Saturday, September 17, 2011

Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai

Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat HAI

Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai

Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai

Zara Aye Zindagi Dum Le Tera Deedar Toh Kar Loo
Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo
Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai

Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar Tha Hai Fizaaon Mein
Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein
Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai

Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai

No comments:

Post a Comment

StatCounter