Jesay Yeh Dard Say Bani Huwi Thi
Shaam Is Tarah Kasni Huwi Thi
Neend Aur Khwab Mein Thhani Huwi Thi
Dil Ki Aankhon Say Dushmani Huwi Thi
Raat Ki Apni Roshni Thi Bohat
Dhoop Kay Jesi Chandni Huwi Thi
Koei Zi Rooh Door Door Na Tha
Aur Khamoshi Bohat Ghhani Huwi Thi
Kon Tha Bann Mein Bheegnay Wala
Chadar-E-Abr Kion Tani Huwi Thi
Goonjti Thi Har Aik Saans Kay Sath
Ik Tamanna Jo Ragni Huwi Thi
Aik Muddat Kay Intazar Kay Bad
Us Darichay Mein Roshni Huwi Thi
Aaiyna Kion Siyah Lagta Tha?
Kya Andheray Say Main Bani Huwi Thi
Shaam Is Tarah Kasni Huwi Thi
Neend Aur Khwab Mein Thhani Huwi Thi
Dil Ki Aankhon Say Dushmani Huwi Thi
Raat Ki Apni Roshni Thi Bohat
Dhoop Kay Jesi Chandni Huwi Thi
Koei Zi Rooh Door Door Na Tha
Aur Khamoshi Bohat Ghhani Huwi Thi
Kon Tha Bann Mein Bheegnay Wala
Chadar-E-Abr Kion Tani Huwi Thi
Goonjti Thi Har Aik Saans Kay Sath
Ik Tamanna Jo Ragni Huwi Thi
Aik Muddat Kay Intazar Kay Bad
Us Darichay Mein Roshni Huwi Thi
Aaiyna Kion Siyah Lagta Tha?
Kya Andheray Say Main Bani Huwi Thi
Samina Raja
No comments:
Post a Comment