Kya Aah Bharay Koei
Jab Aah Nahin Jati Dil Say Bhi Zara Gehri
Aur Arsh Say Kuchh Oonchi
Kya Nazm Likhay Koei
Jabb Khwab Ki Qeemat Mein
Aadarsh Ki Soorat Mein
Kashkoal Gada'ei Ka
Sha'er Ko Diya Jaey
Aur Roak Liya Jaey
Jabb Shaer Utarnay Say
Badal Say Zara Oopar
Taron Say Zara Neechay
Kya Khaak Likhay Koei
Jabb Khaak Kay Medan Par
Ungli Ko Hilanay Say
Jabb Shakh Pay Imkan Ki
Iss Dasht-E-Tamanna Mein
Ik Phool Nahin Khilta
Rahwar Nahin Ruktay
Mohoam Si Manzil Par
Aankhon Kay Isharay Say
Aur Noor Ki Boondon Ki
Bochhar Nahin Hoti
Ik Neelay Sitaray Say
Jabb Dil Kay Bulaway Par
Iss Jheel Kanaray Par
Peghaam Nahin Aata
Ik Door Ka Bashinda
Ik Khwab Ka Shehzada
Gulfaam Nahin Aata
Basti Mein Koei Aurat
Raton Ko Nahin Soati
Jaagi Huwi Aurat Ki
Soei Huwi Qismat Par
Jabb Koei Bhi Deewana
Be Chain Nahin Hota
Dehleez Kay Pathar Say
Takra Kay Jabin Apni
Ik Shakhs Nahin Roata
Jabb Neend Kay Shedaei
Khwabon Ko Tarastay Hain
Aur Dekhnay Kay Aadi
Binaei Say Dartay Hain
Reh Reh Kay Andheray Say
Aankhon Mein Utartay Hain
Aankhon Kay Ujalon Say
In Phool Say Bachchon Say
Keh Do K Na Abb Nangay
Paa'on Say Chalein Ghar Mein
Iss Farsh Pay Matti Kay
Abb Ghaas Nahin Ugti
Abb Saanp Nikaltay Hain
Deewar Say Aur Darr Say
Abb Noor Ki Boondon Say
Mehki Howi Matti Mein
Anmoal Ujalay Kay
Woh Phool Nahin Khiltay
Abb Jheel Kanaray Parr
Bichhray Bhi Nahin Miltay
Basti Mein Koei Aurat
Ratoan Ko Nahin Soati
Aur Jagnay Walon Say
Bbb Nazm Nahin Hoti
Kya Nazm Likhay Koei
Jabb Jagnay,Soanay Mein
Paa Lenay Mein, Khonay Mein
Jabb Baat Kay Honay Mein
Aur Baat Na Honay Mein
Kuchh Farq Na Reh Jaey
Kya Baat Karay Koei !
Samina Raja
No comments:
Post a Comment