Wednesday, August 31, 2011

Aj Kuch Suno Mujh Se Ke Dil Ki Halat Ajeeb Hai


Aj Kuch Suno Mujh Se Ke Dil Ki Halat Ajeeb Hai. 
Ghamgeen Hai Tabiyat Rang E Chahat Ajeeb Hai. 

Us Ki Baten Us Ki Ankhain Badal Rahi Hain. 
Lag Raha Hai Shab E Hijar Qareeb Hai. 

Tor Kar Qasmen Wo Badal Raha Hai Nigahain. 
Mein Samajh Gya Ab Us Ke Pas Raqeeb Hai. 

Bhula Kar Mujhe Ab Rehta Hai Wo Khush. 
Or Mujhe Wo Marz Diya Jis Ka Na Koi Tabeeb Hai. 

Musalsal Mere Dil Pe Gham E Yaar Ke Sitam Hain.
Yon Lagta Hai MOHSIN Ke Ab Meri Mout Qareeb Hai. 

Aks-E-Khushbu Hun Bikharnay Sy Na Rokay Koi


Aks-E-Khushbu Hun Bikharnay Sy Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaun To Mujh Ko Na Samaitay Koi

Kaanp Uthti Hun Yehi Soch K Tanhai Mein
Meray Chehray Py Tera Naam Na Parh Lay Koi

Jis Tarah Khawab Meray Ho Gayay Raiza Raiza
Is Tarah Sy Na Kabhi Toot K Bikhray Koi

Main To Us Din Sy Hirasaa'n Hun Keh Jb Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi

Ab To Is Raah Sy Woh Shakhs Guzarta Bhi Nahin
Ab Kis Umeed Sy Darwazay Sy Jhanky Koi

Jinhain Chaha Bahut Hum Ne


Jinhain Chaha Bahut Hum Ne, Magar Apna Nahi Paey: 
Bahot Ankhon Ne Barish Ki, Mujhe Woh Yad Jab Aaey¤ 

Bary Daway Thy Hamen Tum Se, Juda Ho Kar Bhe Jee Lain Gay
Magar Ek Lamha Bhar Ki Hum, Judai Seh Nahin Paey¤ 

Mein Jin Ki Rah Takta Hon Na Jany Kitne Arsay Se
Koi Un Se Zara Pochay,Woh Milne Kion Nahi Aaey¤ 

Na Janey Kab Se Apne Ap Ko Ham To Badal Bethy: 
Yeh Qismat Ke Sitaaray Kion Badalne Ko Nahi Aaey¤ 

Aay Qasid! Tum Kaho Un Se, Woh Larna Chor Dain Ham Se: 
Woh Jab Se Rooth Bethy, Tab Se Ham Bhe So Nahi Paaey¤ 

Khudaya Shukar Hai Tera Ke Yadon Par Nahein Pehra: 
Agar Yadon Pe Pehra Ho,To Phir Aashiq Kahan Jaey¤ 

Jo Kehtay Hain Mohabbat Kuch Nahin Hoti Zamanay Mein: 
Woh Khud Bhe To Mohabbt Ke Bina Kion Reh Nahi Paaey¤

Kitab Kab Tak Rahe Gi Saada


Kitaab Kab Tak Rahe Gi Saada, Kabhi Tu Aaghaz-E-Baab Hoga,
Jinhun Ne Basti Ujaar Dali, Kabhi Tu Un Ka Hisaab Hoga,

Sehar Ki Khushiyan Manane Walon, Sehar Ke Tewar Bata Rahy Hain,
Abhi Tu Itni Ghutan Barhe Gi Ke, Saans Lena Bhi Azab Hoga,

Woh Din Gaye Ke Jab Har Sitam Ko, Ada-E-Mehboob Keh Kar Chup Thay,
Uthay Gi Hum Par Jo Entt Koi, Tu Patthar Us Ka Jawab Hoga,

Sukoon-E-Sehra Main Basne Walon, Zara Ruton Ka Mizaaj Samjho,
Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzra, Tu Kal Ka Mausam Kharab Hoga

Nahi Ke Ye Sirf Shairy Hai, Ghazal Mein Tareekh E Behissi Hai,
Jo Aaj Sheron Mein Ked Dia Hai, Wo Kal Shareek E Nisab Hoga

Murtaza Barlas

Kamal-E-Fun Hi Mila Mujhay, Na Jamal Husn-E-Khayal Ka


Kamal-E-Fun Hi Mila Mujhay, Na Jamal Husn-E-Khayal Ka
Main To Na Tamam Jawab Hoon Kisi Doosray Ke Sawaal Ka

Mere Saye Se Na Simat Saka Tere Mere Dard Ka Fasla
Karain Zindagi Ke Sapurd Kya Ye To Silsila Hai Malal Ka

Mare Aaiynon Main Jami Rahi Wo Jo Raig-E- Dasht-E-Firaq Thi
Mujhay Phir Aseer Na Kar Saka Koi Rang Mazi-O-Haal Ka

Kahain Kya Kissay Koi Kya Sunay Ye Hadees-E-Dil Ka Mua'mla
Na Fasana Laila-O-Qais Ka, Na Qissa Heer Sayyal Ka

Jissay Khojti Hi Rahi Sada Tere Harf Harf Main Roz-O-Shab
Teri Ankh Main Tha Chupa Huwa Wo Jawab Mere Sawal Ka....

Tishnagi si rehti hai


Ek tere na honay say
yun tu kuch nahi hota

Pholl phir bhi khiltay hain
Chadni tu Angan mai aj bhi utarti hay

mai b yun tu zinda hon
or mere sans ki door bhi chalti hay

Rooz o shab guzartay hain
Omer dhalti rehti hay

Ek tere na honay say
yun tu kuch nahi hota

Ek kami si rehti hay
Ankh kay kinaroo per
Ek nami si rehti hay

Ek tere na honay say
Yun tu kuch nahi hota

Tishnagi si rehti hay
Tishnagi si rehti hay

Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna


Kabhi Kitabon Mein Phul Rakhna
Kabhi Darakhton Pe Nam Likhna
Hamein Bhi Hai Yad Aj Tak Wo
Nazar Se Harf-E-Salam Likhna

Wo Chand Chehre Wo Behki Baten
Sulagte Din The Mehakti Raten
Wo Chote-Chote Se Kagzon Par
Muhabbaton K Payam Likhna

Gulab Chehron Se Dil Lagana
Wo Chupke Chupke Nazar Milana
Wo Arzuon K Khwab Bunna
Wo Qissa-E-Natamam Likhna

Mere Nagar Ki Hasin Fizao
Kahin Jo Un K Nishan Pao
To Puchna Ye Kahan Basey Ho
Kahan Hain Un Ka Qayam Likhna

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna


Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna !!
Dikhai Kuch Nahi Deta..
Sunai Kuch Nahi Deta..
Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz...
Jo Hoonton Per Theher Jayen..
Ubharti Doobti Dharkan...
Usey Aawaaz Deti Hai.
Koi Apna Ke Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho...
Ke Jis Ke Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon..
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna....
Jisey Dil Mein Basaya Ho..
Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho...
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna...
Bohat Takleef Deta Hai..Kisi Ko Al-Vida Kehna.

Yahi Hai Na


یہی ھے نا ! تمہاری بے دھیانی سے گریزاں ھیں
کہ اب تو ھم بھی اپنی رایٔیگانی سے گریزاں ھیں

تجھے بس ایک پل کو دیکھنا تھا بات کرنا تھی
مگر اب تیرے لہجے کی گرانی سے گریزاں ھیں

تمہارے نام پر جلتا دیا بجھنے نہیں د یتے
مگر دِل پر تمہا ری حکمرانی سے گریزاں ھیں

فریبِ گفتگو نے دیر تک محصور رکھا ھے
مگر اب ھم فضاۓ خوش گمانی سے گریزاں ھیں

عذابِ تشنگی نے جسم و جاں کو ریت کر ڈالا
لبِ دریا کھڑے ھیں اور پانی سے گریزاں ھیں

تجھے تسخیر کرنا تھا کسی دلدار ساعت میں
مگریوں ھے کہ اب سا ری کہا نی سے گریزاں ھیں

نوشی گیلانی

Koi Umeed Jo Hoti Tere Loat Ane Ki


Koi Umeed Jo Hoti Tere Loat Ane Ki,
Phir Na Hoti Esi Halat Dil Dewane Ki,
Me To Hr Hal Me Khush Rehne Ki Justju Me Raha,
Na Gai Teri Adat Wo Satane Ki,
Zindagi Jabr-E-Musalsal Ki Tarha Kaat Raha Hun,
Nahen Deta Koi Dua B Mar Jane Ki,
Tere Sang Beta Hr Lamha Yad Ata Hai,
Jb B Koshish Ki Tuje Bhulane Ki,
Ab To Aksar Yehe Sochta Hun Wasi,
Tuj Ko Mangun Ya Mangun Dua Tuje Bhul Jane Ki…

Niyat-E-Shauq Bhar Na Jaye Kahin


Niyat-E-Shauq Bhar Na Jaye Kahin 
Tu Bhi Dil Se Utar Na Jaye Kahin 

Aaj Dekhaa Hai Tujhe Der Ke Baad 
Aaj Kaa Din Guzar Na Jaaye Kahin 

Na Milaa Kar Udaas Logon Se 
Husn Teraa Bikhar Na Jaaye Kahin 

Aarazuu Hai Ke Tuu Yahaa.N Aaye 
Aur Phir Umr Bhar Na Jaaye Kahin 

Jii Jalaataa Huu.N Aur Ye Sochataa Huun 
Raayegaa.N Ye Hunar Na Jaaye Kahin 

Aao Kuchh Der Ro Hii Len 'Nasir'
Phir Ye Dariyaa Utar Na Jaaye Kahin 

Wo Udaas Dhoop Samait Kar Kahin Wadiyon Mein Chal Diya


Wo Udaas Dhoop Samait Kar Kahin Wadiyon Mein Chal Diya
Aey Mere Dil Tu Na De Sada Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya

Ye Safar Kitna Taveel Hai Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai
Kahan Lot Kar Koi Aye Ga Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya

Wo Wafain Thin Ya Jafain Thin Ye Na Soch Kis Ki Khatain Thin
Jo Tera Hai Us Ko Gale Laga Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya

Ye Duniya Aik Faraib Hai Yahan Koi Kisi Ka Apna Nhi
Ye Ujaar Mehlon Ki Sun Sada Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya...!

Kahaan Woh Shokhiyan Pehle Si


Kahaan Woh Shokhiyan Pehle Si, Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-Jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se Toh
Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Mann Aankhon Mein

Na Samjho Chup Hain; Toh Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

Mile They Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
Toh Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein

Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein

Usay Mein Ne Hi Likha Tha,


Usay Main Ny Hi Likha Tha K,
Lehjy Barf Ho Jayen To Piaghla Nahi Karty,
Parindy Darr Ky Urr Jayen To Lota Nahi Karty
Usy Main Ny Hi Likha Tha ,
Yaqeen Uth Jaye Tou Shayed Kabhi Wapis Nahi Aata,
Hawon Ka Koi Tufan Kabhi Barish Nahi Lata.
Usy Main Ne Hi Likha Tha K,
DIL Ek Bar Toot Jaye To, Kabhi Jurr Nhi Pata,
Wabasta Jin Se UMEEDEN Hon, Wo Badal Jayen Tou,
Jiye Nahi Jata .

Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahan?


Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahan?
Woh Shab-O-Roz-O-Maah-O-Saal Kahan?

Fursat-E-Kaarobaar-E-Shauq Kise?
Zauq-E-Nazzaraa-E-Jamaal Kahan?

Dil To Dil Wo Dimaagh Bhee Na Rahaa
Shor-E-Sauda-E-Khatt-O-Khaal Kahan?

Thee Woh Ik Shakhs Ke Tasavvur Se
Ab Woh Raanaai-E-Khayaal Kahan?

'Eisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
Dil Mein Taaqat Jigar Mein Haal Kahan?

Hamse A Qamaar_Khaana-E-Ishq
Waan Jo Jawain, Girah Mein Maal Kahan?

Fikr-E-Duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon
Main Kahan Aur Ye Wabaal Kahan?

Muzmahil Ho Gaye Quwa'a 'Ghalib'
Wo Anaasir Mein 'Eitdaal Kahan?
{Mirza Ghalib}

Sunday, August 28, 2011

Bharosa toot janay sy zara pahlay bata daina

 Bharosa toot janay sy zara pahlay bata daina
Mujhy tum azmany se zara pahly bata daina
Kisi heely bahany sy zara pahly bata daina
K mujh ko tum bholany sy zara pahly bata daina
Zamin ke rait pe tum ny mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitany sy zara pahly bata daina
Mairy dilber k is dill pr main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay sy zara pahly bata daina
Kisi bhe mor pe Mohsin
bura pao agar mujh ko zara pahly bata daina ...

Tum Aor Mein


Barish,Badal,
Tum Or Main.
Khushbu, Mosam,
Tum Or Main
Kaley Badal, Rim Jhim Barish,
Neela Anchal Tum Or Main
Behti Nadiyan, Girta Pani,
Aankhein, Aansu
Tum Or Main
Pass Kisi Dariya K Koi
Bheega Jhonpar
Tum Or Main
Door Kahin Koyal Ki Ku Ku,
Gehra Jangal
Tum Or Main
Barkha Rim Jhim Geet Sunaein,
Jhurmat Dalein,
Tum Or Main
Door Kahin Per Chota Sa Ik,
Kach’cha Sa Ghar
Tum Or Main
Kandha Tera Or Sar Mera,
Pagal Si Chup
TUM OR MAIN’……..

Bhoole Na Kisi Haal Mein Aadaab-E-Nazar Ham


Bhuule Na Kisii Haal Men Aadaab-E-Nazar Ham
Mur Kar Na Tujhe Dekh Sake Vaqt-E-Safar Ham

Ai Husn! Kisii Ne Tujhe Itnaa To Na Chaahaa
Barbaad Hu’aa Tere Liye Kaun, Magar Ham 

Jiine Ka Hamen Khud Na Milaa Vaqt To Kyaa Hai
Logon Ko Sikhlaate Rahe Jiine Kaa Hunar Ham

Ab Tere Ta’lluq Se Hamen Yaad Hai Itnaa
Ek Raat Ko Mehmaan Rahe The Tere Ghar Ham

Duniyaa Kii Kisii Chhaanv Se Dhundlaa Nahiin Saktaa
Aankhon Men Liye Phirte Hain Jo Khvaab-E-Sehar Ham

MUHABBAT MEY HISAAB KESA.


MUHABBAT MEY IMKAN KESA
YAQEEN KESA GUMAAN KESA

AROOJ KESA ZAWAAL KESA
MUHABBAT MEY SAWAAL KESA

RIWAAJ KESA SAMAAJ KESA
MUHABBAT MEY NISAAB KESA

MUHABBAT TO MUHABBAT HAI
MUHABBAT MEY HISAAB KESA..!!

Thursday, August 25, 2011

Kabhi Yad Ao To Is Terha


Kabhi Yad Ao To Is Terha!!!!
Kay Lahoo Ki Sari Tamazten,
Tumhen Dhoop Dhoop Samait Len,
Tumhen Rang Rang Nikhaar Den,
Tumhen Harf Harf Main Soch Len,
Tumhen Dekhny Ka Jo Shooq Ho,
Too Dar-E-Hejar Ki Tairgee
Ko Marsa Ki Nook Say Nooch Len,
Kabhi Yad Aoo To Iss Terha,
K Dil-O-Nazer Main Otar Sako,
Kabhi Had Say Hebss-E-Janon Bharay,
Too Hawass Ban K Bekher Sakoo,
Kabhi Khool Sakoo Shab-E-Wasal Main,
Kabhi Khoon-E-Dil Main Sanwar Sako,
Sar-E-Rah Gozar Jo Milo Kabhi,
Na Therhr Sakoo..Na Guzar Sakoo,
Mera Dard Pher Say Gazal Bany,
Kabhi Gongonaoo To Iss Terha,
Meray Zakham Pher Say Gollab Hon,,
Kabhi Muskraoo Too Iss Terha,,
Mere Dharkanen B Larzz Othen,
Kabhi Choot Khao To Iss Terha,
Kabhi Dil Dokhaoo Too Iss Terha,
Na Seemat Saken Na Bekher Saken,
Kabhi Bhool Jao To Iss Terha,
Kesi Toor Jan Say Gozar Saken,
Kabhi Yaad Aoo To Iss Terha,,..

Main Aur Meri Bekhudi Ab Teray Naam Hay


Main Aur Meri Bekhudi Ab Teray Naam Hay,
Meri Tamaam Zindagi Ab Teray Naam Hay.
Socha Tha Zindagi Ka Safar Tanha Karain Gay,
Iss Zindagi Ki Har Khushi Ab Teray Naam Hay.
Logon Ki Baat Dil Pe Na Lena Kabhi Sanam,
Meri Toe Sans Akhri Ab Teray Naam Hay.
Jalnay Do Inko Jalnay Ki Aadat Hay Purani,
Main Aur Meri Dosti Ab Teray Naam Hay.
Hum Say Wafa Karo Na Karo Jan-E-Tamanna,
Apni Toe Sari Zindagi Ab Teray Naam Hay.
Ehsas Zindagi Ka Mujhay Denay Walay Sunn,
Lamha Meri Ghari Meri Ab Teray Naam Hay.
Na Faasla Koi Hay Na Deewar-E-Dushamanaan,
Yeh Chaand Aur Yeh Chandni Ab Teray Naamhay.
Yeh Aarzoo Choti Si Mussawir Ke Dil Main Hay,
Woh Bhi Kahay Yeh Aashiqi Ab Teray Naam Hay.

Zabt E Girya Say To Kuch Aur Bhi By,Kal Howay Hum


Zabt E Girya Say To Kuch Aur Bhi By,Kal Howay Hum
Phir Jo Tanhaai Main Roy Hain To Jal Thal Howay Hum.

Yehi Tahzeeb E Dil O Ja,N Hy , Mahabbat Kya Hy
Tum Nay Diwana Kya Hum Ko To Pagal Howay Hum.

Zindagi Thi Tera Paymaan E Wafa Tu Na Tha
Phir To Yun Tout K Bikhray Hain K Pal Pal Howay Hum.

Yaar Agyaar Sabhi Ahl E Tamasha Niklay
Kitnay Tanha Thy K Jab Dakhil E Zinda,N Howay Hum.

Ye Kahani Kisi Ek Mour Py Ruk Jati Thi
Tu Howa Shamil E Qisa To Mukamal Howay Hum.

Dum Bhi Lainay Na Dya Zarbat E Dunya Nay Faraz
Phir Jo Mismaar Howay Hain To Musalsal Howay Hum.

Hamain Maar Gaye Teri Chah Piya

Mera Sham Salona Shah Piya
Humain Maar Gayi Teri Chah Piya

Kabhi Jaro'n Mai Zehar Utar LiyaTeri Chah Piya
Kabi Labo'n K Pechay Marliya
Is Dar Say Kay Dukh Ki Shidat Main
Kahin Nikal Na Jaye Ahh Piya

Mera Shaam Salona Shah Piya
Humain Maar Gayi Teri Chah Piya

Humain Jungal Jungal Bhatka Do
Humain Suli Suli Latka Do
Jo G Say Chaho Yaar Karo
Hum Parh Jo Gaye Teri Rah Piya

Mera Shaam Salona Shah Piya
Humain Maar Gayi Teri Chah Piya

Kahin Rooh Main Pyaas Pukaray Gi
Kahin Ankh Mai Aas Pukaray Gi
Kahin Khoon Kahin Dil Bolay Ga
Kbhi Aana Maqtal Gah Piya

Tum Kehti Ho, Khat Waps Kar Do,


Tum Kahti Ho
Meray Khat Mujh Ko
Wapis Kar Doo ..
Wapis Kar Doo
Beghi Shamian
......Khushbu Yaadain ..
Sari Baatain
Tum Kahti Ho ..
Wapis Kar Dooo..

Kutch Soohkay Phool
Kitabo Mian
Aik Chehra Hai
Meray Khuwaabon Mian
Kutch Tuhfay Hain
Tasveerain Hain
Meray Daman Main
Yehi Cheezain Hain ..

Nigah-E-Yar k Pardon Mein Hy Pinha Ada Kesi


Nigah-E-Yar k Pardon Mein Hy Pinha Ada Kesi,
Sitam Kesa,Karam Kesa,Jafa Kesi,Wafa Kesi;

Ye Jo Tufan Smandar Hen Ye Sb Hasti k Manzar Hain,
Agr Qismt Mein Jalna Ho Dawa Kesi Doua Kesi;

Sunegy Kon Ab Mjh se Tere Behroop k Qissy,
Mjhe B Maar k Kr Di Karam Ki Intiha Kesi;

Agr Dil Haar Hi Bethy Mery HumDum Mohbt Mein,
Fana Kesi,Baqa Kesi,Saza Kesi,Jaza Kesi;

Boht Muddat Se Hum Apne Muqabil Se Nhi Hary,
Bula Le Hum B Dekhenge k Hy Shaam-e-Qaza Kesi!

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam


Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam
Hmaray Shahar Mein Utra Kamaal Ka Mousam
Wo Ek Dua Jo Meri Na Muraad Lout Ayi
Zuban Say Oth Gaya Phir Sawaal Ka Mousam
Bohat Dinon Say Merey Zahan K Darichon Mein
Thahar Gya Hay Tumharay Khayaal Ka Mousam
Jo Bay Yaqeen Hon Baharain Ujhar Be Sakti Hain
Too A Kay Dekh Merey Zawaal Ka Mousam
Mohabatain Be Teri Dhoop Chaon Jaisi Hain
Kabhi Yeh Hijar,Kabhi Yeh Vasaal Ka Mousam
Koi Mila He Nahi Jis Ko Sonptay Mohsin
Hum Aisay Khavab Ki Khushboo,Khyaal Ka Mousam

Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duaa Rakhna


Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duaa Rakhna
Aa Jaye Koi Shayud Darwaza Khula Rakhna

Ehsas Ki Shamma Ko Iss Tarha Jala Rakhna
Apni B Khabr Rakhna Uskab Pata Rakhna

Ik Boond B Ashkon Ki Daman Na Bhigo Paye
Gham Uski Amanat Hai,Chehry Pe Saja Rakhna

Raaton Ko Bhatkney Ki Deta Hai Saza Mujhko 
Dushwar Hai Pehlu Mey Dil Tere Bina Rakhna

Logon Ki Nigahon Ko Padh Leney Ki Adat Hai
Halat Ki Tehrirein Chehrey Se Bacha Rakhna

Bhuloon Main Agar Ay Dil Tu Yaad Dila Dena
Tanhai K Lamhon Ka Har Zakhm Hara Rakhna

Iss Tarha QATEEL Uss Se Bartao Rahe Apna
Wo B Na Bura Maney Dil Ka B Kaha Rakhna

Wo Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare


Wo Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare
Main Tujh Ko Bhul K Zinda Rahun Khuda Na Kare

Rahega Sath Tera Pyar Zindagi Bankar
Ye Aur Bat Meri Zindagi Wafa Na Kare

Ye Thik Hai Nahin Marta Koi Judai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Juda Na Kare

Suna Hai Usko Mohabbat Duayen Deti Hai
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai Use
"Qateel" Jan Se Jaye Par Iltaja Na Kare

Nukta Cheen Hai, Ghum-E-Dil Us Ko Sunaye Na Bane


Nukta Cheen Hai, Ghum-E-Dil Us Ko Sunaye Na Bane
Kia Bane Baat, Jahan Baaat Banaye Na Bane

Main Bulata To Hoon Us Ko, Magar Ae Jazba-E-Dil
Us Pe Ban Jaye Kuch Aisee, Ke Bin Aaye Na Bane

Khail Samjha Hai, Kahin Chor Na De, Bhool Na Jaye
Kaash! Yun Bhi Ho Ke Bin Mere Sataye Na Bane

Gha'ir Phirta Hai Liye Yun Tere Khat Ko Keh Agar
Koi Poochay Ke Ye Kia Hai, To Chupaye Na Bane

Is Nazakat Ka Bura Ho, Wo Bhale Hain, To Kia
Haath Aayen, To Unhain Haath Lagaye Na Bane

Keh Sake Ga Kaun, Ye Jalwa Gari Kis Ki Hai
Parda Chora Hai Wo Us Ne Ke Uthaye Na Bane

Maut Ki Rah Na Dekhoon? Ke Bin Aaye Na Rahe
Tum Ko Chahoon? Ke Na Aao, To Bulaye Na Bane

Bolh Wo Sir Se Gira Hai Ke Uthaye Na Uthe
Kaam Wo Aan Para Hai Ke Banaye Na Bane

"Ishq Par Zor Nahin, Hai Ye Wo Aatish Ghalib"
"Ke Lagaye Na Lage, Aur Bujhaye Na Bane"

Hazaroon Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti


Hazaroon Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Hai Tum Se Bas Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Tera Har Baar Mere Khat Ko Parhna Or Ro Dena
Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Kia Tha Hum Ne Kempas Ki Nadi Pe Ikk Haseen Wada
Bhley Hum Ko Parey Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Jahan Main Jab Talak Panchi Chehaktey Urtey Phirtey Hain
Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Puraney Ahad Ko Jab Zinda Karne Ka Khyaal Aaye
Mujhy Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Woh Tera Hajar Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehley
Buhat Rotey Hooye Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Agar Hum Hasrtoon Ki Qabar Main Hi Dafan Ho Jaeen
Tu Yeh Katboon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Pooraney Rabtoon Ko Phir Se Naye Wade Ki Khwahish Hai
Zara Ikk Baar Tu Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.
Gay Lamhaat Fursat Ke Kahan Se Doond Ker Laoon
Woh Pehroon Haath Per Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti

Mairay Wajood Kee Jageer Us Ne Mangi Hai


Mairay Wajood Ke Jageer Us Ne Mangi Hai

Ajab Khwab Ke Tabeer Us Ne Maangi Hai

Us Ke Qaid Main Rahti Hoon Main Pahlay Bhe

Na Janay Phir Keon Zanjeer Us Ne Mangi Hai

Gumaan Hota Hai Wo Bhool Sakta Hai Mujhay

Keon K Aj Mairy Tasveer Us Ne Mangi Hai

Mairay Khuda Mujhay Us K Naseeb Main Likh De

Keh Mujh Se Mairy Taqdeer Us Ne Mangi Hai…

Chehray Pe Mery Zulf Ko Bikhrao Kisi Din


Chehray Pe Mery Zulf Ko Bikhrao Kisi Din
Kyun Roz Garajtay Ho Baras Jao Kisi Din..

Perhon Ki Tarah Husn Ki Barish Mein Naha Loon
Baadal Ki Tarah Jhoom K Ghir Aao Kisi Din..

Khushboo Ki Tarah Guzro Mery Dil Ki Gali Se
Phoolon Ki Tarah Mujh Pe Bikher Jao Kisi Din..

Guzrain Jo Mery Ghar Se To Ruk Jayain Sitaray
Istarah Meri Zaat Ko Chamkao Kisi Din..

Main Apni Her Ik Saans Isi Raat Ko De Doon..!!
Sir Rakh K Mery Seenay Pe So Jao Kisi Din...

Resham Zulfon Neeli Aankhon Walay Achay Lagtay Hain


Resham Zulfon Neeli Aankhon Walay Achay Lagtay Hain
Main Shaa'ir Hoon Mujhko Ujlay Chehray Achay Lagtay Hain..

Tum Khud Socho Aadhi Raat Ko Thanday Chaand Ki Chaaon Mein
Tanha Raahon Par Hum Dono Kitnay Achay Lagtay Hain..

Aakhir Aakhir Sachay Qool Bhi Chubhtay Hain Dil Walon Ko
Pehly Pehly Payar K Jhootay Waaday Achay Lagtay Hain..

Jab Se Wo Pardees Gaya Hai Sheher Ki Ronaq Rooth Gayi
Ab To Apny Ghar K Band Dareechay Achay Lagtay Hain..

Kaali Raat Mein Jagmag Karty Taaray Kon Bichata Hai?
Kis Dulhan Ko Ye Moorti,Ye Gehnay Avhay Lagtay Hain..

Kal Us Roothay Roothay Yaar Ko Dekha To Mehsoos Huwa..!!
MOHSIN Ujlay Jism Pe Meelay Kapray Achay Lagtay Hain...

{Mohsin Naqvi}

Waasta Husn Se Ya Shiddat-E-Jazbaat Se Kya


Waasta Husn Se Ya Shiddat-E-Jazbaat Se Kya?
Ishq Ko Tery Qabeelay Ya Meri Zaat Se Kya?..

Meri Masroof Tabiyat Bhi Kahan Rok Saki
Wo To Yaad Aata Hai Usko Mery Din Raat Se Kya..

Piyas Dekhon Ya Karon Fikr K Ghar Kacha Hai?
Soch Mein Hoon K Mera Rishta Hai Barsaat Se Kya..

Aaj Usay Fikr Hai Kya Log Kahain Gay Munsif..!!
Kal Jo Kehta Tha Mujhe Rasm-O-Rawayaat Se Kya...

Husn Ko Be-Hijaab Hona Tha


Husn Ko Be-Hijaab Hona Tha
Shauq Ko Kaamayaab Hona Tha

Hijr Mein Kaif-e-Iztaraab Na Puch
Khoon-e-Dil Bhi Sharaab Hona Tha

Tere Jalvon Mein Ghir Gaya Aakhir
Zarre Ko Aafataab Hona Tha

Kuch Tumhari Nigaah Kaafir Thi
Kuch Mujhe Bhi Kharaab Hona Tha

Raat Taaron Ka Tutna bhi 'Majaz'
Baais-e-Iztaraab Hona Tha

Ye Kya Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni


Ye Kya Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni
FARAZ Tumko Na Aayin Mohabbat'ain Karni..

Ye Qurb Kya Hai K Tu Saamnay Hai Aur Humain
Shumaar Abhi Se Judai Ki Saa'atain Karni..

Koi Khuda Ho K Pathar Jisay Bhi Hum Chaa'hain
Phir Tamaam Umr Usi Ki Ibaadat'ain Karni..

Hum Apny Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko
Zara Si Baat Pe Barpa Qayamat'ain Karni..

Milayain Jab Un Se To Mubham Si Guftagu Karna..!!
Phir Apny Aap Se So So Wazahat'ain Karni...

{Ahmad Faraz}

AANKHAIN


‎"AANKHAIN"

Zeher Mein Doobi Nokon Walay
Teer Chalaye Saray Us Se Taariki Mein
Lekin Usko Khoob Khabar Thi!!
Ghoor Andheeri Raahon Mein
Main Ne Aankhain Rakh Chori Hain...

{Fakhra Batool}

Log Kyun Basa Ke Ujartay Hain Kabhi Socha Hai


Log Kyun Basa Ke Ujartay Hain Kabhi Socha Hai
Kis Liye Jaan Se Guzartay Hain Kabhi Socha Hai..

Kaisy Palkon Ki Larazti Hui Mandeeron Par
Senkron Deep Chamaktay Hain Kabhi Socha Hai..

Go Baharon Mein Chaman Hotay Hain Aabaad Magar
Phool pamali Se Dartay Hain Kabhi Socha Hai..

Rang Chehray Ka Badal Jata Hai Pal Bhar K Liye
Log Jab Baat Badaltay Hain Kbhi Socha Hai..

Narsai Se Nahi Marta Koi,Maan Liya..!!
Dil Mein Aaray Se Jo Chalaty Hain Kbhi Socha Hai

{Fakhra Batool}

Woh Poochhte Hain Hijr Mein Hai Iztiraab Kya


Woh Poochhte Hain Hijr Mein Hai Iztiraab Kya
Hairaan Hun Ke Dun Unhen Is Ka Jawaab Kya

Dil Aur Woh Bhi Sirf Mira Dardmand Dil
Teri Nigaah Ne Yeh Kiya Intekhaab Kya

Nazzaara E Jamaal Ki Ya,N Taab Hi Nahi
Ay Barq E Husn Chaahiye Tujh Ko Naqaab Kya

Wa'ada Bhi Kar Lo Wa'ada Pe Ya,N Aa Bhi Jaao Tum
Yeh Sab Sahi Tumhaari Nahi Ka Jawaab Kya

Toota Huwa Iqrar-E-Wafa Saath Liye Jaa


Toota Huwa Iqrar-E-Wafa Saath Liye Jaa
Barbaad-E-Mohabbat Ki Dua Saath Liye Jaa

Ek Dil Tha Jo Pehele Hi Tujhe Sonp Diya Tha
Yeh Jaam Bhi Aye Jaan-E-Wafa Saath Liye Jaa

Tapti Hui Rahon Me Tujhe Aanch Na Ponchey
Dewane Ashkon Ki Ghata Saath Liye Jaa

Shamil Hai Mera Khoon-E-Jigar Teri Heena Mein
Yeh Kam Hai To Ab Khoon-E-Wafa Saath Liye Jaa

Hum Jurm-E-Mohabbat Ki Saza Payenge Tanha
Jo Tujh Se Hui Ho Woh Khata Saath Liye Jaa

Toota Huwa Iqrar-E-Wafa Saath Liye Jaa
Barbaad-E-Mohabbat Ki Dua Saath Liye Jaa

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se


Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad,

Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad

Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad

Tu Zindagi Hai Tera Kaam Safar Karna Hai,
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad,

Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri,
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad,

Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka,
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad,

Meri Chahat Mein To Shamil Hai Khuda Ki Chahat,
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad,

Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin,
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad,

Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua,
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha


Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Tere Honay Par Bhi Khud Ko Tanha Samjhon


Tere Honay Par Bhi Khud Ko Tanha Samjhon...
Mein Be-Wafa Hoon Ya Tujh Ko Be-Wfa Samjhon....?

Teri Be-Rukhi Se Waqt To Guzar Gya Hai Mera...
Yeh Khud'dari Hai Ya Teri Anaa Samjhon...?

Tere Baad Kia Haal Hua Hai Mera...
Yeh Teri Inayat Hai Ya Saza Samjhon...?

Zakham Dete Ho Aur Marham Bhi Lgatay Ho Faraz
Yeh Teri Adat Hai Ya Ada Samjhon...?

Dil Ke Sun_Saan Jaziiro.N Kii Khabar Laayegaa


Dil Ke Sun_Saan Jaziiro.N Kii Khabar Laayegaa 
Dard Pahaluu Se Judaa Ho Ke Kahaa.N Jaayegaa

Kaun Hotaa Hai Kisii Kaa Shab-E-Tanha_Ii Me.N 
Gam-E-Furqat Hii Gam-E-Ishq Ko Bahalaayegaa

Chaa.Nd Ke Pahaluu Me.N Dam Saadh Ke Rotii Hai Kiran 
Aaj Taaro.N Kaa Fusuu.N Khaak Nazar Aayegaa

Raakh Me.N Aag Dabii Hai Gam-E-Maharuumii Kii 
Raakh Ho Kar Bhii Ye Sholaa Hame.N Sulagaayegaa

Vaqt Khaamosh Hai Ruuthe Hue Yaaro.N Kii Tarah 
Kaun Lau Dete Hue Zakhmo.N Ko Sahalaayegaa

Dhuup Ko Dekh Ke Us Jism Pe Pa.Datii Hai Jhamak 
Chhao.N Dekhe.Nge To Us Zulf Kaa Dhyaan Aayegaa

Zindagii Chal Ki Zaraa Maut Kaa Dam_Kham Dekhe.N 
Varnaa Ye Jazbaa Lahad Tak Hame.N Le Jaayegaa

Tum Mujhko Gurriya Kehte Ho


Tum Mujhko Gurriya Kehte Ho,
Theek He Kehte Ho,
Khelnay Walay Sab Hathoan Ko
Mein Gurriya He Lagti Hun,
Jo Pehna Do,Mujh Pe Sujayga,
Mera Koi Rang Nahin,
Jis Buchay K Hath Thuma Do,
Meri Kisi Se Jang Nahin,
Soati Jagti Aankhain Meri,
Jub Chahay Beenaee Le Lo,
Koook Bharo Aur Batain Sun Lo,
Ya Meri Goyaaee Le Lo,
Maang Bharo Senduur Lagao,
Pyar Karo ,Aankhoan Mein Basao,
Aur Phir Jub Dil Bhar Jaaiy Tau,
Dil Se Utha K Taaq Pe Rakh Do

Tum Mujh Ko Gurriya Kehte Ho,
Theek He Kehtay Ho

Parvin Shakir

Wednesday, August 24, 2011

Kbhi Aansoo.Kbhi Khushboo,Kbhi Naghma Ban Kar


Kbhi Aansoo.Kbhi Khushboo,Kbhi Naghma Ban Kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban Kar..

Chaan Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saaya Ban Kar..

Meri Jaagi Hui Aankhon Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Ban Kar..

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Mery Honton Pe Machalta Hai Jo Naghma Ban Kar..

Raat Bhi Aaye To Bhujti Nahi Chehray Ki Chamak
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Ban Kar..

Mera Kya Haal Hai Ye Aa K Kbhi Dekh To Le
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Huwa Waada Ban Kar..

Dhoop Mein Khoo Gaya Wo Haath Churra Kar..!!
Ghar Se Jo Saath Chala Tha Mera Saaya Ban Kar...

Meri Zindagi Tu Firaq He Wo Azal Se Dil Mein Makeen Sahi


Meri Zindagi Tu Firaq He Wo Azal Se Dil Mein Mukeen Sahi
Wo Nigah-E-Shuq Se Door He Rag-E-Jaan Se Lakh Qareeb Sahi

Hamein Jan Deni He Ik Din Wo Kisi Trhan Wo Kahein Sahi
Hamein Ap Kheinche He Daar Per Jo Nai Koi Tu Hamein Sahi

Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashar Ho Hamein Intizar Qabool He
Wo Kabi Mile , Wo Kahein Mile ,Wo Kabi Sahi ,Wo Kahein Sahi

Na Ho Un Pe Jo Mera Bas Nai Yeh K Ashiqi He Hawas Nai
Mein Unhein Ka Tha Mein Unhein Ka Hun Wo Nai Mere Tu Na Sahi

Jo Ho Feisla Wo Sunaey Use Hashar Pe Na Uthaeiy
Jo Karein Ge Aap Sitam Wahan Wo Abi Sahi Wo Yehein Sahi

Unhein Dekhne Ki Jo Lou Lagi Tu Dekh Hi Lein Ge Hum
Wo Hazar Ankh Se Dour Ho , Wo Hazar Parda Nasheen Sahi

Merey Wahm-O- Guman Se Bhi Zyada Toot Jata Hai


Merey Wahm-O- Guman Se Bhi Zyada Toot Jata Hai.
Ye Dil Apni Hadoon Mein Reh Kar Itna Toot Jata Hai.

Mein Roaoon To Daro Dewar Mujh Pey Hansney Lagtey Hain.
Hansoon To Merey Andar Janey Kya Kya Toot Jata Hai.

Mein Jis Lamhey Ki Khawahish Mein Safar Karta Hoon Sadyoon Sey.
Kahin Paoon Taley Aa Kar Who Lamha Toot Jata Hai.

Merey Khwaboon Ki Basti Sey Janazey Uthtey Jatey Hain.
Meri Aankhein Jisey Choo Lein Who Sapna Toot Jata Hai.

Najaney Kitni Mudat Se Hai Dil Mein Ye Amal Jari
Zara Si Thees Lagti Hai Zara Sa Toot Jata Hai

Dil E Nadan Hamari To Namo Hi Na Muqamal Thi
To Herat Kya Jo Bantey Hi Irada Toot Jata Hai

Muqadar Mein Merey Sagar Shikast O Rekhat Itni Hai
Mein Jis Ko Apna Keh Doon Who Sitara Toot Jata Hai

Main Nafraton Ki Gird Mein Dhansta Chala Gaya


Main Nafraton Ki Gird Mein Dhansta Chala Gaya
Najane Kidhar Pyaar Ka Rasta Chala Gaya
Ik Chand Chura Laya Tha Main Unki Jabeen Se
Woh Misr Ke Bazaar Mein Sasta Chala Gaya
Ik Hurf Tamanna Na Bana Apna Muaqaddar
Ik Sheher Aarzuon Ka Basta Chala Gaya
Aankho Se Dil Ki Pyaas Bujhaane K Bahane
Woh Chahaton Ki Aar Mei Dasta Chala Gaya
Woh Daag-E-Mohabbat Jo Mila Unke Karam Se
Woh Khoon-E-Dil Jo Zakhm Se Rusta Chala Gaya
Hai Pyaar Ik Fareb Yeh SUFI Ne Di Sada
Har Shakhs Iski Baat Pe Hansta Chala Gaya..

Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lage


Tumhare Shaher Ka Mausam Barha Suhana Lage..
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lage..

Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhul Jao Mujye..
Tumhe Bhulane Mein Shayad Mujye Zamana Lage..

Humare Pyaar Se Jalne Laggi Hai Eik Duniya..
Duwa Karro Kissi Dushman Ki Bad Duwa Na Lage..

Jo Dub Na Hai To Itne Sakoon Se Dubbo..
Ke Ass Paas Ki Lehroon Ko Bhi Pata Na Lage..

Kuch Is Aadha Se Mere Saath Bewafai Kar..
Ke Tere Baad Mujye Koi Bewafa Na Lage..

Manzil Thi Saamne, Pichhe Thi Sada Uski


Manzil Thi Saamne, Pichhe Thi Sada Uski
Rukta To Safar Jaata, Chalta To Bichhar Jaata
Vaada To Kiya Hota Xuwaabo~ Me Hi Milne Ka
Diidaar Ki Hasrat Mein Mein Khuwaab Nagar Jaata
Unko Meri Chaahat Ka Ehsaas Nahi Warna
Mae~ Unki Mohabbat Me~ Had Se Bhi Guzar Jaata
Hota Jo Mayas'sar Tera Aaghosh-E-Mohabbat
Yuu~ Pyaar Se Sar Rakhh Kar Mae~ Chaen Se Mar Jata
Ab Tum Hi Kaho Saahil Ham Log Kahaan Jain
Wo Saath Agar Hote, Mein Laut Ke Ghar Jaata.

Har Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahi Hoon


Har Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahi Hoon,

A Wada Faramosh Main Tujh Sa To Nahi Hoon,

A Dost Mujhe Kyon Dekhta Rehta Hai Zamana,

Deewana Sahi Unka Tamasha To Nahi Hoon,

Chup Chaap Sahi Misl_e_Husan Waqt K Haathon,

Majboor Sahi Waqt Se Haara To Nahi Hoon,

Dil Torra Hai Apnon Ne To Shikwa Na Karein Ge,

Wo Bhool Gaya Mujh Ko Main Bhoola To Nahi Hoon.

Saahil Pe Kharre Ho Tumhein Kya Dar Chale Jana,

Main Doob Raha Hoon Abhi Dooba To Nahi Hoon

Monday, August 22, 2011

Kal Raat Ik Mahfil Hoe


Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe
Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe
Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe
Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Main Talkhie-e-Hayat Se Ghabra Ke Pee Gaya


Main Talkhie-e-Hayat Se Ghabra Ke Pee Gaya,
Gham Ki Siyah Raat Se Ghabra K Pee Gaya.

Itni Daqeeq Shey Koi Kese Samajh Sake,
Yazdaan K Waaqiyaat Se Ghabra K Pee Gaya......

Chhalke Hue Thye Jaam Pareshaan Thee Zulf-E-Yaar,
Kuch Aese Halaat Se Ghabra K Pee Gaya...

Main Aadmi Houn Koi Farishta Nahi Huzoor,
Main Aaj Apni Zaat Se Ghabra K Pee Gaya...

Kaante To Khair Kaante Hain Un Se Gila Hee Kya,
Pholoun Ki Waardaat Se Ghabra K Pee Gaya...

"Saghar" Wo Keh Rahe The Pee Liejiye Huzoor,
Un Ki Guzaarshaat Se Ghabra K Pee Gaya...


Saghar Siddiqui

Koi Bazm Kya Sajao,Mra Shehar Jal Raha Ha


Koi Bazm Kya Sajao,Mra Shehar Jal Raha Hai.
Bhala Kese Muskurao, Mera Shehar Jal Raha Hai.

Tere Shehar Main Baharein, Mere Shehar Main Khiza Hai
Main Yeh Kese Bhool Jao, Mera Shehar Jal Raha Hai.

Tere Shehar Main Charaga, Mere Shehar Main Andhaira
Koi Deep Kya Jalao, Mera Shehar Jal Raha Hai.

Mere Shehar K Yeh Vaasi Abhi So Rahe Hain Ahsan.
Inhein Kis Tarah Jagao, Mera Shehar Jal Raha Hai.

Tumharay Pass Rehna Hai


Tumharay Pass Rehna Hai".
Chalo Ub Rothna Choro
Chalo Ranjish Bhula Do Na
Muhabat Tum B Kartay Ho
Muhabat Main B Karta Hun
To Phir Ye Roothna Kesa
TO Phir Ranjishain Kesi
Tunharay Pas Sub Kuch Hai
Ye Dolat Hai Ye Shohrat Hai
Meri Daman Main Meri Jaan
Sirf Teri He Muhabat Hai
Maujhay Bus Itna Kahna Hai
Tunharay Pass Rahna Hai
Chalo Ub Roothna Choro
Chalo Ranjish Bhula Do Na.

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash


Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash, 
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash, 

Har AnjuMan Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai, 
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye, 
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash, 

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi, 
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash, 

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par, 
Janta Hai Koi Kya, JaM Ghaton Ki Kashmakash.

Sitaron Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi


Sitaron Ko Bholanay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi
Yeh Nagmay Gungunanay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi

Main Teri Chaand Yaadon Ko Ghazal Ka Roop Day Donga
Tumharay Aazmanay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi

Dua'on Kay Tabassum Say Ghata'on Ka Jigar Piglay
Mager Yoon Muskuranay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi

Nasheman Zindagi Ka Noor Say Bhi Khoob Roshan Hay
Samandar Kay Lutanay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi

Firaaq -o- Wasaal Ki Baatein Tu Touheen -e- Mohabbat Hain
Kese Kay Dorr Janay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi

Charaag -e- Aarzoo Roshan Rahay Ga Har Ghari Har Dam
Keh Teray Yoon Satanay Say Mohabbat Kam Na Ho Gi

StatCounter