Friday, September 2, 2011

Hastee Apnee Hubaab Kee See Hai


Hastee Apnee Hubaab Kee See Hai
Ye Numa'ish Suraab Kee See Hai

Naazukee Uss Ke Lab Kee Kya Kahiye
Pankharee Ik Gulaab Kee See Hai

Baar-Baar Us Ke Dar Pe Jaata Hoon
Haalat Ab Iztiraab Kee See Hai

Main Jo Bola Kaha Ke Ye Aawaaz
Usee Khaanah-Kharaab Kee See Hai

Meer" Un Neem-Baaz Aankhon Men
Saaree Mastee Sharaab Kee See Hai

Gul Ko Mahboob Mein Qayaas Kiyaa

Gul Ko Mahboob Mein Qayaas Kiyaa
Farq Niklaa Bohot Jo Baas Kiyaa

Dil Ne Hamko Misaal-E-'Aeenaa
Ek 'Alam Se Roo-Shinaas Kiyaa

Kuchh Naheen Soojhtaa Hamen Us Bin
Shauq Ne Ham Ko Be-Havaas Kiyaa

Subah Tak Sham'a Sar Ko Dhunti Rahee
Kyaa Patange Ne Iltemaas Kiyaa

Aise Vahashee Kahaan Hain Ai Khubaan
"Meer" Ko Tum 'Abas Udaas Kiyaa

Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamaaraa Jaane Hai


Patta Patta, Boota Boota, Haal Hamaaraa Jaane Hai,
Jaane Na Jaane Gul Hi Na Jaane, Baagh To Saaraa Jaane Hai.

Aage Us Mutkabbar Ke Ham Khuda Khuda Kiya Karte Hain,
Kab Maujud Khuda Ko Woh Maghrur Khud-Aara Jaane Hai.

Aashiq Saa To Saada Koi Aur Na Hoga Dunya Mein,
Ji Ke Zian Ko Ishq Mein Uske Apna Waara Jaane Hai.

Chaaraa Gari Beemari-E-Dil Ki Rasm-E-Shahr-E-Husn Nahin,
Warna Dilbar-E-Naadaan Bhi Is Dard Kaa Chaara Jaane Hai.

Mehr-O-Wafa-O-Lutaf-O-Inait, Ek Se Waqif In Mein Nahin,
Aur To Sab Kuchh Tanz-O-Kanaya, Ramz-O-Ishara Jaane Hai.

Aashiq To Murdah Hai Hamesha Ji Uthta Hai Dekhe Use,
Yaar Ke Aa Jaane Ko Yakaayak Umr Do Baara Jaane Hai.

Tashna-E-Khun Hai Apna Kitna, Mir Bhi Naadaan, Talkhi-Kash,
Damdaar Aab-E-Tegh Ko Uske Aab-E-Gawara Jaane Hai.

Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq


Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq,
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq.

Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho,
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq.

Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai,
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq.

Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Taeen,
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq.

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha,
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq.

Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka,
Tu Kahe Jins-E-Narawa Hai Ishq.

Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain,
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq?

StatCounter