Marne ka Tere Gham Mein Irada Bhi Nahin Hai
Hai Ishq Magar, Itna Ziyada Bhi Nahin Hai
Hai Yun Ke Ibadat Ki Zaban Aur Hai Ko’ii
Kaghaz Meri Taqdeer Ka Sada Bhi Nahin Hai
Kyun Dekhte Rehte Hain Sitaron Ki Taraf Hum
Jab Un Se Mulaqat Ka Wada Bhi Nahin Hai
kyun Rah Ke Manzar Mein Ulajh Jaati Hain Aankhen
Jab Dil Mein Ko’i Aur Irada Bhi Nahin Hai
Kyun Uski Taraf Dekh K Paon Nahin Uthtey
Wo Shakhs Haseen Itna Ziyada Bhi Nahin Hai
Kis Mor Pe Le Aaya Hamen Hijr-e-musalsal
Taa Had- e-Nigah Wisal Ka Wada Bhi Nahin Hai
Pathar ki Tarah Sard Hai Kyun Aankh Kisi Ki
Amjad jo bicharne Ka Iradah Bhi Nahin Hai
No comments:
Post a Comment