Showing posts with label Chalo Wo Ishq Nahi. Show all posts
Showing posts with label Chalo Wo Ishq Nahi. Show all posts

Wednesday, September 14, 2011

Chalo Woh Ishq Nahi Chaahney Ki Aadat Hai

Chalo Woh Ishq Nahi Chaahney Ki Aadat Hai .
Par Kia Karain, Humen Ek Dosrey Ki Aadat Hai .

Tu Apni Shesha Gari Ka Hunar Na Kar Zaya .
Main Aaina Hon Mujhey Tootney Ki Aadat Hai .

Main Kia Kahoon Ke Mujhe Sabar Kiun Nahi Aata .
Main Kia Karoon Ke Tujhey Dekhney Ki Aadat Hai .

Wasl Main Bhi Wohi Faasley Faraaq Ke Hain .
Key Us Ko Neend Mujhey Ratjagey Ki Aadat Hai .

Ye Khud Aziyati Kab Tak FARAZ Tu Bhi Usey .
Na Yaad Kar Key Jisey Bhoolney Ki Aadat Hai.

StatCounter