se Na Bulbulon Se 
Wo Fasl-E-Ranj Mai Fasl-E-Bahar Mangta Tha 

Usay Talab Thi Koi Toot Kar Usay Chahay 
Wo Hath Jor Ke Ulfat Ka Izhaar Mangta Tha 

Mere Khuloos Pe Shayad Tha Shak Usay 
Wafa Ki Raah Main Woh Aitbaar Mangta Tha

Saturday, September 24, 2011

Yaadon Ko Bhulane Main Kuch Dair To Lagti Hai

Yaadon Ko Bhulane Main Kuch Dair To Lagti Hai,
Ankhon Ko Sulany Main Kuch Dair To Lagti Hai,

Kisi Shakhs Ko Bhula Dena Itna Aasan Nahi Hota,
Dil Ko Samjhany Main Kuch Dair To Lagti Hai,

Bhari Mhafil Main Jab Koi Achanak Yaad Aa Jay,
Phir Ashaq Chupany Main Kuch Dair To Lagti Hai,

Jo Shakhs Jaan Se B Pyara Ho Achanak Door Ho Jay,
Dil Ko Yaqeen Dilany Main Kuch Dair To Lagti Hai.

Bara Dushwaar Hota Hai

Bara Dushwaar Hota Hai
Zara Sa Faisla Karna
K Jeevan Ki Kahaani Ko Biyaan E Be-Zubaani Ko
Kahaan Se Yaad Rakhna, Kahaan Se Bhool Jana Hai
Ussay Kitna Batana Hai,Ussay Kitna Chupana Hai
Kahaan Ro Ro K Hansna Hai
Kahaan Hans Hans K Rona Hai
Uss Anchal K Kisi Konay Ko Kitna Bhigona Hai
Kahaan Awaaz Deni Hai
Kahaan Khaamosh Rehna Ha
Kisi Dukh Ko Kahaan Par
Koun Si Shiddat Se Kehna Hai
Kahaan Raasta Badalna Hai
Kahaan Se Laut Aana Hai
Bara Dushwaar Hota Hai
Zara Sa Faisla Karna

Mujhe Tumse Muhabbat Hai

Kisi Nazuk Se Lamhe Maiñ
Kisi Din Sham Se Phle

Agar Chupke Se Tere Kanoñ Maiñ
Aa Kr Ye Keh Doñ K

“Mujhe Tumse Muhabbat Hai”
To Tum Naraz Mat Hona

Faqat Itna Hi Kar Dena
Mujhe Bahoñ Maiñ Le Kr Tm

Meri Ànkhoñ Maiñ Ànkheñ Dal Kr
Mere Baloñ Ko Sehla Kr

Faqat Itna Keh Dena Ke
“Tum Pyar K Qabil Nahi”

Yaqeen Jano Jo Tum Mujhse
Agar Itna Bhi Keh Do Gy

Yehi Mujhko Ghanimat Hai
Tumhari Ye Jo Nafrat Hai

Mujhe Is Se Muhabbat Hai.

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai. 

Zaalim Thaa Vo Aur Zulm Kii Aadat Bhii Bahut Thii

Zaalim Thaa Vo Aur Zulm Kii Aadat Bhii Bahut Thii
Majabuur Thay Ham Us Se Muhabbat Bhii Bahut Thii,

Uss But Ke Sitam Seh Ke Dikhaa Hii Diyaa Ham Ne
Go Apanii Tabiyat Men Bagaavat Bhii Bahut Thii,

Vaaqif Hii Na Thaa Ramz-E-Muhabbat Se Vo Varnaa
Dil Ke Liye Thorii Sii Inaayat Bhii Bahut Thii,

Yun Hii Nahiin Mashhuur-E-Zamaanaa Meraa Qaatil
Uss Shakhs Ko Is Fan Men Mahaarat Bhii Bahut Thii,

Kya Daur-E-Ghazal Thaa Ke Lahuu Dil Men Bahut Thaa
Aur Dil Ko Lahuu Karne Kii Fursat Bhii Bahut Thii,

Har Shaam Sunaate Thay Hasiinon Ko Ghazal Ham
Jab Maal Bahut Thaa To Sakhaavat Bhii Bahut Thii,

Bulvaa Ke Ham  Ko Pashemaan Bhii Bahut Hain
Kyaa Kiijiye Kambakht Kii Shoharat Bhii Bahut Thii.

Uljhay Huay Haalaat Ka Shikwa Na Kiya Kar

Uljhay Huay Haalaat Ka Shikwa Na Kiya Kar
Khairaat Mein Khushiyon Ki Tamanna Na Kiya Kar

So Baar Kaha Itni Mohabbat Nahin Achi
So Baar Kaha Itna Bharosa Na Kiya Kar

Haalaat Hamain Aik Kabhi Honay Nahin Dengay
Ae DOST Meray, Meri Tamanna Na Kiya Kar

Kya Janay Ye Kis Morr Pay Lay Jay Zamana
Tu MUJH Ko Kisi Pal Bhi Aleda Na Kiya Kar

Mumkin Hai Kisi Roz Bichar Jaon Achanak
Tu Mujh Say Pyar Itna Ziyada Na Kiya Kar

Iss Dil Ne Terey Baad Mohabbat Bhi Nahin Ki

Iss Dil Ne Terey Baad Mohabbat Bhi Nahin Ki
Hadd Yeh K Dharakney Ki Jisaarat Bhi Nahin Ki

Tabeer Ka Aizaaz Hua Hai Ussey Hasil
Jis Ne Merey Khaaboo'b Mein Shiraakat Bhi Nahin Ki

Ulfat Tou Bari Baat Hai Ham Se Tou Sar-e-Shehar
Logon Ne Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahin Ki

Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhaatey Hain Jinhon Ne
Do Chaar Qadam Tay Yeh Musaafat Bhi Nahin Ki

Kya Apni Safaayi Mein Bayaan Dete K Ham Ne
Na Karda Gunaahi Ki Wazaahat Bhi Nahin Ki

Khaamosh Tamashaayi ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahey Dil Pe , Shikaayet Bhi Nahin Ki

Iss Ghar Ke Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye
Dehleez talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahin Ki

Uss Ne bhi Ghulaamon Ki Safon Mein Hamein Rakha
Iss Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahin Ki

Ab Muhabbat Ki Wakalat Nai Ki Ja Sakti

Ab Muhabbat Ki Wakalat Nai Ki Ja Sakti
Shehr Bhr Sy To Adawat Nai Ki Ja Sakti

Mera Chehra Meri Ankhien Hain Salamat Ab B
Kon Kehta Hai Wazahat Nai Ki Ja Sakti

Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahey To Sahi
Hr Kisi Sy To Muhabbat Nai Ki Ja Sakti

Aankh Kehti Hai Kahin Or Chaley Jayen Hm..
Dil Ye Kehta Hai K Hijrat Nai Ki Ja Sakti

Loh-E-Dil Pr Yehi Tehreer Likhi Hai “Wasi”
Ishq Walon Ko Naseehat Nhi Ki Ja Sakti.

Jab Tasawurr Mera Chupke Se Tujhe choo Aaye

Jab Tasawurr Mera Chupke Se Tujhe choo Aaye
Apni Her Saans Se Mujh Ko Teri Khushboo Aaye..

Mashghala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehloo Aaye..

Ghantiyaan Bajnay Lagin Hijr K Sannatay Se
Gungunata Huwa Aisy Mein Agar Tu Aaye..

Jab Kbhi Gardish-E-Dauraan Ne Sataya Mujh Ko..!!
Meri Janib Tery Phailay Huay Baazu Aaye.

Is Tarah Teri Talab Dil Mein Basa Li Hum Ne

Is Tarah Teri Talab Dil Mein Basa Li Hum Ne
Tujh Ko Paya Na Magr Umr Ganwa Li Hum Ne..

Tery Waadon K Saharay To Zinda Hoon Abhi
Mout To Warna Keyi Bar Hi Tali Hum Ne..

Teri Duniya Se Door Nikal Aaye Hain
Teri Hasrat Na Magr Dil Se Nikali Hum Ne..

Saamnay Sab K Meri Jan Bhala Kyun Rotay
Apni Aankhon Ko Ye Aadat Na Dali Hum Ne..

Mil Rahi Hain Mohabbat Mein Saza'ain Kaisi..!!
Jaisy Jannat Se Koi Cheez Chura Li Hum Ne...

Be'aitbar Shakhs Tha So Waar Kar Gaya

Be'aitbar Shakhs Tha So Waar Kar Gaya
Lekin Mery Shaoor Ko Bedaar Kar Gaya..

Kuch Main Ne Ishta'aal Mein Shikway Gilay Kiye
Kuch Wo Shikayatain Sar-E-Bazaar Kar Gaya..

Pehly Wo Meri Zaat Ki Tameer Mein Raha
Phir Mujh Ko Apny Haath Se Masmaar Kar Gaya..

Wo Aa Mila To Faaslay Kat'ty Chalay Gaye
Bichra To Raastay Mery Dushwaar Kar Gaya..

Bichra Kuch Is Adaa Se K Rutt Hi Badal Gayi..!!
Ik Shakhs Saray Sheher Ko Veeran Kar Gaya.

Kehna Ghalat Ghalat To Chupana Sahi Sahi

Kehna Ghalat Ghalat To Chupana Sahi Sahi
Qasid Kaha Jo Us Ne Batana Sahi Sahi..

Ye Subho Subho Chehray Ki Rangat Urri Hui
Kal Raat Tum Kahan Thy Batana Sahi Sahi..

Dil Le K Mera Haath Mein Kehtay Hain Mujh Se Wo
Kya Lo Gay Is K Daam Batana Sahi Sahi..

Aankhain Milao Ghair Se Do Humko Jaam-E-Mai
Saqi Tumhain Qasam Hai Pilana Sahi Sahi

Aye Mai'farosh Bheer Hai Teri Dukaan Par
Gahak Hain Hum Bhi Maal Dikhana Sahi Sahi

Sagar To Jaan-O-Dil Se Faqat Aap Ka Hai Bas
Kya Aap Bhi Hain Uske Batana Sahi Sahi

Terey Khayal Mein Kuch Aisy Gum Raha Barson

Terey Khayal Mein Kuch Aisy Gum Raha Barson
Main Apny Aap Se Bhi Mil Nahi Saka Barson..

Kahin Wo Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jaye?
Main Us Se Mil K Kisi Se Nahi Mila Barson..

Kaha Tha Tum Ne K Tum Laut Aao Gay Ik Din
So Main Jahan Tha Wahin Par Khara Raha Barson..

Tery Baghair Meri Umr Raigaan Guzri
Koi Bhi Kaam Theek Se Nahi Huwa Barson..

Tumharay Haath Ki Dastak Ki Umeed Mein MOHSIN..!!
Main Apny Ghar Se Kahin Bhi Nahi Gaya Barson

Badal Jo Garajte Hain Barsa Nahi Karte

Badal Jo Garajte Hain Barsa Nahi Karte
Mohsin Kabhi Ehsaan Ka Charcha Nahi Karte

Aankhoun Main Basa Laite Hain Toote Hue Manzar
Jaate Hue Logoon Ko Pukaara Nahi Karte

Kehte Hain Chup Chaap Se Rehte Hain Vo Aaksar
Zulfain Bhi Suna Hai Wo Sanwara Nahi Karte

Hum Gosha-E-Tanhai Main Rote Hain Jee Bhar Ke
Hum Shehar Ki Galiyoun Main Tamasha Nahi Karte.

Door Tak Chaey The Badal Aur Kahin Saaya Na Tha

Door Tak Chaey The Badal Aur Kahin Saaya Na Tha
Is Tarah Barsaat Ka Mausam Kabhi Aaya Na Tha

Kiya Mila Aakhir Tujhe Saayoun Ke Peeche Bhaag Kar
Ay Dil-E-Naadan Tujhe Kiya Hum Ne Samjhaya Na Tha

Uff Yah San'nata Ke Aahat Tak Na Ho Jis Main Mukhil
Zindgi Main Is Qadar Hum Ne Sukoon Paaya Na Tha

Khoob Roee Chup Ke Ghar Ki Chaar Deewari Main Hum
Haal-E-Dil Kehne Ke Qabil Koi Hum-Saaya Na Tha

Ab Khula Jhonkoun Ke Peeche Chal Rahi Thein Aandhiyaan
Ab Jo Manzar Hai Wo Pehle To Nazar Aaya Na Tha

Sirf Khushboo Ki Kaami Thi Gaur Ke Qabil "Qateel"
Warna Gulshan Main Koi Bhi Phool Murjhaya Na Tha.

Safr_E_Wafa Ki Raah Men Manzal Jafa Ki Thee

Safr_E_Wafa Ki Raah Men Manzal Jafa Ki Thee
Kaghaz Ka Ghar Bna K Bi Khawish Hawa Ki Thee

The Jugnoun K Shehr Men Taron Se Dushmni!
Maqsood Chand Tha Our Tamana Subha Ki Thee

Tum Ne To Ibadat Ka Tmashah Bna Diya
Chahat Namaz Ki The, Par Aadat Qaza Ki Thee

Men Ne To Zindagi Ko Tery Naam Likha Tha!
Shayad Magr Koch Our He Marzi Khuda Ki Thee

Dard He Dena Tha To Phelay He Bata Datey
Hum Ko Bhe Azal Sy He Tamana Saza Ki Thee ..

Youn Hi Anjaane Mein Dil Se Shararat Se Ho Gayi Hai

Youn Hi Anjaane Mein Dil Se Shararat Se Ho Gayi Hai
Dosti Karne Chale Thy Teri Chahat Si Ho Gayi Hai..

Aap Nahi Hote To Hum Khud Sy He Ulajh Jaate Hein
Kya Karein Mujhe Tumharii Aadat Si Ho Gayi Hai..

Hum Apne Aap Mein Tujhy Talash Karte Rehte Hain
Mujhe Tum Se Is Qadar Mohabbat Se Ho Gayi Hai..

Humare Pass To Aao Jee Lein Pal Do Pal Hum Bhe
Humari Har Ek Saans Ab To Teri Amanat Se Ho Gayi Hai..

Hum Sochte Thy Tery Aagy Ye Zindagi Kya Hai?
Par Tujhe Chahne K Liye Zindagi Zaroori Se Ho Gayi Hai.

Teri Baraat Hogi Mera Janaza Hoga

Teri Baraat Hogi Mera Janaza Hoga
Char Admi Tere Sath Honge Char Admi Mere Sath Honge
Phool Tujh Per Bhi Honge Phool Mujh Per Bhi Honge
Tujh Per Dulhan Ka Jora Hoga Mujh Per Kafan Ki Sajawat Hogi
Lali Tere Chahre Per Hogi Noor Mere Chahre Per Hoga
Khubsoorat Tum Bhi Lag Rahi Hogi
Khubsoorat Main Bhi Lag Raha Honga
" FARK SIRF ITNA HOGA "
Tum Kisi Ki Zindagi Main Ja Rahi Hogi
Main Tumhari Zindagi Se Ja Raha Honga
Mera Naseeb Teri Kismat Se Acha Hoga
Mera Gham Teri Khushi Se Acha Hoga
Yakeen Na Aae To Apni Ankhoon Se Dekhna
Mera Janaza Teri Baraat Se Acha Hoga
Mere Samne Rukhsat Jo Teri Baraat Hogi
Us Lamhe Gul-E-Shamay Hayaat Hogi
Wo Bhi Jan Kesi Aafat Ki Raat Hogi
Pehloo Main Kisi K Meri Qaienat Hogi.

Tum Ko Dekha To Ye Khayal Aaya

Tum Ko Dekha To Ye Khayal Aaya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Saaya

Aaj Phir Dil Nay Ik Tamana Ki
Aaj Phir Dil Ko Hum Nay Samajhaya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Saaya...

Tum Chale Jaoge To Sochain Gay
Hum Nay Kya Khoya Hum Nay Kya Paaya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Saaya..

Hum Jisay Gunguna Nahin Saktay
Waqt Nay Aisa Geet Kyun Gaaya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Saaya...

Kitni Aziyat Se Us Ne Mujh Ko Bhulaya Hoga

Kitni Aziyat Se Us Ne Mujh Ko Bhulaya Hoga
Meri Yaado Ne Ussay Khoob Rulaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalke Hogi
Us Ne Chehre Ko Baazo Main Chupaya Hoga

Socha Ho Ga Us Ne Din Main Kai Baar Mujha
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaya Hoga

Jaha Us Na Mera Zikr Suna Hoga Kisi Sa
Us Ki Aankhon Main Koi Aanso To Aaya Hoga

Raat Ke Beetna Tak Neend Na Aai Hogi Ussa
Usna Takiye Ko Bhi Seena Se Lagaya Hoga

Hokay Nidhal Meri Yadon Se Usna
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaya Hoga

Pucha Hoga Jub Kisi Ne Tere Halat Ka Sabab
Tuna Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya

Khamoshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya
Aa Raha Hai Mere, Gumaan Mein Kya

Ab Mujhe Koi Tokta Bhi Nahi’n
Yahi Hota Hai, Khaandaan Mein Kya

Bolte Kyon Nahin Mere Haq Mein
Aabale Par Gaye, Zabaan Mein Kya

Meri Har Baat Be-Asar Hi Rahi
Nukhs Hai Kuch, Mere Bayaan Mein Kya

Wo Mile To Ye Poochna Hai Mujhe
Abhi Hoon Main Teri, Amaan Mein Kya

Shaam Hi Se Dukaan-E-Deed Hai Band
Nahin Nuksaan Tak, Dukaan Mein Kya

Yoon Jo Takta Hai Aasmaan Ko Tu
Koi Rehta Hai, Aasmaan Mein Kya

Ye Mujhe Chain Kyun Nahi’n Padta
Ek Hi Shakhs Tha, Jahaan Mein Kya.

Dil-E-Nadan Tujha Hwa Kya Hai

Dil-E-Nadan Tujha Hwa Kya Hai
Aakhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai

Hum Hain Mushtaq Aur Woh Bazar
Ya-Ilaahi Ye Majra Kya Hai

Jab Ke Tujh Bin Nahi Koi Maujod
Phir Ye Hangama Aye Khuda Kya Hai

Hum Ko Unsay Hai Wafa Ki Umeed
Jo Nahi Janti Wafa Kya Hai

Jaan Tum Per Nisar Karta Hon
Men Nahi Janta Duaa Kya Hai

Main Bhi Mo Main Zaban Rakhta Hon
Kash Pucho Mudda Kya Hai

Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga
Aur Darwesh Ki Sada Kya Hai

Main Ne Maana Ke Kuch Nahi Ghalib
Muft Haath Aaye Tou Bura Kya Hai

Honton Say Chulo Tum

Honton Say Chuloo Tum
Mera Geet Amar Kar Doo
Hoton Say Chuloo Tum
Mera Geet Amar Kar Doo
Ban Jaoo Meet Mere
Meri Preet Amar Kar Doo
Honton Say Chuloo Tum
Mera Geet Amar Kar Doo

Na Umer Ki Sima Hooo
Na Janam Ka Ho Bandhan
Na Umer Ki Sima Hoooo
Na Janam Ka Ho Bandhan
Jab Pyar Karay Koi
Tou Dekhay Cavel Mann
Nayiii Reet Chala Kar Tum
Yeh Reet Amar Kar Doo
Nayii Reet Chala Kar Tum
Yeh Reet Amar Kar Doo.....

Honton Say Chulo Tum......

Seena Dahak Raha Hay To Kiya Chup Rahay Koi

Seena Dahak Raha Hay To Kiya Chup Rahay Koi...
Kyun Cheekh Cheekh Kar Na Gala Cheel Lay Koi..
Sabit Hua Sakoon-E Dil 0 Jan Kahin Nahin..
Rishtoon Mian Dhondta Hay To Dhonda Karay Koi..
Tarq-E Taluqat Koi Masala Nahi...
Yah To Woh Rasta Hay K Bas Chal Paray Koi..
Deewar Janta Tha Jisay Main Woh Dhool Thi..
Ab Mujh Ko Aitamad Ki Dawaat Na Day Koi..
Main Khud Yah Chahta Hoon K Halat Hon Kharab..
Meray Khalaf Zehar Ugalta Phiray Koi..
Aah Shaks Ab To Mujh Ko Sabhi Kuch Qabool Hay
Yah B Qabool Hay K Tujhay Cheen Lay Koi...
Haan Theek Hay Main Apni Ana Ka Mareez Hoon...
Akhir Meray Mazaj Main Kyun Dakhal Day Koi...
Aik Shaks Kar Raha Hay Abhi Tak Wafa Ka Zikar..
Kash Is Zaban Daraz Ka Mun Noch Lay Koi...

Joun Eliya

Pehlay Se Ab Wo Rang, Wo Meley Kidhar Gay

Pehlay Se Ab Wo Rang, Wo Meley Kidhar Gay
Hoti Thi Jin Se Dhoom Wo Jazbe Hi MAR Gay

Aankho Ka Noor, Dil Ka Ujala Bhi La Uray
Hum Ko To Apne Dost Hi Sunsan Kar Gay

Haye Wo Chaon Daaltay Chatnar Kia Hwa
Hay Wo Paon Chomtay Darya Utar Gay

Ik Lamha Teri Yaad Se Ghafil Hwa Tha Hum
Ik Lamhay Main Hi Kitne Zamanay Guzar Gaye

Koi Na Shab Ki Tergi Main Saath De Saka
Kuch De Gaye Farab To Kuch Yonhi Dar Gaye

Hum Reh Gaye Hain SHAM Jo Tanha To Gham Nahi
Kab Ehl E Dil K Saath Bhala Kon Nazar Gay

Safar Tanha Nahn Karte

Safar Tanha Nahn Karte,
Suno Aesa Nahn Karte, 

Bohat Ujre Hue Ghar Par
Bohat Socha Nahn Karte,

Safar Jika Muqadar Ho,
Unhe Roka Nahn Karte,

Chalo Tum Raaz Ho Apne,
Tumhen Afsha Nahn Karte,

Sahar Se Pooch Lo Mohsan,
K Hum Soya Nahn Karte

Teri Hijrtoon Ka Malaal Tha Magr Ab Nahi

Teri Hijrtoon Ka Malaal Tha Magr Ab Nahi,
Mujhe Sirf Tera Khyal Tha Magr Ab Nahi,
Teri Be-Misaal Mohabbtoon K Hisaar Mien,
Tu Zamany Bhr Mein Misaal Tha Magr Ab Nahi,
Jisy Tu Ne Dard Ata Kia
Wohi Admi,
Teri Qurbtoon Mein Nihaal Tha Magr Ab Nahi,
Main Teri Talash Mein Reza Reza Bikhr Gaya,
Wo Janon'e'shoq -E-Wisal Tha Magr Ab Nahi,
Tere Dr Pe Akhri Baar Aa K Palt Gaya,
Meri Zindgi Ka Sawaal Tha Magr Ab Nahi.

Friday, September 23, 2011

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai

Kabhii Kabhii Mere Dil Mein Khayaal Aataa Hai

K Zindagii Tirii Zulfon Ke Narm Chaaon Mein
Guzarne Paati To Shaadaab Ho Bhi Saktii Thii
Ye Teeragi Jo Miri Zeest Ka Muqaddar Hai
Tirii Nazar Ki Shu’aaon Mein Kho Bhi Sakti Thii

Ajab Na Thaa K Main Begaana-E-Alam Ho Kar
Tirii Jamaal Ki Ra’anaaiyon Mein Kho Rahtaa
Tiraa Gudaaz Badan Terii Neembaaz Aankhein
Inheen Haseen Fasaanon Mein Mahv Ho Rahtaa

Pukaarti Mujhe Jab Talkhiyaan Zamaane Ki
Tire Labon Se Halaavat Ke Ghoont Pee Letaa
Hayaat Cheekhti Phirti Barhanaa Sar Aur Main
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chhup Ke Jee Letaa

Magar Ye Ho Na Sakaa Aur Ab Ye ‘Aalam Hai
K Tuu Nahiin Tira Gham , Teri Justajoo Bhi Nahiin
Guzar Rahii Hai Kuchh Is Tarah Zindagii Jaise
Ise Kisii Ke Sahaare Ki Aarzoo Bhi Nahiin

Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Chukaa Houn Gale
Guzar Rahaa Houn Kuchh Anjaani Rah-Guzaaron Se
Muheeb Saaye Mirii Samt Barhte Aate Hain
Hayaat-O-Maut Ke Purhaul Khaarzaaron Se

Na Koii Jaadaa, Na Manzil, Na Roshnii Ka Suraag
Bhatak Rahii Hai Khalaaon Mein Zindagii Meri
Inhii Khalaaon Mein Rah Jaaoungaa Kabhii Kho Kar
Main Jaantaa Houn Mirii Ham Nafas Magar Yuun Hi

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aataa Hai

By SAHIR

Mere Khwaabo.N Ke Jharoko.N Ko Sajaane Waalii

Mere Khwaabo.N Ke Jharoko.N Ko Sajaane Waalii
Tere Khwaabo.N Me.N Kahii.N Meraa Guzar Hai Ki Nahii.N
Puuchhakar Apanii Nigaaho.N Se Bataade Mujhako
Merii Raato.N Kii Muqaddar Me.N Sahar Hai Kii Nahii.N

Chaar Din Kii Ye Rafaaqat Jo Rafaaqat Bhii Nahii.N
Umr Bhar Ke Liye Aazaar Huii Jaatii Hai
Zindagii Yuu.N To Hameshaa Se Pareshaan-Sii Thii
Ab To Har Saa.Ns Giraa.N_Baar Huii Jaatii Hai

Merii Uja.Dii Huii Nii.Ndo.N Ke Shabistaano.N Me.N
Tuu Kisii Khwaab Ke Paikar Kii Tarah Aaii Hai
Kabhii Apanii Sii Kabhii Gair Nazar Aatii Hai
Kabhii Ikhalaas Kii Muurat Kabhii Harajaaii Hai

Pyaar Par Bas To Nahii.N Haimeraa Lekin Phir Bhii
Tuu Bataa De Ki Tujhe Pyaar Karuu.N Yaa Na Karuu.N
Tuune Khud Apane Tabassum Se Jagaayaa Hai Ji.Nhe.N
Un Tamannaao.N Ka Izahaar Karuu.N Yaa Na Karuu.N

Tuu Kisii Aur Ke Daaman Kii Kalii Hai Lekin
Merii Raate.N Terii Khushbuu Se Basii Rahatii Hai.N
Tuu Kahii.N Bhii Ho Tere Phuul Se Aariz Kii Qasam
Terii Palake.N Merii Aa.Nkho.N Pe Jhukii Rahatii Hai.N

Tere Haatho.N Kii Haraarat Tere Saa.Nso.N Kii Mahak
Tairatii Rahatii Hai Ehasaas Kii Pahanaa_Ii Me.N
Dhuu.Ndhatii Rahatii Hai.N Takha_Iil Kii Baa.Nhe.N Tujhako
Sard Raato.N Kii Sulagatii Hu_Ii Tanahaa_Ii Me.N

Teraa Altaaf-O-Karam Ek Haqiiqat Hai Magar
Ye Haqiiqat Bhii Haqiiqat Me.N Fasaanaa Hii Na Ho
Terii Maanuus Nigaaho.N Kaa Ye Mohataat Payaam
Dil Ke Khuu.N Karane Kaa Ek Aur Bahaanaa Hii Na Ho

Kaun Jaane Merii Imroz Kaa Fardaa Kyaa Hai
Qurbate.N Bad Ke Pashemaan Bhii Ho Jaatii Hai
Dil Ke Daaman Se Lipatatii Hu_Ii Rangii.N Nazare.N
Dekhate Dekhate A.Njaan Bhii Ho Jaatii Hai

Merii Daramaa.Ndaa Javaanii Kii Tamannaao.N Ke
Muzmahil Khvaab Kii Taabiir Bataa De Mujhako
Tere Daaman Me.N Gulistaa.N Bhii Hai, Viiraane Bhii
Meraa Haasil Merii Taqdiir Bataa De Mujhako

Sazaa Kaa Haal Sunayen Jazaa Kii Baat Karen

Sazaa Kaa Haal Sunaaye Jazaa Kii Baat Kare.N
Khudaa Milaa Ho Jinhe.N Vo Khudaa Kii Baat Kare.N

Unhe.N Pataa Bhii Chale.N Aur Vo Khafaa Bhii Na Ho
Is Ehatiyaat Se Kyaa Mazaa Kii Baat Kare.N

Hamaare Ahad Kii Tahaziib Me.N Qabaa Hii Nahii.N
Agar Qabaa Ho To Band-E-Qabaa Kii Baat Kare.N

Har Ek Daur Kaa Mazahab Nayaa Khudaa Laataa
Kare.N To Ham Bhii Magar Kis Khudaa Kii Baat Kare.N

Wafa_Shiyaar Ka_Ii Hai.N Ko_Ii Hasii.N Bhii To Ho
Chalo Phir Aaj Usii Bevafaa Kii Baat Kare.N

Barason Ke Baad Dekhaa Ik Shakhs Dil Rubaa Saa

Barason Ke Baad Dekhaa Ik Shakhs Dil Rubaa Saa
Ab Zahan Mein Nahin Hai Par Naam Thaa Bhalaa Saa

Abaruu Khinche Khinche Se Aankhein Jhukii Jhukii Si
Baatein Rukii Rukii Sii Lahajaa Thakaa Thakaa Saa

Alfaaz The Ke Jugnuu Aavaaz Ke Safar Mein
Ban Jaaye Jangaloon Mein Jis Tarah Raastaa Saa

Khvaaboon Mein Khvaab Us Ke Yaadoin Mein Yaad Us Kii
Niindoon Mein Ghul Gayaa Ho Jaise Ke Rat Jagaa Saa

Pahale Bhii Log Aaye Kitane Hii Zindagii Mein
Vo Har Tarah Se Lekin Auroon Se Thaa Judaa Saa

Agalii Muhabbatoon Ne Vo Naa Muraadiyaan Dien
Taazaa Rafaaqatoon Se Dil Thaa Daraa Daraa Saa

Kuchh Ye Ke Muddatoon Se Ham Bhii Nahin Thay Roye
Kuchh Zahar Mein Bujhaa Thaa Ahabaab Kaa Dilaasaa

Phir Youn Huaa Ke Saavan Aankhoon Mein Aa Base The
Phir Youn Huaa Ke Jaise Dil Bhii Thaa Aabalaa Saa

Ab Sach Kahain To Yaaro Ham Ko Khabar Nahin Thii
Ban Jaayegaa Qayaamat Ik Vaaqiaa Zaraa Saa

Tevar The Berukhii Ke Andaaz Dostii Ke
Vo Ajanabii Thaa Lekin Lagataa Thaa Aashnaa Saa

Ham Dasht The Ke Dariyaa Ham Zahar The Ke Amrit
Naahaq Thaa Zoam Ham Ko Jab Vo Nahin Thaa Pyaasaa

Ham Ne Bhii Us Ko Dekhaa Kal Shaam Ittefaaqan
Apanaa Bhii Haal Hai Ab Logo Faraz Kaa Saa

Ahmed Faraz, 

StatCounter