Kabhi hansna, kabhi Aansoo bahaana Yaad aaiey gaa
Tumhein woh Pyar ka guzra zamaana Yaad Aeiy Gaa
Tumhein phir yaad aaien gee humari shurmgeen nigaahein
Mera woh"Rooth" kur phir muskurana Yaad Aeiy Gaa
Chupey gaa Baadalon ki ott mein jub Chaand ka chehra
Dupattey se mera woh "Moonh" chupaana Yaad Aeiy Gaa
Barhey gee shaam jub aaiey Shafaq ki surkhiyaan le kur
Tu mera woh "Haath" pe Mehndi rachaana Yaad Aeiy Gaa
Buhut kuch yaad aaiey gaa tumhein meri judaai mein
Khanakti "Chooriyon" ka Gungunaana Yaad Aeiy Gaa
Jhuka paao gey jub tum kissi nazuk si daali ko
"Haiya" ke bojh se sar ko jhukaana Yaad Aeiy Gaa
Karakti Bijliyaan maazi ke afsaaney sunaaien gee
Woh darr ke "Baazu'on " mein Kapkapaana Yaad Aeiy Gaa
Dum-e-Rukhsat ki woh ghariyaan musalsal yaad aaien gee
"Lipatt" kar tum se woh Aansoo Bahaana Yaad Aeiy Gaa
No comments:
Post a Comment