Showing posts with label Sahil. Show all posts
Showing posts with label Sahil. Show all posts

Monday, May 30, 2011

Ek Jazba Khak Hua Dil


Ek Jazba Khak Hua Dil Ki Gehrayion Me Kahin
Ta'ajjub Hai Maut Par Uski Koi Roya Tak Nahin
Sahil Se To Chale The Sath Me Hamsafar Banker
Sagar Ne Duboya Hum Hi Ko Unhe To Bhigoya Tak Nahin
Ankhon Me Zinda Khuwab Thay Ya Khuwab Me Zinda Ankhen
Tutne K Bad Hi Jana Ki Unhone To Sanjoya Tak Nahin
Nadani Me Jinki Khatir Sab Lutane Nikle The Hum
Dekho Humare Na Rehne Per Bhi Unka Kuch Khoya Tak Nahin

Wednesday, December 1, 2010

Sahil, rait, samandar, lehrain......

Sahil, rait, samandar, lehrain,
Basti, jungle, sehra, darya,
Khushbu, mousam, phool, dareechay,
Baadal, suuraj, chaand, sitaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Khaab ki baatain, yaad k qissay,
Soch k pehlu, neend k lamhay,
Dard k aansu, chain k naghmay,
Urtay waqt k behtay dhaaray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...!

Rooh ki aahat, jism ki junbish,
Khoon ki gardish, saans ki larzish,
Aankh ka pani,
Chahat k unwaan ye saray...
Aaj ye sab kuch naam tumharay...! 

StatCounter