Jab Kabhi Un Ke Tavajjo Men Kami Pai Gai
Az Sar-E-Nava-E-Dastan-E-Shauq Doharai Gai
Bik Chuke Jab Tere Lab Phir Tujh Ko Kya Shikawa Agar
Zindagani Bada-O-Sagar Se Bahalai Gai
Ai Gham-E-Duniya Tujhe Kya Ilm Tere Wastey
Kin Bahanon Se Tabiyat Rah Par Lai Gai
Ham Karen Tark-E-Wafa Achha Chalo Youn Hee Sahi
Aur Agar Tark-E-Wafa Se Bhi Na Ruswai Gai
Kaise Kaise Chashm-O-Aariz Gard-E-Gham Se Bujh Gaye
Kaise Kaise Paikaron Ki Shan-E-Zebai Gai
Dil Kii Dhadakan Men Tavazzun Aa Chalaa Hai Khair Ho
Merii Nazaren Bujh Gaiin Yaa Terii Raanaaii Gaii
*Un Kaa Gam Un Kaa Tasavvur Un Ke Shikave Ab Kahaan*
*Ab To Ye Baaten Bhii Ai Dil Ho Gaiin Aaii Gaii*
No comments:
Post a Comment