Sunday, October 23, 2011

Is Se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein

Is Se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein
Kion Na Ae Dost Hum Juda Ho Jayein

Tu Bhi Heerey Se Ban Gaya Pathar
Hum Bhi Jaane Kiya Hojayein

Tu Ke Yakta Beshukar Hoa...
Hum Bhi Tootein To Jabaja Hojayein

Hum Bhi Majbooriyon Ka Gadar Karein
Phir Kahin Aur Mubtala Hojayein

Hum Agar Manzilein Na Ban Payein
Manzilon Tak Ka Raasta Hojayein

Dair Se Soch Mein Hain Parwan
Raakh Hojayein Ya Hawa Hojayein

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujh Se
Aisay Liptein Ke Quba Hojayein

Bandagi Hum Ne Chhor Di Shani
Kiya Karein Jab Log Khuda Hojaye

Yeh Dil Malool Bhi Kam Hai Udaas Bhi Kam Hai

Yeh Dil Malool Bhi Kam Hai Udaas Bhi Kam Hai
Kai Dino Se Koi Aas Paas Bhi Kam Hai

Kuchh In Dino Tera Gham Bhi Baras Nahee Paaya
Kuchh In Dino Mere Sehra Ki Pyas Bhi Kam Hai

Tere Baghair Kisi Bagh Per Bahaar Nahee
Gulon Ka Rang Bhi Pheeka Hai Baas Bhi Kam Hai

Jo Abke Baar Judai Taweel Hai To Kia
Hame To Waise Tera Saath Raas Bhi Kam Hai

Hame Bhi Yun Hi Guzarna Pasand Hai Aur Phir
Tumhara Sheher Musafir Shanaas Bhi Kam Hai

Ratjagah

Aankh Jalti Hay Meri Neend Main Bhi
Raat Ki Zulfoun Main Jaaney Kia Hay
Aankh K Shaanoun Par Lehraatey Hee
Hur Taraf Dhoop Jaga Deti Hain
Aankh Ko Neend Say Dur Lagta Hay
Neend Ko Khuwaab Say Dur Lagta Hay
Khuwaab Ko Apney Bikhar Jaaney Say Dur Lagta Hay
Roaz Aa Aa K Koi Yaad, Koi Gham
Koi Weeraani See
Daal Jaati Hay Meri Royi Hui Aankh Main Rait
Neend Is Zoar Say Chubhti Hay Mujhay
Aankh Main Chaaley Parhey Houn Jaisey~!!

Raat Dhal Aayi Hai

Raat Dhal Aayi Hai
Soagawaar Taareeki, Royi Hui Udaasi Ki Tarah
Hur Soo Phail Rahi Hai
Aankhoun Main Bikhrey Huay Baadal Aahista Aahista Ikhattey Ho Rahey Hain
Jharhi Lagti Jaa Rahi Hay
Afsurdaa Hawa, Pasmurda Faza,
Mujhay Khul K Roo Kiyoon Nahin Lainey Detay
Aansoo Bahar Barsain To Aansoo
Andar Barsain To Patthar
Jharhi Bahar Lagey To Jharhi, Andar Lagey To Chup
Shaam Bahar Dhal Aayey To Shaam
Andar Dhal Aayey To Gham
Raat Dhal Aayi Hay
Andar Bhi, Baahar Bhi
Raat Baahar Dhal Aayey To Raat Andar Dhal Aayey Tou Maut
Dukh Hee Dukh
Aansoo Hee Aansoo
Doori Hee Doori
Bicharhna
Bicharh Jana, Hur Shay Say, Apnay Aap Say Bhi
Raat Dhal Aayi Hay
Roaz Hee Dhal Aati Hay!!

Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Aag Ho To Jalne Mein Der Kitni Lagti Hai
Barf Ke Pighhalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Chahe Koi Ruk Jaye Chahe Koi Rah Jaye
Qafilon Ko Chalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Chahe Koi Jaisa Bhi Hamsafar Ho Sadion Se
Rasta Badalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Ye To Waqt Ke Bas Mein Hai Ke Kitni Mohlat De
Warna Bakht Dhakne Mein Der Kitni Lagti Hai

Mom Ka Badan Lekar Dhoop Mein Nikal Aana
Aur Phir Pighalne Mein Der Kitni Lagti Hai

Soch Ki Zaminon Mein Raste Juda Hoon To
Door Ja Nikalne Mein Der Kitni Lagti Hai !!

Khalayoun Main Sitaarey Jaagtey Hain

Khalayoun Main Sitaarey Jaagtey Hain
Zameen Par Dukh Hamarey Jaagtey Hain

Kuraido Naa Hamaari Raakh Logon
Abhi Gham K Sharaarey Jaagtey Hain

Muqaddar Kis Tarah Soyey Gaa Mera
Abhi Meray Sahaarey Jaagtey Hain

Abhi Bheeg Jaayain Aansooun Say
Aankhoun K Kinaarey Jaagtey Hain

Tumhain Hum Dhoondtey Phirtey Hain Farhat
Muqaddar Tou Tumhaarey Jaagtey Hain!!

Samay Samay Kii Khalish Main Teraa Malaal Rahe

Samay Samay Kii Khalish Main Teraa Malaal Rahe
Judaa_Iiyon Main Bhii Yuun Aalam-E-Visaal Rahe

Anaa Kii Jang Main Ham Jiit To Gaye Lekin
Phir Us Ke Baad Bahut Der Tak Nidhaal Rahe

Raah-E Junuun Main Yahii Zaad-E-Raah Hotaa Hai
Ke Justajuu Bade Divaanagii Bahaal Rahe

Hasiin Raaten Bhii Mahaken Tumhaarii Yaadon Se
Kade Dinon Main Bhii Pal Pal Teraa Khayaal Rahe

Tuu Ek Baar Zaraa Kashtiyaan Jalaa To Sahii
Hai Kyaa Majaal Ke Ek Lamhaa Bhii Zavaal Rahe

Tum Nay Daikha Hay Mujhay

Tum Nay Murjhayey Huay Phool Kabhi Daikhey Hain?
Dil Ki Qabroun Pay Parhey...
Hijr Ki Laash Ki Aankhoun Pay Dharey
Tum Nay Uktayey Huay Khuwaab Kabhi Daikhey Hain?
Dard Ki Palkoun Say Liptey Huay
Ghabrayey Huay
Tum Nay Baychain Duayain Kabhi Dekhi Hain?
Mohabbat K Kinaaroun Pay Bhatakti Phirti
Tum Nay Daikha Hay Mujhay?
Kia Kabhi Daikha Hay Mujhay??

Farhat Abbas Shah

Udaas Shaamain, Ujaarh Rastey Kabhi Bulayain Tou Laut Aana

Udaas Shaamain, Ujaarh Rastey Kabhi Bulayain Tou Laut Aana
Kisi Ki Aankhoun Main Ratjagoun K Azaab Aayain Tou Laut Aana

Abhi Nayi Waadiyoun Main, Nayey Manzaroun Main Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saarey Ik Ik Kar K Jub Tum Ko Chorh Jaayain Tou Laut Aana

Main Rouz Yoonhi Hawa Pay Likh Likh Kar Uski Jaanib Yeh Bhaijta Hoon
K Achey Mausam Agar Pahaarhoun Pay Muskuraayain Tou Laut Aana

Agar Andhairoun Main Chorh Kar Tum Ko Bhool Jayain Tumhaarey Saathi
Or Apni Khaatir Hee Apney Diyey Jalaayain Tou Laut Aana

Meri Woh Baatain Jin Pay Bey Ikhtiyaar Hunsta Tha Khilkhila Kar
Bicharhney Waaley Meri Woh Baatain Kabhi Rulaayain Tou Laut Aana !!


Farhat Abbas Shah

Aaj Saal Ki Aakhri Raat Hay

Mujhay Yaad Hay
Pichley Saal Inhi Dinoun Main
Main Nay Tumhain Apney Andar
Saatween Baar Qatal Kar K Waheen Kaheen
Kisi Weeraaney Main Dafan Kia Tha
Or Tumhaari Qabar
Faramoshi K Bhaari Patharoun Say Bhar Di Thi
Or Us Say Pehlay Aik Baar
Door Daraaz Say Aaney Waaley Kisi Dev-Heekal
Parindey K Pairoun Say
Tujhay Baandh Kar Urha Dia Tha
Or Phir Us Say Bhi Pehlay Inhi Dinoun Main
Main Nay Tumhain Mukammal Taur Par Jala Kar
Tumhaari Raakh Aik Taiz Raftaar Daryaa Main
Bahadi Thi..
Lakin Is Saari Jaan Kaahi K Bawajood Tum Aaj Phir
Hamaisha Ki Tarah Meri Aankhoun Main Aankhain Daaley
Meray Dil Ko Apni Muthi Main Jakrhey
Meray Saamney Kharey Ho!!

Farhat Abbas Shah

Siyaah Hijr Gaya , Zard Intezaar Gayey

Siyaah Hijr Gaya , Zard Intezaar Gayey
Kisi Ka Dard Gaya Dard K Hisaar Gayey

Udaas Raat, Khizaan Humsafar,Safar Gumnaam
Teray Khayaal K Mausam Humain Tou Maar Gayey

Naa Jaan Bharakti Hay Apni Naa Raakh Hotey Hain
Humain Yeh Kaisi Museebat Main Tum Utaar Gayey

Ajeeb Dushman-E-Jaan Tha K Bin Larhey Jeeta
Ajeeb Jung Thi Hum Jis Main Haar Haar Gayey

Bohat Hee Thori See Muhallat Mili Muhabbat Ki
Hum Apna Aap Magar Jaatey Jaatey Waar Gayey

Kisi K Bhaijey Huay Aagayey Thay Dunya Main
Kisi Say Maangi Hui Zindagi Guzaar Gayey

Na Chaand Atqa Kisi Jaa Na Badliyaan Atkeen
Hum Uski Raat K Aangan Main Baar Baar Gayey!!

Farhat Abbas Shah

Mein Ne Dekha Diwanon Ko Sham Ke Baad

Mein Ne Dekha Diwanon Ko Sham Ke Baad
Dhondh Rahe The Veeranon Ko Sham Ke Baad

Tareekee Phir Sare Aib Chhupa Legi
Le Aana Ghar Mahamanon Ko Sham Ke Baad

Mein Ne Us Ka Sog Manaya Kuchh Aisa
Khali Rakha Paimanon Ko Sham Ke Baad

Yaad Kare Jab Mujh Ko Teri Tanhai
Dekha Karna Guldanon Ko Sham Ke Baad

"Farhat" Chaand Ke Khauf Se Kar Leta Hoon Band
Kamare Ke Raushandanon Ko Sham Ke Baad !!

Shiddatain

Bey Tahasha Hay Tujhay Yaad Kia
Or Bhulaaya Bhi Bohat Hay Tujh Ko
Saari Raunaq Hee Teray Dum Say Hay
Or Teray Bikhrey Huay Gham Say Hay


Jis Qadar
Main Nay Talluq Tera Mehsoos Kia
Itni Gehraayi Tou Roohoun Main Hua Karti Hay
Jis Qadar
Main Nay Teri Zaat Ko Khud Main Paaya


Itni Yaqtaayi Kahan Milti Hay
Faasley Wuq'atain Kho Baithey Hain
Dooriyaan Pheeki Parheen
Itni Shiddat Say Tujhay Socha Hay
Itni Shiddat Say Tujhay Chaha Hay
Shiddatain Ishq Ki Mairaaj Hua Karti Hain!!

Abhi Kuch Pal Hamarey Haath Mein Hain

Abhi Kuch Pul Hamarey Haath Main Hain 
Koan Jaaney
Konsa Lamha Hamarey Haath Say Phisley, Girey
Or Paoon Ki Zanjeer Hojayey
Abhi Yeh Din Jo Lagta Hay K Hum Ik Doosrey K Saath
Reh Saktey Hain Pal Do Pal
Najaaney Kub Kahan Deewaar Bun Jayain
Abhi Do Chaar Saansain Buch Rahi Hain
Yeh To Jhaunka Hain
Kisey Maloom Kis Aahistagi Say Yoon Guzar Jayay
K Hum Daryaoun K Do Mukhtalif Na'aashna Goongey Kinaaroun Par
Kharey
Ik Doosrey Ki Shakal Takney Ko Taras Jayain
Meri Awaaz Teri Yaad Main Zinda Hou Bus
Or Main Teri Tasweer Aankhoun Main Liyey Rona Chupaoon
Shehar Waaloun Say
Abhi Kuch Pul Hamarey Haath Main Hain
Hum Jo Chahain Gain To Kuch Kum Kum Bhi Mil Lain Gain
Magar Jaaney Kahan.... ?
Kub... ?
Konsa Lamha....?

Sochtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Sochtey Rehnay Ki Aadat Hogayi
Chaunktey Rehnay Ki Aadat Hogayi
Hijr Ki Raatoun K Sung Aankhoun Ko Bhi
Jaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi
Jaaney Kia Dur Hayk Apnay Aap Say
Bhaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi
Woh Nahin Lautey Gaa Phir Kiyoon Rehguzaar
Daikhtey Rehnay Ki Aadat Hogayi
Woh Meray Andar Chupa Hay Or Usay
Boltey Rehnay Ki Aadat Hogayi~!!

Wednesday, October 19, 2011

Tu Kisi Aur Ke Jageer Hy Ay Jan E Ghazal

Tu Kisi Aur Ke Jageer Hy Ay Jan E Ghazal,
Log Tofaan Utha Dai Gy Mery Sath Na Chal,

Pehly Haq Ta Teri Chahat K Chaman Par Mera,
Pehly Haq Ta Teri Khushbo E Badan Par Mera,

Ab Mera Pyar Tery Pyar Ka Haqdar Nahe,
May Tery Intehai Pyar Ke Haqdar Nahe,

Ab Kisi Aur K Kandho Py Hy Tera Sir,
Log Tofaan Utha Daingy Mery Sath Na Chal,

May Tery Pyar Say Ghar Apna Basaun Kaisy?
May Teri Dunya Khushio Say Sajao Kaisy ?

Meri Qismat May Nahe Pyar Ke Khushbo Shayad'
Mery Hatho Ke Lakero May Nahe Tu Shayad,

Apni Taqdeer Badal Mera Muqadar Na Badal,
Log Tofaan Utha Daingy Mery Sath Na Chal,

Mujy Say Kehti Hy Ye Khamosh Nigahain Teri,
Meri Parvaz Say Onchi Hain Panahain Teri,

Or Ghairat E Ehsas Say Sharminda Hu,
Ab Kisi Aur Ke Baho May Hain Bahain Teri,

Ab Kahan Mera Tikana, Kaha Tera Mahal,
Log Tofaan Utha Dain Gy Mery Sath Na Chal

Waafa Ki Aarzu Karna

Waafa Ki Aarzu Karna
Safar Ki Justuju Karna

Jo Tum Mayoos Ho Jaao
To Rab Se Guftugu Karna

Yah Aksar Ho Bhi Jaata Ha
Ke Koi Kho Bhi Jaata Hai

Muqaddar Ko Satao gaai
To Phir Yah So Bhi Jaata hai

Agar Tum Hosla Rakho
Wafa Ka Silsila Rakho

Jisse Tum KHALIQ Kehte Ho
To Us Se Raabta Rakho

Main Yah Daave Se Kehta Hoon
Kabhi Nakaam Na Ho gaai

ISHQ-E-HAQIQI Ko Samajh Jaao
Kabhi Bad-naam Na Ho gaai

Agar Mohabbat, Yehi Hai Janan

Libaas Tan Se Utaar Dena
Kisi Ko Banhon K Haar Dena
Phir Usk Jazbon Ko Maar Dena

Agar Mohabbat, Yehi Hai Janan...
To Maaf Karna, Mujy Nahin Hai

Gunah Karne Ka Soch Lena
Haseen Parian Daboch Lena
Phir Unki Aankhen He Noch Lena

Agar Mohabbat, Yehi Hai Janan
To Maaf Karna, Mujy Nahin Hai

Kisi Ko Lafzon K Jaal Dena
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena
Phir Uski Izzat Uchaal Dena

Agar Mohabbat, Yehi Hai Janan
To Maaf Karna, Mujhe Nah'n Hai

Andheir Nagr,I Mein Chalty Jana
Haseen Kaliyan, Masalty Jana
Aur Apni Fitrat, Pe Muskurana

Agar Mohabbat, Yehi Hai Janan
To Maaf Karna, Mujy Nahin Hai

Saja Raha Hai Har Ik Dewaana
Kheyal E Husn O Jamal Janan
Kheyal Kya Hein, Hawas Ka Ta'na

Agar Mohabbat, Yehi Hai Janan
To Maaf Karna, Mujy Nahin Hai

Udas Hogaya Safar

Udas Hogaya Safar
Khili Hoi Kali Bhi Ro Pari Lab-E-Hisar-E-Gham
Fishar-E-Gham Bata Gaya
Khayal Kham Zindagi
Ye Subha Subha Mout Si
Ye Sham Sham Zindagi
Ye Bam Bam Zindagi
Khud Aagahi Ka Shouq Bhi Hai
Dhiyaan Main Racha Hua
Tou Bayhisii Ka Ranj Bhi
Naseeb Main Basa Hua
Ye Baybasi Ye Baybasi
Ye Ashq Ashq Maykashi
Thathak Thathak Gaya Sama
Khamoshiyan Khamoshiyan
Kisi K Rukh Per Ak Pall Bhi Tiktiki
Na Jam Saki
Baras Gai Jo Chashm-E-Dill
Tou Dill Say Bhi Na Tham Saki
Shab-E-Panah Aaah Main Na Jaany Kab
Badal Gai
Subuk Subuk Sadaye Dill
Chanan Chanan Radaye Dill
Hawa Hawa Khayal Sab
Juda Juda Malal Sab
Khuda Khuda Sawal Sab
Kabhi Tou Shah Zindagi Kabhi Ghulam Zindagi
Ye Subha Subha Mout Si
Ye Shaam Shaam Zindagi
Ye Shaam Shaam Zindagi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-E-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-E-Ishq Ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI Ka Yahaan
Shehar Mein Uss Ne, Yeh Manadi Karwa Di Hogi

Hazar Rahen Mud Ke Dekhien

Hazar Rahen Mud Ke Dekhien, Kahien Se Koi Sada Na Ayie
Badi Wafa Se Nibhayie Tum Ne, Humari Thodisi Bewafaie

Jahan Se Tum Mod Mud Gae The, Ye Mod Ab Bhi Yahen Pade Hain
Hum Apne Pairon Me Jane Kitne Bhanwar Lapete Huwe Khade Hain

Kahien Kisi Roz Yun Bhi Hoga, Humari Halat Tumhari Hogi
Jo Rat Humne Guzari Mar K, Wo Rat Tumne Guzari Hoti

Tumhe Ye Zid Hai K Hum Bulate, Hume Ummis K Wo Pukaren
Hai Naam Honton Pe Ab Bhi Lekin, Aawaz Me Pad Gayie Dararen

Wo Jissey Chand Kehtay Hain

Wo Jissey Chand Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Chahra Unka
Wo Jissay Chandni Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Sarapa Unka
Wo Jissey Namood-E-Saher Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Muskrana Unka
Wo Jissey Shafaq Ki Surkhi Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Rukhsaaron Ki Lali Unki
Wo Jissey Raat Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Zulfain Unki
Wo Jissey Shaam Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Khumaar Unka
Wo Jissey Phool Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Hont Un Kay
Wo Jissay Subha Ka Dhundlaka Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Nazroon Se Ojhal Hona Unka
Wo Jissey Pehli Kirn Kehtay Hain
Main To Kehta Hoon Jalwa Unka

Kuch Aise Ghaao Bhi Hote Hain

Kuch Aise Ghaao Bhi Hote Hain
Jinhen Zakhmi Aap Nahin Dhote
Bin Roye Huye Aansuon Ki Tarah
Seene Main Chupa Ke Rakhte Hain
Aur Saari Umr Nahin Rote

Neende Bhi Muhaiya Hoti Hain
Sapne Bhi Dur Nahin Hote
Kyun Phir Bhi Jaagte Rahte Hain
Kyun Saari Raat Nahin Sote

Ab Kis Se Kahe Ai Jaan-E-Wafa
Ye Ahal-E-Wafa Kis Aag Main Jalte Rahte Hain
Kyun Bujh Ke Raakh Nahin Hote

Aye Dil Aaj Kyun Hai Udaas Tu

Aye Dil Aaj Kyun Hai Udaas Tu..
Tanhaa Rehne Ki To Aadat Thi Tujhe
Phir Aaj Kiski Talaash Mein Hai Tu?
Kisi Ke Saath Ka Mohtaaj Nahi
Phir Aaj Kiske Intezaar Mein Hai Tu?
Dhadkane Dheemi Hain, Thaka Hua Hai
Ye Aaj Kaise Haal Mein Hai Tu?
Gir Ke Sambhalna, 
Sambhal Ke Girna Shauk Hai Tera
Toh Aaj Itna Laachar Kaise Hai Tu?
Tu Sahara Hai Mera, Mere Jeene Ki Wajah Hai
Phir Aaj Kyun Hataash Hai Tu?
Aye Dil Mujhe Maloom Hai Aaj Udaas Hai Tu
Par Mat Bhoolna Ek Sundar Ehsaas Hai Tu
Haan Khaas Hai Tu

Tuesday, October 18, 2011

In the old days a poet once said

In The Old Days A Poet Once Said 
Our Nation Is Destroyed
Yet The Mountains And Rivers Survive

Today's Poet Says
The Mountains And Rivers Are Destroyed
Yet Our Nation Survives

Tomorrow's Poet Will Say
The Mountains And Rivers Are Destroyed
Our Nation Is Destroyed And Alas!
You And I Are Completely Destroyed

by Ko Un

Dawn



Often Now As An Old Man
Who Sleeps Only Four Hours A Night,
I Wake Before Dawn, Dress And Go Down
To My Study To Start Typing:
Poems, Letters, More Pages
In The Book Of Recollections.
Anything To Get Words Flowing,
To Get Them Out Of My Head
Where They're Pressing So Hard
For Release It's Like A Kind
Of Pain. My Study Window
Faces East, Out Over The Meadow,
And I See This Morning
That The Sheep Have Scattered
On The Hillside, Their White Shapes
Making The Pattern Of The Stars
In Canis Major, The Constellation
Around Sirius, The Dog Star,
Whom My Father Used To Point
Out To Us, Calling It
For Some Reason I Forget
Little Dog Peppermint.

What Is This Line I'm Writing?
I Never Could Scan In School.
It's Certainly Not An Alcaic.
Nor A Sapphic. Perhaps It's
The Short Line Rexroth Used
In The Dragon & The Unicorn,
Tossed To Me From Wherever
He Is By The Cranky Old Bear
(But I Loved Him). It's Really
Just A Prose Cadence, Broken
As I Breathe While Putting
My Thoughts Into Words;
Mostly They Are Stored-Up
Memories—Dove Sta Memoria.
Which One Of The Italians
Wrote That? Dante Or Cavalcanti?
Five Years Ago I'd Have Had
The Name On The Tip Of My Tongue
But No Longer. In India
They Call A Storeroom A Godown,
But There's Inventory
For My Godown. I Can't Keep
Track Of What's M There.
All Those People In Books
From Krishna & The Characters
In The Greek Anthology
Up To The Latest Nonsense
Of The Deconstructionists,
Floating Around In My Brain,
A Sort Of "Continuous Present"
As Gertrude Stein Called It;
The World In My Head
Confusing Me About The Messy
World I Have To Live In.
Better The Drunken Gods Of Greece
Than A Life Ordained By Computers.

My Worktable Faces East;
I Watch For The Coming
Of The Dawnlight, Raising
My Eyes Occasionally From
The Typing To Rest Them,
There Is Always A Little Ritual,
A Moment's Supplication
To Apollo, God Of The Lyre;
Asking He Keep An Eye On Me
That I Commit No Great Stupidity.
Phoebus Apollo, Called Also
Smintheus The Mousekiller
For The Protection He Gives
The Grain Of The Farmers. My
Dawns Don't Come Up Like Thunder
Though I Have Been To Mandalay
That Year When I Worked In Burma.
Those Gentle, Tender People
Puzzled By Modern Life;
The Men, The Warriors, Were Lazy,
It Was The Women Who Hustled,
Matriarchs Running The Businesses.
And The Girls Bound Their Chests
So Their Breasts Wouldn't Grow;
Who Started That, And Why?
My Dawns Come Up Circumspectly,
Quietly With No Great Fuss.
Night Was And In Ten Minutes
Day Is, Unless Of Course
It's Raining Hard. Then Comes
My First Breakfast. I Can't Cook
So It's Only Tea, Puffed Wheat And
Pepperidge Farm Biscuits.
Then A Cigar. Dr Luchs
Warned Me The Cigars
Would Kill Me Years Ago
But I'm Still Here Today.

by James Laughlin

Monday, October 17, 2011

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi


Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi


Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash
Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Kay Baad Bhi


Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai
Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi


Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem
Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi

Ab Jo Bichhde Hain To Ehsaas Hua Hai Humko

Ab Jo Bichhde Hain To Ehsaas Hua Hai Humko,
Dard Kya Hota Hai Ruswai Kise Kehte Hai,
Chaar Suu Gunjti Ruswayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde............

Koi Lamha Ho Teri Yaad Mein Kho Jaate Hai,
Ab To Khudko Bhi Muyasar Nahi Aa Paate Hai,
Raat Ho Din Ho Tere Pyaar Mein Behte Hai,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde............

Jo Bhi Gam Aaye Use Dil Pe Saha Karte Hai,
Ek Wo Tha Hum Mil Ke Raha Karte The,
Ab Akele Hi Zamane Ke Sitam Sehte Hai,
Dard Kya Hota Hai............
Ab Jo Bichhde............

Humne Khud Apni Hi Rahon Mein Bichhaye Kaante,
Zakhm Is Dil Mein Basaye Hue Khud Rehte Hai,
Dard Kya Hota Hai............
Ab Jo Bichhde............

Yun To Duniya Ki Har Ek Chiz Haseen Hoti Hai,
Pyar Se Badh Kar Magar Kuch Bhi Nahi Hoti Hai,
Rasta Rok Kar Har Ek Chiz Yehi Kehti Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko.

Aye Khuda, Kis Mitti Ka Banaya Ussay?

Aye Khuda, Kis Mitti Ka Banaya Ussay?
Duur Ho Ker Bhi, Sahaara Lagtha Hai Mujhe.

Uss Ki Her Baath, Dil Ko Chu Jaathi Hai.
Her Mulaqaath Ruuh Junjhlaa Jaathi Hai.

Ek Nazar Mein Hi Dil Haar Jaatha Hai
Tuut-Thay Dil Ko Bhi Uss Pe Pyaar Aatha Hai.

Aisa Zaalim, Aisa Dilkush
Aisa Khoobsurath Bewafa Hai.

Mera Sanam, Mera Ho Kar Bhi
Mera Na Hua Hai.

Aye Khuda, Kis Mitti Ka Banaya Ussay?
Kisi Aur Ki Mehfil Mein Bhi, Apna Sa Lagtha Hai Mujhe

Naseehat Roz Bikti Hai Aqeedat Roz Bikti Hai

Naseehat Roz Bikti Hai Aqeedat Roz Bikti Hai,
Tumhare Sheher Main Logo Mohabbat Roz Bikti Hai,

Ameer E Sheher K Dar Ka Abhi Mohtaaj Hai Mazhab,
Abhi Mulla Ke Fatwo'n Main Shehriyat Roz Bikti Hai,

Na Jane Lutf Kia Milta Hai Unko Roz Bikne Main,
Tawaif Ki Tarha Dekho Qayadat Roz Bikti Hai,

Bari Laa'chaar Rehti Hai Jabee'n In Ghareebon Ki,
K Majburi Ki Mandi Main Ibadat Roz Bikti Hai

Woh Shakhs Mujh Ko Jeet Kay Hara Hai Aur Bus

Woh Shakhs Mujh Ko Jeet Kay Hara Hai Aur Bus
Itna Hi Zindagi Ka Khasara Hai Aur Bus

Kesay Kahoon Keh Us Ka Irada Badal Gaya
Such To Yehi Hai Us Nay Pukara Hai Aur Bus

Dunya Ko Is Main Dard Ki Shiddat Kahan Milay
Aankhon Say Toot’ta Hua Tara Hai Aur Bus

Lafzon Main Dard E Hijr Ko Mehsoos Ker Kay Daikh
Kehnay Ko Main Nay Waqt Guzara Hai Aur Bus

Ab In Main Koi Khwab Sajanay Nahi Mujhay
Aankhon Ko Intazar Tumhara Hai Aur Bus

Main Nay Kaha Keh Khwab Main Dekhi Hain Barishain
Us Nay Kaha Keh Ik Ishara Hai Aur Bus.

Ek Bat Suno Kuch Aisa Hua

Ek Bat Suno Kuch Aisa Hua
Wo Mujko Mila
Me Usko Mila
Izhar Hua
Iqrar Hua
Wo Dost Bna
Me Yar hua
Use Ishq Bohat
Muje Pyar Bohat
Hm 2no me takrar bahut
Phr Kch Yun Hua.
Wo Chorh Gaya
Main Toot Gya
Wo Tanha Tha
Me Akela Tha
Bs Hum Do The
Or Koi Na Tha
Wo Rone Laga
Me Bebas Raha
Na Pyar Na Hi Izhar Raha
Bs Farq Sirf Itna Sa Raha

main mitti k ander sota rha.

Or,

Wo mitti k uper rota rha.

Apni Zaat Se Nikal Kar Tumhain Tanha Chahun

Apni Zaat Se Nikal Kar Tumhain Tanha Chahun,

Malom Tum Ko B Na Ho Tumhain Itna Chahun.

Meri Her Sans Tumhari Amant H0,

Mujhe Or Batao Tumhen Kitna Chahun.

Mery Khoon Ki Bond Bond Wafa Min Dobi Hoi Ha,

Tum Soch B Na Pao Men Tumhen Itna Chahun.

Kisi K Dil Min Na Ho Gi Aisi Chaht,

Koi Kisi Ko Na Chahy Men Tumhen Jitna Chahun.

Tum Mujhy Bus Chahny Ki Tmana Kar L0 Janab,

Tumhain Jitni Hai Talab Men Us Se Barh K Tumhen Chahon.

Koi To Hota



Koi To Hota....
Mai Jis K Dil Ki Kitaab Benta
Mai Jis Ki Chahet Ka Khawab Benta
Mai Hijr K Mosem Ki Lembi Raaton Mein
Yaad Ben Ker Azaab Benta
Koi To Hota.....

Jo Meri Khawahish Mein Uthh Ker Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chader Lapeit Ker Hajoom_E_Dunya Se Door Hota
Mai Rooth Jata Manata Mujh Ko
K Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota....

Mai Jis K Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Rakeeb Hota
Mai Itna Uus Ka Habeeb Hota
Ye Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To Hota........

Sunday, October 16, 2011

DO YOU REMEMBER THE SUMMER WE MET?


DO YOU REMEMBER THE SUMMER WE MET?
THE DAYS WERE HOT, SOMETIMES WE GOT VERY WET.
DO REMEMBER OUR FIRST KISS.
IN THE GARAGE, THOSE MOMMENTS I MISS.
DO REMEMBER THE FUN WE HAD.
KICKING BACK TOGETHER, LAUGHING LIKE MAD.
DO REMEMBER THAT 4TH OF JULY.
THE WIND, THE SEA, THE WAY YOU HELD ME.
DO REMEMBER THE THINGS YOU SAID.
WHEN WE LAY NEXT TO EACH OTHER IN BED.
DO REMEMBER YOUR HOPES AND DREAMS.
WE WOULD BE MARRIED AND ON THE HIGH BEAMS.
DO REMEMBER THE NIGHTS WE SHARED.
WITH FAMILY AND FRIENDS THAT CARED.
DO REMEBER THE ROMANCE UNDER THE DARK SKY
HOLD EACH OTHER, NOT WANTING TO SAY GOODBYE.
DO REMEMBER WHEN YOU SAID YOU LOVED ME.
ON THE PHONE SO SOFT AND SWEETLY.
DO REMEBER THE PAUSE.
SO I COULD HEAR IT AGAIN.
DO REMEMBER WHEN YOU LET IT ALL END.
I STILL FEEL LIKE I LOST MY BEST FRIEND.
DO REMEMBER THE WALL YOU BUILT.
TO KEEP ME OUT SO YOU WOULDN'T HAVE GUILT.
DO REMEBER WHAT I SAID.
I WILL LOVE YOU TILL I AM DEAD.
DO REMEMBER THESE MOMMENTS OF OUR LIFE,
OR DID YOU BURY THEN DEEP INSIDE?
I LOVED YOU THEN AND I LOVE YOU NOW.
I JUST WISH YOU WERE LISTENING SOMEHOW.
I MISS YOU MORE AND MORE EACH DAY.
BUT I GUESS THAT'S THE PRICE I MUST PAY.

Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte

Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-Ba-Ru Karte
Ham Aur Bul_Bul-E-Betaab Guftagu Karte

Payaam Bar Na Mayassar Huaa To Khuub Huaa
Zaban-E-Gair Se Kya Shair Ki Aarzu Karte

Merii Tarah Se Maah-O-Mahar Bhii Hai.N Aavaaraa
Kisii Habiib Ko Ye Bhii Hai.N Justaju Karte

Jo Dekhate Terii Za.Njiir-E-Zulf Kaa Aalam
Asiir Hone Ke Aazaad Aarzu Karte

Na Puuchh Aalam-E-Baragashtaa Taali-E-"Aatish"
Barasatii Aag Me.N Jo Baaraa.N Kii Aarazuu Karte

Sun To Sahii Jahaa.N Me.N Hai Teraa Fasaanaa Kyaa

Sun To Sahii Jahaa.N Me.N Hai Teraa Fasaanaa Kyaa
Kahatii Hai Tujh Se Khalq-E-Khudaa Gaibaanaa Kyaa

Ziinaa Sabaa Kaa Dhuu.Ndhatii Hai Apanii Musht-E-Khaak
Baam-E-Baland Yaar Kaa Hai Aastaanaa Kyaa

Aatii Hai Kis Tarah Se Merii Kabz-E-Ruuh Ko
Dekhuu.N To Maut Dhuu.Ndh Rahii Hai Bahaanaa Kyaa

Betaab Hai Kamaal Hamaaraa Dil-E-Aziim
Mahamaa.N Saaraay-E-Jism Kaa Hogaa Ravanaa Kyaa

Koi Chaudhven Raat Ka Chand Ban Kar


ko_ii chaudhvii.n raat kaa chaa.Nd ban kar tumhaare tasavvur me.n aayaa to hogaa
kisii se to kii hogii tum ne muhabbat kisii ko gale se lagaayaa to hogaa

tumhaare Khayaalo.n kii anganaa_iyo.n me.n merii yaad ke phuul mahake to ho.nge
kabhii apanii aa.Nkho.n ke kaajal se tum ne meraa naam likh kar miTaayaa to hogaa

labo.n se muhabbat kaa jaaduu jagaakar bharii bazm me.n sab se nazare.n bachaa kar
nigaaho.n kii raaho.n se dil me.n samaa kar kisii ne tumhe.n bhii churayaa to hogaa

kabhii aa_iine se nigaahe.n milaakar jo lii hogii bharapuur anga.Daa_ii tuune
to ghabaraake Khud terii anga.Daa_iiyo.n ne tere husn ko gud_gudaayaa to hogaa

nigaaho.n me.n shama-e-tamannaa jalaa kar takii ho.ngii tum ne bhii raahe.n kisii kii
kisii ne to vaadaa kiyaa hogaa tum se kisii ne tumhe.n bhii rulaayaa to hogaa 

Jo Log Jaan Buujh Ke Naadaan Ban Gaye

Jo Log Jaan Buujh Ke Naadaan Ban Gaye
Meraa Khayaal Hai Ki Vo Insaan Ban Gaye

Ham Hashr Me.N Gaye Magar Kuchh Na Puuchhiye
Vo Jaan Buujh Kar Vahaa.N Anjaan Ban Gaye

Ha.Nsate Hai.N Ham Ko Dekh Ke Arbaab-E-Aagahii
Ham Aap Kii Mizaaj Kii Pahachaan Ban Gaye

Majh_Dhaar Tak Pahu.Nchanaa To Himmat Kii Baat Thii
Saahil Ke Aas Paas Hii Tuufaan Ban Gaye

Insaaniyat Kii Baat To Itanii Hai Shaikh Jii
Bad_Qismatii Se Aap Bhii Insaan Ban Gaye

Kaa.Nte Bahut The Daaman-E-Fitarat Me.N Ai "Adam"
Kuchh Phuul Aur Kuchh Mere Armaan Ban Gaye

StatCounter