Monday, July 18, 2011

Tumharay Qaaflay Ka Har Ghari Manzar Badalta Hai

Tumharay Qaaflay Ka Har Ghari Manzar Badalta Hai
Kbhi Rahzan Badalta Hai,Kbhi Rehbar Badalta Hai..

Libaas-E-Faakhira Ki Aarzoo To Sab Ko Hui Lekin
Kahan Malboos K Andar Koi Paikar Badalta Hai..

Tum Ik Insaan K Badlay Huay Teewar Pe Hairaan Ho
Ye Wo Mousam K Panchi Bhi Apny Parr Badalta Hai..

Chahton Se Usay Maine Mohabbat Se Tarasha Hai
Bas Ab Ye Dekhna Hai Rang Kab Wo Pathar Badalta Hai..

Usay To Shouq Hai Her Dil Mein Yoon Ja kar Thehernay Ka
Wo Kuch Hi Roz Mein Ukta K Apna Ghar Badalta Hai..

Agar Maalik K Darr Se Janwar Jata Nahi To Phir..!!
Ye Insan Kaisa Insan Hai Jo Itnay Darr Badalta Hai...

No comments:

Post a Comment

StatCounter