Showing posts with label Khushbu. Show all posts
Showing posts with label Khushbu. Show all posts

Sunday, July 3, 2011

Kitna Sahal Jana Tha

kitna sahal jana tha
khushbuoon ko chu layna
sham ka her ikk manzar
ghar mei qaid ker layna
roshni sitaron ki muthiyon me bhar lena
kitna sahal jana tha
khushbuoon ko chu layna
jugnoon ke batoon say
phool jaisay angan mei
roshni se ker layna
kitna sahal jana tha
aye nazar ke khushfehmi
iss tarah nahe hota
titliyann pakarnay ko door jana perta hai

Wednesday, June 1, 2011

Tu Lafzon Ki Tarha Mujh Se Kitabon Mein Milla Kar

"Tu "Lafzon" Ki Tarha Mujh Se "Kitabon" Mein Mila Kar

"Logon Ka Tujhe "Dar" Hai Tu "Khwabon" Mein Mila Kar

"Phool Ka "Khushboo" Se "Taluk" Hai Zarori

"Tu "Mehak" Ban Kar Mujh Se "Gulabon" Mein Mila Kar

"Jise "Chhu" Kar Main "Mehsos" Kar Sakon

"Tu "Masti" Ki Tarha Mujh Se "Sharabon" Mein Mila Kar

"Main Bhi "Insan" Hon, Hai Dar Mujh Ko Bhi "Behakne" Ka

"Es "Waste" Tu Mujh Se "Hijabon" Mein Mila Kar.

Mera Har Lafz Rota Hai......!!!!

Yehi wada liya tha na,
Hamesha khush hi rahna hai,
Lo dekho! dekh lo a k,
Meri ankhon ko dekho tum,
Ye kitni shokh lagti hain,
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuratay hain,
Koi b gham agar aya,
Use hans kar saha main ne,
Mere chahre ko dekho tum,
Hamesha pursakoon hoga,
Kia tha main nay jo tum se,
Wo wada kar dia pura,
Magar i...k baat hai pyaray,
Kabhi jo waqt mil jae,
To meri shayari parhna,
Tumhain mehsos to hoga,
Kahin talkhi bhara lehja,
kahe pe sard sa lehja,
kahe dard ki jheelain,
kahe pe lehje ki karwahat,
sunu!
Main khush tu hn lakin,

MERA HER LAFZ ROTA HY. .

Monday, May 30, 2011

Kitna Sehal Jana Tha,

kitna sehal jana tha 
khoshbo ko chu lena 
barishon ke mausam mein sham ka her ek manzir 
ghar mein qeed ker lena 
roshni sitaroon ki mothion mein bhar lena 
kitna sehal jana tha
khosbon ko chu lena
jognaon ki batoon se phool jase angan mein
roshni si ker lena
oski yaad ka chehra khwabnak ankhon ki
jheel ke gholabon per deer tak sajha rakhna
kitna sehal jana tha

ay nazar ki khushfehmi iss tarha nahi hota
titlian pakrne ko door janha parta hai............

StatCounter