Dayar-e-Ghair Main Kaise Tujhe Sadaa Dete
Tuu Mil Bhi Jata To Akhir Tujhe Ganva Dete
Tum Hi Ne Ham Ko Sunaya Na Hal-e-Dil Apana Warna
Duaa Wo Karte Ke Aasmaan Hilaa Dete
Hamen Ye Zoam Rahaa Ab Ke Wo Pukaarenge
Unhen Ye Zid Thi Ke Har Bar Ham Sadaa Dete
Vo Teraa Gham Thaa Ke Taasiir Mere Lehaje Ki
Ke Jis Ko Haal Sunaate, Usey Rulaa Dete
Tumhen Bhulana Hi Awwal To Dastaras Main Nahi
Jo Ikhtiyaar Bhii Hotaa To Kyaa Bhulaa Dete
Samaton Ko Main Taa-Umer Kostaa Hi Raha
Wo Kuchh Na Kehete Magar Hont To Hilaa Dete
No comments:
Post a Comment