Showing posts with label Shayad Mein Zindegi Ki Sahar. Show all posts
Showing posts with label Shayad Mein Zindegi Ki Sahar. Show all posts

Wednesday, September 21, 2011

Shayad Main Zindegi Ki Sahar Leke Aa Gaya

Shayad Main Zindegi Ki Sahar Leke Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Leke Aa Gaya

Taa-Umr Dhundhtaa Raha Manzil Main Ishq Ki
Anjaam Ye Ki Gard-E-Safar Leke Aa Gaya

Nashtar Hai Mere Haath Main, Kaandhon Pe Maiqada
Lo Main Ilaaj-E-Dard-E-Jigar Leke Aa Gaya

‘Faakir’ Sanamkade Main Na Aata Main Lautakar
Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idhar Leke Aa Gaya

StatCounter