Andaz Hu Baa Hu Teri Awaz e Paa Ka Tha
Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha,
Utha Ajab Tazzad Se Insan Ka Zameer
Aadi Fana Ka Tha To Pujari Baqa Ka Tha,
Is Rishta e Lateef Ke Israr Kia Khulen
Tu Samney Tha Aor Tasswur Khuda Ka Tha,
Toota To Kitney Aina Khanon Pe Zad Pari
Atka Hua Galey Mein Jo Pather Sada Ka Tha,
Chhup Chhup Ke Roan Aor Sar E Anjuman Hanson
Mujh Ko Ye Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha,
Dil Rakh Ho Chuka To Chamak Aor Barh Gai
Ye Teri Yaad Thi Ke Amal Keemia Ka Tha,
Is Hussan E Itefaq Pe Lut Kar Bhi Shad Hoon
Teri Raza Jo Thi Wo Taqaza Wafa Ka Tha,
Hairan Hoon Ke War Se Kaise Bacha Nadeem
Wo Shakhs To Ghareeb O Ghaioor Inteha Ka Tha
Ahmed Nadeem Qasimi
No comments:
Post a Comment