Showing posts with label Aaj bhi Sham Udas Rahi. Show all posts
Showing posts with label Aaj bhi Sham Udas Rahi. Show all posts

Tuesday, July 19, 2011

Dukh Fasana Nahi Ke Tujh Se Kahen

Dukh Fasana Nahi K Tujh Se Kaheen
Dil Bhi Maana Nahi K Tujh Se kaheen,

Aaj Tak Apni Be Kali Ka Sabab
Khud B Jaana Nahi K Tujh Se Kaheen,

Be Tarah Haal Dil-e-Hai Aur Tujh Se
Dostana Nahi Kay TUjh Se kaheen,

Ek Tu Harf Aashnaa Tha Magar
Ab Zamana Nahi K TUjh Se kaheen,

Qasid ! Hum Faqeer Logon Ka
Ek Thikaha Nahi K Tujh Se kaheen,

Aye Khuda Dard-e-Dil Hai Bakhshsih Dost
Aab-o-Daana Nahi K Tujh Se kaheen,

Ab To Apna Bhi Is Gali Mein Hai "Faraz"
Aana Jaana Nahi K Tujh Se Kaheen.

Yoon Dil Se Kisi Dard Ka Paymaan Nahi Karte

Yoon Dil Se Kisi Dard Ka Paymaan Nahi Karte
Ab Jaan Pe Bani B Hai To Darmaan Nahi Karte,

Har Yaad Ko Yoon Zakhm Banate Nahi Dil Ka
Har Teer Ko Paywast-e-Rag-e-Jaan Nahi Karte,

Yeh Masla Ab Ehl-e-Muhabat Ka Hai Apna
Marte Hain To Kuch Aap Pe Ehsaan Nahi Karte,

Khat Laaen Na Laaen Tera, Hum Nama Baro Ko
Bas Dekhte Rehte Hain Pareeshaan Nahi Karte,

Aysa Bhi To Qatil Nahi Khanjar Goluu Ko
Itna Bhi To Qatil Ko Pashemaan Nahi Rakhte,

Kab Sham`een Jalata Hai Shab-e-Maah Mein Koi
Tu Aaye To Hum Ghar Mein Chargaan Nahi Karte,

Logon Ko Gumaan Tak Nahi Hota Januu Ka
Hum Dil Ki Tarah Chaak Garebaan Nahi Karte,

Hum Taj K Chale Aate Hain Yaaro Dar-e-Janaa
Ghalib Ki Tarah Minnat-e-Darbaan Nahi Karte.

Saturday, July 9, 2011

Rafaqton Ki Haseen Rut Mein,

Rafaqto'n Ki Haseen Rut Me, 
Mohabbato'n K Gulab Sare, 
Wafa Ki Dori Sy Bandh Rkhna, 
K Raasto'n Me Bikhr Na Jaye'n, 
K Ek Rasty K Do Musafir, 
Khyal Rkhna Bichar Na Jaye'n, 
Ye Jhilmilaty Sy Chand Taare, 
Ye Muskraty Se Phool Sare, 
Shafq Ki Laali Subha Ka Anchal, 
Gulabi Mosam Ye Urrty Badal, 
Gawah Hyn Meri Mohabbato'n K, 
Faqat Hy Itna Hi Tum Se Kehna, 
Mujhy Wafa Ki Saza Na Dena, 
K Yaad Rakhna Hamesha Mujh Ko, 
KABHI TUM MUJH KO BHULA NA DENA..

StatCounter