hai justajuu ke Khuub se hai Khuubtar kahaan
ab dekhiye Thaharatii hai jaa kar nazar kahaan
yaarab is iKhtilaat ka anjaam ho baaKhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahaan
ik umr chaahiiye ke gavaaraa ho naish-e-ishq
rakkhii hai aaj lazzat-e-zaKhm-e-jigar kahaan
ham jis pe mar rahe hain vo hai baat hii kuchh aur
aalam main tujhase laakh sahii tuu magar kahaan
hotii nahin qubuul duaa tark-e-ishq kii
dil chaahataa na ho to zubaan main asar kahaa
'Hali' nishaat naGmaa-o-mai Dhuundhate ho ab
aaye ho waqt-e-sub_h, rahe raat bhar kahaan
No comments:
Post a Comment