Ghair Kya Jaaniye Kyon Mujhko Bura Kehte Hain
Aap Kehte Hain Jo Aisa To Baja Kehte Hain

Waaqai Tere Iss Andaaz Ko Kya Kehte Hain
Na Wafa Kehte Hain Jis Ko Na Jafa Kehte Hain

Teri Soorat Nazar Aayee Teri Soorat Se Alag
Husn Ko Ahl-E-Nazar Husn-Numa Kehte Hain

Shikvaa-E-Hijr Karein Kis Dil Se
Hum Khud Apne Ko Bhi Apne Se Juda Kehte Hain

Teri Rudaad-E-Sitam Ka Hai Bayaan Naamumkin
Faaydaa Kya Hai Magar Yoon Zara Kehte Hain

Log Jo Kuch Bhi Kahein Teri Sitam-Koshii Ko
Hum To In Baaton Ko Achchha Na Bura Kehte Hain

Auron Ka Tajurba Jo Kuch Ho Magar Hum To "Firaq"
Talkhi-E-Zeest Ko Jeene Ka Maza Kehte Hain.

No comments:
Post a Comment