Friday, September 2, 2011

Aankhon Mein Ji Mera Hai,


Ankhon Mein Ji Mera Hai Idhar Yar Dekhna 
Ashiq Ka Apane Akhri Didar Dekhna 

Kaisa Chaman Ke Ham Se Asiron Ko Mana Hai 
Chak-E-Qafas Se Bag Ki Diwar Dekhna 

Ankhen Churaio Na Tuk Abr-E-Bahar Se 
Meri Taraf Bhi Didah-E-Khunbar Dekhna 

Ae Ham-Safar Na Able Ko Pahunche Chashm-E-Tar 
Laga Hai Mere Paon Mein A Kar Dekhna 

Hona Na Char Chashm Dik Uss Zulm-Paishah Se 
Hoshiyar Zinhar Khabardar Dekhna 

Sayad Dil Hai Dag-E-Judai Se Rashk-E-Bag 
Tujh Ko Bhi Ho Nasib Ye Gulzar Dekhna 

Gar Zamzama Yahi Hai Koi Din To Hamsafar 
Is Fasl Hi Mein Ham Ko Giraftar Dekhna 

Bul-Bul Hamare Gul Pe Na Gustakh Kar Nazar 
Ho Jayega Gale Ka Kahin Har Dekhna 

Shayad Hamari Khak Se Kuch Ho Bhi Ae Nasim 
Girbal Kar Ke Kucha-E-Dildar Dekhna 

Us Khush-Nigah Ke Ishq Se Parhez Kijio 
Jata Hai Leke Ji Hi Ye Azar Dekhna

No comments:

Post a Comment

StatCounter