kuch to ehsas-e-ziyan tha pahle
dil ka ye hal kahan tha pahle
ab to manzil bhi hai khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pahle
safar-e-shauq k farsang na puch
waqt beqaid-e-makan tha pahle
ye alag bat k gam ras hai ab
is main andesha-e-jan tha pahle
yun na ghabraye huye phirte the
dil ajab kunj-e-aman tha pahle
ab bhi tu pas nahi hai lekin
is qadar dur kahan tha pahle
dere dale hain bagolon ne jahan
us taraf chashm-e-rawan tha pahle
ab wo dariya na basti na wo log
kya khabar kaun kahan tha pahle
har kharaba ye sada deta hai
main bhi abad makan tha pahle
kya se kya ho gai duniya pyare
tu wahin par hai jahan tha pahle
ham ne abad kiya mulk-e-sukhan
kaisa sunsan saman tha pahle
ham ne bakhshi hai khamoshi ko zuban
dard majbur-e-fugan tha pahle
ham ne roshan kiya mamur-e-gam
warna har simt dhuan tha pahle
gam ne phir dil ko jagaya 'Nasir'
khanabarbad kahan tha pahle
No comments:
Post a Comment