Showing posts with label Khalayoun Main Sitaarey Jaagtey Hain. Show all posts
Showing posts with label Khalayoun Main Sitaarey Jaagtey Hain. Show all posts

Sunday, October 23, 2011

Khalayoun Main Sitaarey Jaagtey Hain

Khalayoun Main Sitaarey Jaagtey Hain
Zameen Par Dukh Hamarey Jaagtey Hain

Kuraido Naa Hamaari Raakh Logon
Abhi Gham K Sharaarey Jaagtey Hain

Muqaddar Kis Tarah Soyey Gaa Mera
Abhi Meray Sahaarey Jaagtey Hain

Abhi Bheeg Jaayain Aansooun Say
Aankhoun K Kinaarey Jaagtey Hain

Tumhain Hum Dhoondtey Phirtey Hain Farhat
Muqaddar Tou Tumhaarey Jaagtey Hain!!

StatCounter