Bharka'ain Meri Piyas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehra Mera Chehra Samandar Teri Aankahin..
Phir Kon Bhala Daad-E-Tabassum Inhe De Ga
Royain Gi Boht Mujh Se Bicher Kar Teri Aankhain..
Boojhal Nazar Aati Hain Bazahir Mujhe Lekin
Khulti Hain Boht Dil Mein Utar Kar Teri Aankhain..
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mit'ta
Bheegi Hui Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhain..
Mumkin Ho To Ik Taza Ghazal Aur Bhi Keh Loon
Phir Oorh Na Lain Khuwaab Ki Chaadar Teri Aankhain..
Main Sang-E-Sift K Ik Aisy Rastay Mein Khara Hoon
Shayad Mujh Dekhain Gi Palat Kar Teri Aankhain..
Yoon Usay Dekhtay Rehna Bhi Acha Nahi MOHSIN..!!
Wo Kaanch Ka Paikar Hai To Pathar Teri Aankahin...

Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment