Dast basta shehr main kholay meri zanjeer koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun
Mera sar haazir hay lekin mera munsif dekh lay
Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer koun
Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main
Be-riddayii ko meri phir dey gaya tash-heer koun
Neend jub kawbon sey pyari ho toh aisey ehd main
Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun
Rait abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee
Phir lab-e-saaahil gharonda kar gaya taameer koun
Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain
Dekhna hay kheenchta hay mujh pay pehla teer koun
No comments:
Post a Comment