Showing posts with label Zakham. Show all posts
Showing posts with label Zakham. Show all posts

Monday, August 1, 2011

Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka

Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka,
Har Teer Ko Paivest Rug-E-Jaan Nahin Kertay,

Yeh Masla Ab Ahal-E-Mohabbat Ka Hai Apna,
Mertay Hain To Kuch Aap Pay Ahsaan Nahin Kertay,

Khat Layain Na Layain Tera Hum Naama Bron Ko,
Bus Daikhtay Rehtay Hain Paraishan Nahin Kartay,

Aisay Bhi Tou Rakhtay Nahin Khanjar Pay Gulo Ko,
Itna Bhi To Qatil Ko Pashaiman Nahin Kartay,

Kub Shamain Jalata Hai Shab-E-Mah Main Koi,
Tu Ayai Tou Ham Ghar Main Charaghan Nahin Kartay,

Logon Ko Guman Tuk Nahin Hota Hay Junoon Ka,
Hum Dil Ki Tarah Chaak-E-Garaiban Nahin Kertay,

Hum Tuj Kay Chalay Aatay Hain Yaaro Dar-E-Janan,
Ghalib Ki Tarah Minnat-E-Darban Nahin Kertay

Ek Tamasha Sa Mujh Mein Bappa Reh Gia

Sunday, July 31, 2011

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe


Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe

Wo Meharbaa Hai Tho Ikraar Kyoo Nahin Kartha
Wo Badgumaa Hai Tho Soo Baar Aazmaaye Mujhe

Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe

Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon Qateel
Gham-E-Hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
(Qateel Shifai)

Sunday, May 29, 2011

Kuch Din TO Baso Meri Aankhon Mein

kuch din to baso meri ankhon main
phir khwab agar ho jao to kya

koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya

ik aina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya

main tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya

jab ham hi na mahak phir sahib
tum bad-e-saba kahlao to kya

jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya

Aankh Aankh Jab Sehra Phailta Nazar Atta Hai

StatCounter