Kai badnamiyan hoteen , kai ilzam sar jatey
Magar ay kash hum dono’n hamee dono pe mar jatey
Agar tum khowab hotey to tumhen aankhon main rakh lete
Na goya neend se phir jagte, ha'tta k mar jatey
Agar hum roshni hote to phir ehsas ki lau se
Zameen ko chor dete mil k dono chand par jatey
Agar tum phool hote to tumhari khushboo mein rehte
Samandar ki tarah hote to hum tum mein utar jatey
Hamarey khaal o khadd kaise hain ye ab tak nahi dekha
Agar tum aaina hote to hum kitne sanwar jatey
Tumhare husn pe pehra hamare ishq ka hota
jawaan rakhte sada tum ko agar lamhay theher jatey
Agar sooraj hi hotey to phir apni dhoop ki surat
Wajood e yaar ki dharti pe SHAHI hum bikhar jatey.
No comments:
Post a Comment