Monday, August 22, 2011

Hum Bhi Kuch Aisa Kamaal Karna Chahte Hain


Hum Bhi Kuch Aisa Kamaal Karna Chahte Hain
Hum Chand Ko Qareeb Se Dekhna Chahte Hain

Ab Ye Jaan Jaye Ya Rahe Safar-E-Mohabbat Mein
Hum To Bas Apna Wada Nibhana Chahte Hain

Suna Hai Ke Maut Badi Haseen Ho Jayegi Isliye
Hum Unki Baahon Mein Marna Chahtey Hain
 
Meri Deewangi To Dekho Ke Ek Pathar Se
Hum Apna Haal-E-Dil Sunana Chahte Hain

Koi To Ho Jo Rooke Iss Waqt-E-Tufaan Ko
Hum Ek Aashiyaan Banana Chahte Hain

Ae DIL-E-Nadan Zara Tham Ke Dharakna Seekho
Hum Us Shakhs Ko Bhulana Chahte Hain

Tujh Se Mil Kar Bhi Kuch Kafa Hain Hum


Tujh Se Mil Kar Bhi Kuch Kafa Hain Hum
Be Murawat Nahi To Aur Kia Hain Hum
Hum Gham-e-Karwan Mein Behte Thy
Log Samjhe Ke Shikasta Paa Hain Hum
Eis Tarah Se Hamein Raqeeb Miley
Jaise Muddat Ke Aashna Hain Hum
Rakh Hain Hum Agr Ye Aag Bhujhe
Juz Dard-O-Gham Ke Aur Kia Hain Hum
Khud Ko Sunte Hain Is Tarah Jaise
Waqt Ki Aakhari Saada Hain Hum
Kion Zamaney Ko Ilzaam Dein Faraz
Wo Nahi Hain To Be Wafa Hain Hum

Be-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Hoti


Be-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Hoti,,

Hathon Ki Lakiron Me To Kismat Nahi Hoti,,

Sajday Me Dikhawa Ho,To Sajda Nahi Hota,,

gardan K, Jhukane Se Ebaadat Nahi Hoti,,

Wo Shakhs Mohabbat Se Humesha Raha Mehroom..

Auron K, Liye Jis me Mohabbat Nahi Hoti.

Chehre Ka Singhaar Kabhi Kaam Na Aaya.

Seerat K, Bina Koi Bhi Surat Nahi Hoti.

Shahkaar Ki Takmeel Main Shamill Na Ho Gar Fiker,,

Tasveer To Ban Jati Hai Moorat Nahi Hoti.

Mai Chup Raha Keh Zeher Yehi Mujh Ko Raas Tha


Mai Chup Raha Keh Zeher Yehi Mujh Ko Raas Tha
Wo Sang-E-Lafz Phaink Kar Kitna Udaas Tha

Aksar Meri Qaba Pay Hansi Aa Gai Jissay
Kal Mill Gaya Toh Wo Bhi Dareeda Libaas Tha

Mai Dhoondhta Tha Door Khalaaon Mai Ek Jism
Chehron Ka Ek Hajoom Meray Aas Paas Tha

Tum Khush They Patharon Ko Khuda Jaan Kar Magar
Mujh Ko Yaqeen Hai Wo Tumhaara Qayaas Tha

Bakhsha Hai Jis Nay Rooh Ko Zakhmon Ka Perahan
*Mohsin* Wo Shakhs Kitna Tabiyat Shanaas Tha...

StatCounter