Wednesday, December 1, 2010

Jaane wale nahee laut'tay ummer bhar

Ay dil-e-bekhabar
Jo hawa ja chuki ab nahee aayegi
Jo shajjar toot jaata hai phalta nahee
Waapsi mausamoon ka muqaddar tu hai
Jo samaan beet jaaye palat'ta nahee
Jane walay nahee laut'tay umar bhar
Ab kissay dhoondta hai sar-e-rehguzar
Ay dil-e-kam nazar, ay mere bekhabar, ay mere hamsafar
Woh tu khushboo thaa aglay nagar ja chuka
Chaandi thaa huwa sarf-e-rang-e-qamar
Khwaab thaa aankh khultay hi oujhal huwa
Pair thaa rutt badaltay huwa be-sammar
Ay dil-e-assar, ay mere chaaragar
Yeh hai kis ko khabar
Kab hawa-e-safar ka ishaara milay
Kab khullain sahiloon per safeenoo ke par
Kaun jaane kahaan manzil-e-mauj hai
Kis jazeeray per hai Uss ka ghar, ay mere charagar
Ay dil-e-bekhabar kam-nazar mu'tabar
Tu ke muddat se hai zaer-e-baar-e-safar
Beqaraar-e-safar
Aas ke be-samar mausamoon ki tarah
Be-jahat munziloon ki musaafit mein hai
Raasta bhoolay huwe rehruwoon ki tarah
Choob-e-naar-e-safar
Etabaar-e-nazar, etabaar-e-nazar kis gumaan per karain
Ay dil-e-bebasar
Yeh tu sahil pe bhi dekhti hai bhanwar
Rait mein kisht karti hai aab-e-baqah
Kholti hai hawaoon mein baab-e-assar
Tujh ko rakhti hai yeh zaeb-e-daar-e-safar beqarar-e-safar
Ay dil-e-be-hunnar
Garam sansoon ki woh khushbooain bhool ja...
Woh cheekhti huwi dharkanain bhool ja...
Bhool ja naram hontoo ki shadaabeyaan...
Harf-e-iqraar ki lazzattain bhool ja...
Bhool ja woh hawa, bhool ja woh nagar
Kaun jane kahaan roshni khoo gaee
Lutt gaya hai kahaan karwaan-e-sehar
Ab kahaan gesoowoon ke woh saaye, kahaan
Us ki aahat se chamkay huwe baam-o-dar, ay dil-e-bebasar
Rang-e-aasodgi ke tamashe kahaan
Jhatpatta hai yahaan rehguzar rehguzar
Woh tu khushboo thaa aglay nagar ja chuka
Ab kissay dhondta hai array be-khabar
Jaane wale nahee laut'tay ummer bhar
Ay dil-e-kamnazar, ay mere chaaragar, ay mere hamsafar...

Sada Jisay Ik Aag Mein Jalte Rehna Hai

Aag mein liptay kuch shabdon se

Mein ne kabhi ik nazam likhi thi

Jane kia tha un harfon mein

Ansoo meri palkon tak jal ker pohanche the

Kain dinon tak aanch mere aanchal mein rahi thi

Aaj laga hai

Jesay mein wo jalti nazam hun

Jis ko dast-e-abr-o-saba se likhe na jane ka shikwa hai

Dasht mein hun aur aab ka payala

Mere hath se chout chuka hai

Barish ka aor pyas ka rishta barson pehle toot chuka hai

HAn ik badal hai jo mujh ko

Apni oak se kabhi kabhi ik do boondein de ker kehta hai

"Mein Tera Hoon"

Us ko kesay samjhaon???

Aye re badal tu to sub ka

Teri rah mein mujh se pehle kitne gul bootay aate hain

Tujh pe mera haq he kia hai

Mein to apne RAB ki jalti

Maati se likhi wo nazam hun

"Sada Jisay Ik Aag Mein Jalte Rehna Hai"...!!!

Ankh ban Jati hai sawan ki ghata sham kai baad

Ankh ban Jati hai sawan ki ghata sham kai baad
Laut jata hai ager koi khafa sham kai baad

Wo jo TaL jati rahi saR sai bala sham kai baad
Koi to tha kai jo daita tha Dua sham kai baad

AhHain Bhrati hai shab-e-HijjaR YateemOOn ki tarah
Sard ho jati hai her Roz hawa sham kai baad

Sham tak Qaid raha kartay hain DiL kai ander
Derd ho jatay hain Saray Hi reha sham kai baad

Log thak haar kai so jatay hain Lakin JanaaN
Hum nai khush ho kai saha taira Derd sham kai baad

Sham sai pahlai Talak Lakh SulaiEEy rekhain
JaG uthati hai mohabbat ki Anna Sham kai baad

Khawab TaKra kai Palat jatay hain Band ankhoon sai
Janay kis Juram ki kis ko hai saza sham kai baad

Hum nai Tanhai sai poocha keh MiLo gi kaab Tak
Uss nai bay chaini sai foran hi kaha sham kai baad

Main ager khush bhi rahon phir bhi mairay seenai main
SOGwaaari koi rooti hai sadaa shaaaaam kai baad

Tum gaEEy ho to siyaa rang kai kapray pehnay
Phirti rehti hai mairay ghar main Qaza sham kai baad

Laut aati hai mairi shab ki eBaDat Khali HaaTh
Janai kis ARSH pai rehta hai khuda sham kai baad

Din Ajab mothi main Jakray hoay rekhta hai mujhay
Mujh ko iss baat ka ahsaas hoa sham kai baad

Koi bhoola hoa gham hai jo Musalasal Mujh ko
DiL kai pataL sai daita hai Sada sham kai baad

Mar daita hai UjaR janai ka DuHra Ahsaas
Kash ho Koi kissi sai na Juda sham kai baad....



Farhat Abaas Shah

Main Aur Meri Tanhayee

Aawaara Hai Galiyon Mein Main Aur Meri Tanhayee
Jaayen To Kahan Jaayen Har Mod Pe Ruswaayee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee

Ye Phool Se Chehre Hain Hanste Huye Guldaste
Koi Bhee Nahin Apna Begaane Hain Sab Raste
Raahen Bhee Tamashyee Raahen Bhee Tamashaee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee

Armaan Sulagte Hain Seene Mein Chitha Jaise
Qaatil Nazar Aati Hai Duniya Ke Hawa Jaise
Roti Hai Mere Dil Par Bajti Huyee Shehnayee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee

Aakaash Ke Maathe Par Taaron Ka Charagam Hai
Pehloo Mein Magar Mere Zakhmon Ka Gulistaan Hai
Aankhon Se Lahoo Tapka Daaman Mein Bahaar Aayee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee

StatCounter