Sunday, October 23, 2011

Udaas Shaamain, Ujaarh Rastey Kabhi Bulayain Tou Laut Aana

Udaas Shaamain, Ujaarh Rastey Kabhi Bulayain Tou Laut Aana
Kisi Ki Aankhoun Main Ratjagoun K Azaab Aayain Tou Laut Aana

Abhi Nayi Waadiyoun Main, Nayey Manzaroun Main Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saarey Ik Ik Kar K Jub Tum Ko Chorh Jaayain Tou Laut Aana

Main Rouz Yoonhi Hawa Pay Likh Likh Kar Uski Jaanib Yeh Bhaijta Hoon
K Achey Mausam Agar Pahaarhoun Pay Muskuraayain Tou Laut Aana

Agar Andhairoun Main Chorh Kar Tum Ko Bhool Jayain Tumhaarey Saathi
Or Apni Khaatir Hee Apney Diyey Jalaayain Tou Laut Aana

Meri Woh Baatain Jin Pay Bey Ikhtiyaar Hunsta Tha Khilkhila Kar
Bicharhney Waaley Meri Woh Baatain Kabhi Rulaayain Tou Laut Aana !!


Farhat Abbas Shah

No comments:

Post a Comment

StatCounter