Sunday, December 19, 2010

Bohat Aasan hai kehna

Bohat Aasan hai kehna,
Mohabat Tumse krtay hain,
Mgr Matlab Mohabat ka Samjh Lena nahi Aasan,
Mohabat Pa k Khoo dena
Mohabat Khoo k Pa lena
Ye Un logon k Qissay hain
Mohabat k jo Mujrim hain
Jo Mil jane Pe hanste hain
Bichar Jane Pe Roote hain
Mohabat krne Walay to Bohat Khamosh hote hain,
Jo Qurbat main bhi jeetay hain,
jo judaai main bhi jeetay hain,
na wo faryaad krty hain,
na wo Aansoon ko peetay hain,
bohat Aasan hai kehna
k mujhy tumse Mohabat hai..

Haath Choom Loon

uska rukh_e_mahtaab us k haath choom loon
jo bas chale to us ki har baat choom loon
choo jae jo us ki zulf ko barish ki boond
wo bond kaya barish kiya mosm_e_barsaat choom loon
bhole se kabhi aa jae mere khwab main agar
main khwab kaya neend kaya wo raat choom loon
mughe kuch ahi chahey bas khali haath par mere
rakh de wo apa haath main wo haath choom loon
rote houe lag jae kabhi mere seene se agar
main uski uske rukhsaar us ki sari zaat choom loon

Wednesday, December 1, 2010

Dasht-e-Hijraa.n Mein Na Saaya Na Sada....!!!

Dasht-e-hijraa.n mein na saaya na sada teray baad
Kitnay tanha hain teray aabla-pa teray baad

Koi peghaam na dildaar-e-nava teray baad
Khaak uraati hui guzri hai saba teray baad

Lab pe ik harf-e-talab tha na raha teray baad
Dil mein taaseer ki khahish na dua teray baad

Aks-o-aaina mein ab rabt ho kiya teray baad
Hum to phirtay hain khud apnay se khafa teray baad

Dhoop aariz ki na zulfon ki ghata teray baad
Hijr ki rut hai keh habs ki fiza teray baad

Liye phirti hai sar-e-koo-e-jafa teray baad
Parcham-e-tar garebaa.n ko hava teray baad

Perahan apna na salamat na qaba teray baad
Bus vahi hum hain vahi sehra ki rida teray baad

Nikhat-o-ney hai na dast-e-qaza teray baad
Shaakh-e-jaa.n per koi ghuncha na khila teray baad

Dil na mehtaab se ujla na jala teray baad
Aik jugnu tha chup chaap bujha teray baad

Dard seenay mein hua nauha-sara teray baad
Dil ki dharkan hai ke maatam ki sada teray baad

Kaun se rango.n ke bhanvar kesi hina teray baad
Apna khoon meri hatheli pe saja teray baad

Tujh se bichra to murjha ke hava-burd hua
Kaun deta mujhay khilnay ki dua teray baad

Aik hum hain ke be barg-o-nava teray baad
Varna aabaad hai sab khalq-e-Khuda teray baad

Aik qayaamat ki kharaashain meray chehray pe sajeen
Aik mehshar meray andar se utha teray baad

Aye falak-e-naaz meri khaak nishaani teri
Main ne matti pe tera naam likha teray baad

Tu ke simta to rag-e-jaa.n ki hadon mein simta
Main ke bikhra to sameta na gaya teray baad

Ye alag baat hai ke afshaa.n na hua tu varna
Main ne kitna tujhay mehsoos kiya teray baad

Milnay vaalay kayee mafhoom pehen ker aaye
Koi chehra bhi na aankhon ne parha teray baad

Bujhay jaatay hain khad-o-khaal manaazir afaq
Phelta jaata hai khaahish ka khala teray baad

Meri dukhti hui aankhon se gavaahi lena
Main ne socha tujhay apnay se siva teray baad

Seh liya dil ne teray baad malaamat ka azaab
Varna chubhti hai rag-e-jaa.n mein hava teray baad

Jaan-e-Mohsin mera haasil yehi mubham satrain
Sher kehnay ka hunar bhool gaya teray baad


~Mohsin Naqvi

Meray Humdum Meray Dost

Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Meray humdum, meray dost
Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Keh teray dil ki thakan
Teri aankhon ki udaasi, teray seenay ki jalan
Meri diljoyee, meray piyaar se mit jaaye gee
Gar mera harf-e-tasalli
Vo dava ho, jis se
Jee uthay phir tera ujra hua be noor dimaagh
Teri peshaani se dhul jaayen ye tazleel ke daagh
Teri beemaar javaani ko shifa mil jaaye..

Gar mujhay is ka yaqee.n ho
Meray humdum, meray dost
Roz-o-shab, shaam-o-seher
Main tujhay behlaata rahoon
Main tujhay geet sunaata rahoon
Halkay, sheeree.n..
Aabshaaron ke, bahaaron ke, chaman zaaron ke geet,
Aamad-e-subh ke, mehtaab ke, saiyyaaron ke geet,
Tujh se main husn-o-mohabbat ki hikaayaat kahoon,
Kesay maghroor haseenaaon ke barfaab se jism
Garm haathon ki haraarat mein pighal jaatay hain
Kesay aik chehray ke thehray huay maanoos nuqoosh
Dekhtay dekhtay yaklakht badal jaatay hain
Kis tarah aariz-e-mehboob ka shaffaaf biloar
Yak-bayak baada-e-ehmar se dehek jaata hai
Kesay gul-chee.n ke liye jhukti hai khud shaakh-e-gulaab
Kis tarah raat ka aivaan mehek jaata hai

Yoonhi gaata rahoon, gaata rahoon teri khaatir
Geet bunta rahoon, betha rahoon teri khaatir
Per meray geet teray dukh ka madaava he nahin
Naghma jarra nahin, moonis-o-ghamkhaar sahi
Geet nishtar to nahin, marham-e-aazaar sahi
Teray aazaar ka chaara nahin, nishtar ke siva
Aur yeh saffaak maseeha meray qabzay mein nahin
Is jahaa.n ke kisi zee-rooh ke qabzay mein nahin
Haan magar teray siva, teray siva, teray siva



Faiz Ahmed Faiz

StatCounter