Wednesday, April 11, 2012

Magar Sar e Rah! By By: Lubna Iqbal (ANSU)

Tere Nishan Akshar Mujhy Milte Hain MAgar Sar e Rah
Kabhi Chehra Kabhi Bal Kabhi Khushbu

Magar Sar e Rah!

Tasawur Main To Har Chehra Tere Chehre Se Milta Hai
Haqeqat Main Bhi Milna Mujh Se

Magar Sare Rah!

Judai Ki Fasilon Ko Kanton Se Chunte Hain Log
Warna Dil To Bohat Chahta HAin Hath Main Tera Hath Ho

Magar Sar E Rah!

Logon Ki Sunty Sunty Thak Si Rahi Hun
Kash Teri Awaz Ho Ar Main Hun

Magar Sare Rah!

Tumhain He Nahi Khud Ko Bhi Dhokha Dene Ka Shok Curaya Hain
Tabhi Khoob Ghumti Hun Bohat Zoor Se Hansti Hun

Magar Sare Rah….


                By: Lubna Iqbal (ANSU)

Hawad-E-Se Zamana Ne Pareshan Hamain Itna Kea

Hawad-E-Se Zamana Ne Pareshan Hamain Itna Kea
Jidhar Bhi Gae Galati Se Ek Dil Badal Ayeee!

Darwaze Bohat Thy Uss Makan Main
Ek Se Gae To Dusry Se Nikal Aye!

Roty Hain Ham Apne He Kirdar Pe Aksar
Har Chehre Se Ek Pari Chehra Nikal Aye!

Ab To Dundli Si Hain Sab Taswerain
Jawani Ke Us Daur Se Jane Kab Nikal Aye…

                           By: Lubna Iqbal (ANSU)

Thursday, April 5, 2012

Chalo tum chor do mujh ko Nice Urdu Shairi


Chalo tum chor do mujh ko
Main wapies lot jati hoon.

Tumhain
manzil mubarak ho.

Naya saathi mubarak ho.

Magar phir aey mere
humdam

mujhy itna to batla do…..?

K wapies kis taraf
jaon….?

Kahan se saath laye thay…?

Mujhay itna to samjha
do…?

Agar aisa nahi mumkin….

To muj ko is tarah
torro

K main yaksar bikhar jaon

Bhataknay
se to behtar hai

Tumharay pass marr jaon…..!!!!!!

Yeh Lafzon Ki Shararat Hai

Yeh Lafzon Ki Shararat Hai, Sambhal Ker Kuch Bhi Likhna Tum,

Mohabbet Lafz Hai Lakin Yeh Aksar Ho Bhi Jaati Hai.....!



Wednesday, April 4, 2012

Wasi Shah Ghazal Tum meri ankh k tewar na bhula paoge

Today i am posting Wasi Shah Ghazal Urdu Poetry Tum meri ankh k tewar na bhula paoge.. It is a great Ghazal and hurt touching Words.. You may also like it... Enjoy Urdu Poetry Tum meri ankh k tewar na bhula paoge....


Tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga

is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

Monday, April 2, 2012

Urdu Poetry Is a expression of our feelings

Urdu Poetry Is a expression of our feelings



Urdu Poetry Is a expression of our feelings to others and we were say our feeling indirectly form urdu poetry to our beloved...  Some people who have never say directly that what he think in there minds but actually want to say so in that case they use urdu poetry for that...

So the point is that why we hear Urdu Poetry.... The answer is that Urdu Poetry Feels very nice and heart touching when we hear urdu poetry then we feels a change in ourselves you may also try this and tell me what can you feel? There are may Legend Poets in our country i recommend you to read and hear the urdu poetry of sagar siddiqui, ahmed faraz, parveen shakir, mirza ghalib and may more...

Nazar Nazar Beqarar Si Ha Ghazal By Sagar Siddiqui

Nazar Nazar Beqarar Si Ha Ghazal By Sagar Siddiqui



Sagar Siddiqui Is a legend and famous from his poetry. He was wrote thousands of poetry and Ghazalas whos have touches the Youths hurt.. Sagar Siddiqui was born in Ambala on 1928. His real name was Muhammad Akhtar.. Today we called him as Sagar Siddiqui because of his Poetry and Ghazals in urdu and many Languages... Today i have post a famous and nice Ghazal by Sagar Saddiqui i hope you will like it and give me your suggestios to post some nice and lovely urdu poetry.

StatCounter