Showing posts with label Fazaye Shehar Ki Nabze. Show all posts
Showing posts with label Fazaye Shehar Ki Nabze. Show all posts

Friday, September 23, 2011

Fazaye Shehar Ki Nabze Khiraam Baith Gayee

Fazaye Shehar Ki Nabze Khiraam Baith Gayee,
Faseele Shab Pa Diya Le Ke Shaam Baith Gayee.

Wo Dhool Jis Ko Hataya Tha Apne Chehre Se,
Wo Aayino Pa Paye Inteqam Baith Gayee.

Guzarne Wala Hai Kya Roshni Ka Shahzada,
Jo Baal Khol Ke Raste Mein Shaam Baith Gayee,

Main Kis Nasheb Mein Tera Lahoo Talash Karun,
Tamam Dasht Pa Khake Khayaam Baith Gayee.

Bahut Taweel Safar Ka Tha Azm Ai "Kazim",
Hayat Chal Ke Magar Chand Gaam Baith Gayee

StatCounter