Shaam Tak Subha Ki Nazron Se Utar Jaatay Hain
Itnay Samjhotey Pe Jeetay Hain Ke Mar Jaatay Hain
Hum To Be Naam Iraadon Ke Musaafir Hain
Kuch Pata Ho To Batayen Kidhar Jaatay Hain
Ghar Ki Girti Hui Deevarain Hi Mujh Se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain
Ek Judai Ka Wo Lamha Ke Jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay Thay Sab Waqt Guzar Jaatay Hain
Phir Wahi Talkhi-E-Haalat Muqaddar Thahri
Nashe Kaise Bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain

No comments:
Post a Comment