Friday, September 2, 2011

Faqirana Aae Sadaa Kar Chale


Faqirana Aae Sadaa Kar Chale,
Miyaan Khush Raho Ham Dua Kar Chale.

Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kahte The Ham,
So Is Ahd Ko Ab Wafa Kar Chale.

Koi Naumidana Karte Nigah,
So Tum Ham Se Munh Bhi Chhipa Kar Chale.

Bahut Aarzoo Thi Gali Ki Teri,
So Yaan Se Lahu Mein Naha Kar Chale.

Dikhai Diye Yun Ke Bekhud Kiya,
Hamen Aap Se Bhi Juda Kar Chale.

Jabin Sijda Karte Hi Karte Gayi,
Haq-E-Bandgi Ham Ada Kar Chale.

Prastash Ki Yaan Taeen Ke Ai But Tujhe,
Nazr Mein Sabhon Ki Khuda Kar Chale.

Gayi Umr Dar Band-E-Fikr-E-Ghazal,
So Is Fan Ko Aisa Bara Kar Chale.

Kahen Kya Jo Puchhe Koi Ham Se Mir,
Jahaan Mein Tum Ae The Kya Kar Chale.

Ibtadae Ishq Hai Rota Hai Kya


Ibtadaae Ishq Hai Rota Hai Kya,
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya.

Qafile Mein Subah Ke Ek Shor Hai,
Yaani Ghaafil Ham Chale Sota Hai Kya.

Sabz Hoti Hi Nahin Yeh Sar Zamin,
Tukhm-E-Khwahish Dil Mein Tu Bota Hai Kya.

Yeh Nishaan-E-Ishq Hain Jaate Nahin,
Daagh Chhaati Ke Abas Dhota Hai Kya.

Ghairat-E-Yousaf Hai Yeh Waqt-E-Aziz,
Mir Isko Raigaan Khota Hai Kya.

Na Socha Na Samajha Na Sikha Na Jana


Na Socha Na Samajha Na Sikha Na Jana
Mujhe Aa Gaya Khud_Ba_Khud Dil Lagana

Zara Dekh Kar Apana Jalwa Dikhana
Simat Kar Yahin Aa Na Jaye Zamana

Zubaan Par Lagii Hain Wafaaon Ki Muhare.N
Khamoshii Merii Kah Rahii Hai Fasanaa

Gulon Tak Lagaayii To Aasaan Hai Lekin
Hai Dushwaar Kaanton Se Daaman Bachaanaa

Karo Laakh Tum Maatam-E-Naujavaanii
Par 'Mir' Ab Nahiin Aayegaa Woh Zamaanaa

Pyar Kise Tum Kehte Ho


Pyar Kise Tum Kehte Ho???
Phir Pyar Kise Tum Kehte Ho?
Khamosh Zuban Ke Lafzon Me
Kuch Posheeda Si Baaten Hain
In Posheeda Si Baaton Me
Kuch Chahat Ki Barsaaten Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se 
Seene Me Chupa Ke Baithe Hain
Kuch Paye Bina Kuch Kho Dena
Ye Pyar Me Humne Seekha Hai
Suraj Me Chand Sitaron Me
Her Shai Me Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Me Bhi Naghma Banke
Sagar Ki Tarah Tum Behte Ho
Ye Pyar Nahi Phir Tum Hi Kaho
Phir Pyar Kise Tum Kehte Ho???

StatCounter