Mere Dil Mere Musafir
Hua Phir Se Hukm Saadir
Ke Vatan Badar Hon Ham Tum
De Gali Gali Sadaain
Karain Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paain
Kisi Yaar-E-Naamabar Ka
Har Ek Ajnabi Se Puchain
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Ku-E-Naashanayaan
Hamain Din Se Raat Karna
Kabhi Is Se Baat Karna
Kabhi Us Se Baat Karna
Tumhain Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Gam Buri Balaa Hai
Hamain Ye Bhi Tha Ganimat
Jo Koi Shumaar Hota
Hamain Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota
By Faiz Ahmed Faiz
Hua Phir Se Hukm Saadir
Ke Vatan Badar Hon Ham Tum
De Gali Gali Sadaain
Karain Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paain
Kisi Yaar-E-Naamabar Ka
Har Ek Ajnabi Se Puchain
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Ku-E-Naashanayaan
Hamain Din Se Raat Karna
Kabhi Is Se Baat Karna
Kabhi Us Se Baat Karna
Tumhain Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Gam Buri Balaa Hai
Hamain Ye Bhi Tha Ganimat
Jo Koi Shumaar Hota
Hamain Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota
By Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment