Wednesday, December 1, 2010

Is Main Shamil Dasht o Sehra Aur Weranay Ki Bat.....Zzzz

Is Main Shamil Dasht o Sehra Aur Weranay Ki Bat
Ahl e Mehfil Sa Juda Ha TERAY dewanay Ki Bat

Mohtasib hum Gunah Garoon Ko Na Dey iLzam e Meh
Tishnagi Mai Aaa Gai Honton Pa MehKhanay Ki Bat

Han Abhi Bholi Nahi Jor e Khizan Ki Dastan
Ahtayatan hum Nahi Kartay Bahar Anay KI Bat

Ban Gai Ha Surkhi Husn e Bahar e Jaodan
Aa Gai Zulf e Muabar Ka Bikhar Janay Ki Bat

Hur Nafs Ma Shola ZUn Hain Garmian Halat Ki
Zindagi Ha In Dino Bay Mout Mar Janay Ki Bat

Mahkada Badla Hova SAGAR Shikasta Hal Hain
Hur Haqeqat Ban Gai Ha Aaj Afsanay Ki Bat

Shahar ki raat aur

Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon
Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal
Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon..

****************************************

Main our meri aavaargi

Phirte hain kab se dar_ba_dar ab is nagar ab us nagar
Ek doosre ke hamsafar main aur meri aavaaragi
Na aashana har reh_guzar naa meharbaan hai ek nazar
Jaayen to ab jaayen kidhar main aur meri aavaaragi

Hum bhi kabhi aabaad the aise kahaan barbaad the
Bifikr the aazaad the masroor the dilshaad the
Vo chaal aisi chal gaya ham bujh gaye dil jal gaya
Nikle jala ke apna ghar main aur meri aavaaragi

Vo maah-e-vash vo maah-e-rooh vo maah-e-kaamil huu_ba_huu
Thi jis ki baatein kuu_ba_kuu us se ajab thi guftagu
Phir youn hua vo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
Laayenge us ko Dhoond kar main aur meri aavaaragi

Ye dil hi tha jo seh gaya vo baat aisi keh gaya
Kehne ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya beh gaya
Jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main mar gaya
Rote hain us ko raat bhar main aur meri aavaaragi

Ab Ghum uthaayen kis liye ye dil jalaayen kis liye
Aansoo bahaayen kis liye youN jaan gavaayen kis liye
Pesha na ho jis ka sitam Dhoondenge ab aisa sanam
Honge kahin to kaar_gar main aur meri aavaaragi

Aasaar hain sab khoT ke imkaan hain sab *** ke
Ghar band hain sab ghot ke ab khatam hain sab totake.
Qismat ka sab ye khel hai andher hai andher hai
Aise hue hain be_asar main aur meri aavaaragi

Jab ham_dam-o-ham_raaz tha tab aur hi andaaz tha
Ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
Ab mujh se ho to ho bhi kya hai saath vo to vo bhi kya
Ek behunar ek besabar main aur meri aavaaragi. 

***********************************

Tu ne hi khuch bhi na kaha ho jaise

Tu ne hi khuch bhi na kaha ho jaise

Mere hi dil ki sada ho jaise



Yun teri yaad se jee ghabra gaya

Tu mujhe bhool gaya ho jaise



Is tarha tujhse kiye hain shikwey

Mujh ko apne se gila ho jaise



Yun her ek naqsh pe jhukti hai jabeen

Tera hi naqhs kaff-e-paa ho jaise



Tere honton ki khafi larzish

Ek haseen shair howa ho jaise.



Sufi Tabassum

StatCounter