Monday, May 31, 2010

Us Ki Kahani

Zabat Se Us Ki Kahani Sunna Karta Tha
Wo Meri Zaat Mein Ek Jaal Bunna Karta Tha
Kis Qadar Dukh Se Wo Kehta Tha K Chal Mere Sath
Wo Prinda K Jo Tehni Pe Raha Karta Tha
Us Haseen Se Mein Kia Karta Piar Ki Baten
Kaisa Pagal Tha Mere Khawab Bana Karta Tha
Kachi Matti Pe Kabhi Likhta Tha Jo Kabhi Naam Un Ka
Kisi Koney Mein Khara Mujh Pe Hansa Karta Tha
Pocha Jo Us Se Kahan Hai Tera Hamdam Batla
Bola, Rukhsat Hua Aahesta Chala Karta Tha
Umer Bhar Baithey Rahey Us K Laye Rastey Mein
Beniaz Aaisa...! K Hafton Mein Milla Karta Tha

Guzar Gia So Guzar Gia

Hama Waqt Ranj o Mala Kia, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Usey Yad Kar K Na Dil Dukha, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Na Gilla Kia Na Khafa Hue Yonhi Rastey Mein Fidda Hue
Na Tu Bewafa Na Mein Bewafa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Ghazal Ki Ek Kitab Tha, Wo Gulon Ek Gulab Tha
Zara Der Ka Koi Khawab Tha, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Mujhe Pat Jharon Ki Kahania Na Suna Suna Ke Udas Kar
Tu Khazan Ka Phool Hai Muskara, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

Guzar Gia So Guzar Gia

Zabt Se Us Ki Kahani Sunna Karta Tha

Be Misal Bheje Hain

Monday, May 24, 2010

Challa Jaon Ga

Dill Mera Kittab

Kisi Ki Aankh Ke Aansu

RASTEY

Teri mohabbat ki reshmi dor thamay
Mohabbat ke pur peech raastoon par
Yeh kaisa mor aya hai logoh
Ke ab saans lena bhi tujh bin khatam hai
Khuda janay tu nay bhi socha hai aisa
Ya yeh sirf mere dil ki chubhan hai
Kisi aur ka haath thamoon kaise
Mere haath khuwaboon seh liptay huwey hain
Kisi aur ki baat manoon kaise
Tere baat charoon taraf goonjti hai mere
Kisi aur ka saath mangoon kaise
Har aik raastey pay tere naqsh-e-paa hain
Magar yeh qayamat bhi kuch kam hai kya.!
Safar aik hai aur rastay hain juda juda..!!!

Daikh hamari deed k karan

daikh humari deed k karan kaisa qabil-e deed howa
aik sitara baithey baithey tabish main khursheed howa

aaj tu jaani rasta takte, shaam ka chaand padeed howa
tu nay tu inkaar kya tha, dill kab na-ummeed howa

aan k is bemaar ko dekhey, tujh ko bhi toufeeq hoi?
lub per us k naam tha tera, jab bhi dard shadeed howa

haan us nay jhalki dikhlaai, aik hi pal ko dareechey main
jaano ik bijli lehraai, aalam aik shaheed howa

tu nay hum sey kalam bhi chora, arz-e wafa k suntey hi
pehley koun qareeb tha hum sey, ab tu aur baeed howa

duniya k sab karaj chorey, naam pe terey Insha nay
aur isey kya thorey ghum thay? tera ghum mazeed howa

JANUARY LOUT AYEE HAI

wohi galiyaan,wohi koochey,wohi sardi ka mousam
isi andaaz sey apna nizaam-e-zeast berham hai
ye husn-e-ittifaq aisa kai nikhrii chandni bhee hai
wohi her simt veerani,udaasi,tashnagi si hai
wohi hai bheer souchoun ki,wohi tanhaaiyan phir sey
mujhey sab yaad hai,kuch saal pehley ka ye kissa hai
wohi lamha tou veeranay ka ik Aabaad hissa hai
meri Aankhoun mein woh ik lamha-e-moujood ab bhee hai
woh zinda raat merey saath lakhoun baar jaagi hai
kisi ne raat ki tanhaayee mein sargoushiyaan ki theein
kisi ki narm guftaaree ne dil ko louriyaan di theein
kisi ne meri tanhayee ka sara karb banta tha
kisi ne raat ki chunri mein roushan chaand tanka tha
chamaktey jugnoun ka sail ik bakhsha tha ratoun ko
dharakta sa naya unwan diya tha mere khwaboun ko
merey shairoun mein woh ilhaam ki soorat utra tha
ma'ayni ban kai jo lafzoun mein pehli baar dharka tha
woh jis ke houne se zindagi naghma sarayee hai
usse kehna ke bheegi January phir lout ayee hai.

Friday, May 21, 2010

Ankhen Bheeg Jati Hain

Bandh Lein Hath Pe

DUA

Kangan

Tooti Hai Meri Nend

MERA ZIKAR MAT KARNA

aDukh Dard K Maron Se Mera Zikar Mat Karna
Ghar Jao To Yaron Se Mera Zikar Mat Karna
Pholon K Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se
Dekho, Kabhi Kharon Se Mera Zikar Mat Karna
Shaid…! Yeh Andhere Hi Mujhe Rah Dekhain….
Ab Chand Sitaron Se Mera Zikar Mat Karna
Shaid…! Who Mere Haal Pe Besakhta Ro Dein
Is Bar Baharon Se Mera Zikar Mat Karna
Le Jain Ge Gehrai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar
Darya K Kinaron Se Mera Zikar Mat Karna
Woh Shakhs Mile To Usey Har Baat Batana
Tum Sirf Isharon Se Mera Zikar Mat Karna

KISSI DIN

Chehrey Pe Mere Zulf Ko Phailao Kisi Din
Kia Roz Garajte Ho, Bars Jao Kisi Din
Razon Ki Tarah Utro Mere Dil Mein Kisi Shab
Dastak Pe Mere Hath Ki Khul Jao Kisi Din
Peron Ki Tarah Hussn Ki Barish Mein Naha Loon
Badal Ki Tarah Jhoom K Aao Ghar Kisi Din
Khushbu Ki Tarah Guzro Mere Dil Ki Galli Se
Pholon Ki Tarah Mujh Pe Bikher Jao Kisi Din
Phir Hath Ko Khairat Mile Band Qaba Ki
Phir Lutf-e-Shab-e-Wisal Ko Duhrao Kisi Din
Guzren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jain Sitare
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kisi Din
Mein Apni Har Ek Sans Usi Raat Ko De Doon
Sar Rakh K Mere Seney Pe So Jao Kisi Din

Aankh Barsi Hai

Aankh Barsi Hai Tere Naam Pe Sawan Ki Tarah
Jism Sulga Hai Teri Yad Mein Eandhan Ki Tarah

Lorian Di Hain Kisi Qurb Ki Khawahish Ne Mujhe
Kuch Jawani K Bhi Din Guzre Hain Bachpan Ki Tarah

Is Bulandi Se Mujhe Tu Ne Nawaz Kion Tha
Gir K Mein Toot Gia Kanch K Bartan Ki Tarah

Mujh Se Milte Hue'y Yeh Baat To Sochi Hoti
Mein Tere Dil Mein Sama Jaon Ga Dharkan Ki Tarah

Muntazir Hai Kisi Makhsoos Si Aaht Ke Lie'y
Zindgi Bethi Dehliz Pe Birhan Ki Tarah

Poet:-
Murtaza Birllas Baig

How Do I Love Thee

How do I love thee? Let me count the ways.
I love thee to the depth and breadth and height
My soul can reach, when feeling out of sight
For the ends of being and ideal grace.
I love thee to the level of every day's
Most quiet need, by sun and candle-light.
I love thee freely, as men strive for right.
I love thee purely, as they turn from praise.
I love thee with the passion put to use
In my old griefs, and with my childhood's faith.
I love thee with a love I seemed to lose
With my lost saints. I love thee with the breath,
Smiles, tears, of all my life; and, if God choose,
I shall but love thee better after death.

By:- Elizabeth Barrett Browning

Meeting at Night

I.

The grey sea and the long black land;
And the yellow half-moon large and low;
And the startled little waves that leap
In fiery ringlets from their sleep,
As I gain the cove with pushing prow,
And quench its speed i' the slushy sand.


Then a mile of warm sea-scented beach;
Three fields to cross till a farm appears;
A tap at the pane, the quick sharp scratch
And blue spurt of a lighted match,
And a voice less loud, thro' its joys and fears,
Than the two hearts beating each to each!


By:- Elizabeth Barrett Browning

Tazzad e Jazzbat Mein Ye Nazuk Muqam Aya

تضادِ جذبات میں یہ نازک مقام آیا تو کیا کرو گے
میں رو رہا ہوں تم ہنس رہے ہو، میں مسکرایا تو کیا کرو گے
مجھے تو اس درجہ وقتِ رخصت سکوں کی تلقین کر رہے ہو
مگر کچھ اپنے لئے بھی سوچا میں یاد آیا تو کیا کرو گے
کچھ اپنے دل بھی زخم کھاؤ مرے لہو کی بہار کب تک
مجھے سہارہ بنانے والو۔۔! میں لڑکھڑایا تو کیا کرو گے
تمہارے جلوؤں کی روشنی میں نظر کی حیرانیاں مسلم
مگر کسی نے نظر کے بدلے دل آزمایا تو کیا کرو گے
اتر تو سکتے ہو پار لیکن مآل پر بھی نگاہ کر لو
خدا نہ کردہ سکونِ ساحل نہ راس آیا تو کیا کرو گے
ابھی تو تنقید ہو رہی ہے مرے مذاقِ جنون پہ لیکن
تمہاری زلفوں کی برہمی کا خیال آیا تو کیا کرو گے
ابھی تو دامن چھڑا رہے ہو بگڑ کے قابل سے جا رہے ہو
مگر کبھی دل کی دھڑکنوں میں شریک پایا تو کیا کرو گے

قابل اجمیری

TUM UDAS MAT HONA

TUM UDAS MAT HONA
RUT JAGON KE SEHRA MEIN
KHAWAB JAB UJAR JAIN
ZINDAGI KE MELE MEIN
HUM AGAR BICHAR JAIN
TUM UDAS MAT HONA
JIN PER NAAM LIKHE HOON
UN PER KAB BAHAR AATI HAI
AARZU’ON KI TEHNI SE
GULAB JAB JHAR JAIN
TUM UDAS MAT HONA
WAQAT AEK ZALIM DARINDA HAI
AOR HUM IS KI DEHSHAT MEIN HAIN
JAB YEH LAMHE
APNI ZID PER URR JAIN
TUM UDAS MAT HONA
MUHABAT KI FIZA MEIN MUSKARA KAR
GHAM PEE LENA BHI
AKHTIAR MEIN TO NAHIN HAI
MAGAR KUCH APNE DILNASHEEN
TABBASUM KA BHI BHARAM RAKHNA
CHAHE HUM BICHAR JAIN YA UJAR JAIN
TUM…HAAN MERI JAAN
TUM………..UDAS MAT HONA

SHAM

Sham Hai Is Tarah Ki Aaj Udas
Khud Se Doori Ka Jis Tarah Ehsas
Jaise Reh Reh Kar Dil Mein Koi Chubhan
Bhol Jane Se Baat Ke Uljhan
Jaise Soya Hua Kisi Ka Naseeb
Jaise Ashiq Ke Dil Mein Fiker-e-Raqeeb
Jaise Kamosh Jankani Ka Saman
Jaise Uthta Hua Chitta Se Dhuwan
Jaise Be Bas Ho Zulmaton Mein Nazar
Jaise Bewah Ka Maikey Ko Saffar
Door Manzal Ka Fasela Jaise
Lut Ke Reh Jai Qafela Jaise
Jaise Aflas Mein Bujhi Bujhi Si Umang
Dhoop Mein Jaise Jal Gia Ho Rang
Jaise Aek Khawab Tashn’a Ta’abir
Jaise Dam Tor De Koi Tadbir
Na Koi Saz Hai Na Koi Jam
Ha’ai….! Yeh Sham, Yeh Udas Si Sham

Jaan Nisar Akhtar

APNA AAP PIARA KON KARTA HAI



Meri Jaan Tum Se Apna Aap Piara Kon Karta Hai
Marz Dene Lagey Taskeen To Chara Kon Karta Hai

Kai Gumnam Khushian Photi Hain Raat Bhar Dil Mein
Na Janey Khawab Mein Aa Kar Ishara Kon Karta Hai

Kabhi Socha Nahin Tum Ne Ke Tum Ko Aek Muddat Se
Samey Ki Owt Se Chup Kar Pukara Kon Karta Hai

Abhi To Mil Ke Chaltey Hain Sumandar Ki Mussafat Mein
Phir Is Ke Ba’d Dekhen Ge Kinara Kon Karta Hai

Ghatain Kon Lata Hai Meri Aankhon Ke Mousam Mein
Phir Is Ke Ba’d Barish Ka Nazara Kon Karta Hai

TUMHEN JAB KABHI MILEN FURSATEN

تمھیں جب کبھی ملیں فرصتیں مرے دل سے بوجھ اتار دو
میں بہت دن سے اداس ہوں مجھے کوئی شام ادھار دو
مجھے اپنے روپ کی دھوپ دو چمک سکیں میرے خال و خد
مجھے اپنے رنگ میں رنگ دو میرے سارے زنگ اتار دو
کسی اور کو مرے حال سے نہ غرض ہے کوئی نہ واسطہ
میں بکھر گیا ہوں سمیٹ لو، میں بگڑ گیا ہوں سنوار دو
مری وحشتوں کو بڑھا دیا ہے جدائیوں کے عذاب نے
مرے دل پہ ہاتھ رکھو ذرا، مری دھڑکنوں کو قرار دو
تمھیں صبح کیسی لگی، کہو، مری خواہشوں کے دیار کی
جو بھلی لگی تو یہیں رہو، اسے چاہتوں سے نکھار دو
وہاں گھر میں کون ہے منتظر کہ ہو فکر دیر سویر کی
بڑی مختصر سی رات ہے اسی چاندنی میں گزار دو
کوئی بات کرنی ہے چاند سے کسی شاخسار کی اوٹ سے
مجھے راستے میں یہیں کہیں، کسی کنج گل میں اتار دو
Tumhen Jab Kabhi Milen Fursaten Mere Dil Se Bojh Utar Do
Mein Bahut Din Se Udas Hoon, Mujhe Koi Sham Udhar Do

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do, Chamak Saken Mere Khal O Khad
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do, Mere Sare Zang Utar Do

Kisi Aor Ko Mere Haal Se Na Gharz Hai Koi, Na Wasta
Mein Bikhar Gia Hoon Samet Lo, Mein Bigar Gia Hoon Sanwar Do

Meri Wehishaton Ko Barha Dia Hai Judaion Ke Azzab Ne
Mere Dil Pe Hath Rakho Zara, Meri Dharkenon Ko Qarar Do

Tumhen Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khawhishon Ke Diar Ki
Jo Bhali Lagi To Yahen Raho, Isey Chahton Se Nikhar Do

Wahan Ghar Mein Kaon Hai Muntazir Ke Ho Fiker Der Sawer Ki
Bari Mukhtasir Si Yeh Raat Hai, Issi Chandani Mein Guzar Do

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Owt Se
Mujhe Raste Mein Yahen Kahen, Kisi Kanj Gull Mein Utar Do

PIAR KA KHAT

Udas Mousam K Rut Jagon Mein

Udas Mousam K Rut Jagon Mein,
Her Ek Lamha Bikhar Giya Tha,
Her Ek Rasta Badal Giya Tha,
Phir Aise Mousam Mein Kon Aae,
Koi To Jai,
Tere Nagar Ki Massafiton Ko Samet Lai,
Teri Galli Mein Hamari Sochein Bikhair Aae,
Tujhe Batae K Kon Kaise,
Uchalta Hai Wafa K Moti,
Tumhari Janib Koi To Jae,
Meri Zuban Mein Tujhe Bulae Tujhe Manae,
Hamari Hallet Tujhe Batae, Tujhe Rulae
To Apne Dil Ko Bhi Chain Na Aae


Sa'd Ullah Shah

Na Mein Pass Us Ko Bula Saka

Na Mein Pass Us Ko Bulla Saka,
Na Mein Dill Ki Baat Suna Saka,
Wo Hansi Hansi Mein Hi Chal Diya,
K Mein Haath Tak Na Hilla Saka,
Mujhe Kia Khabar K Wo Kia Hua,
Mujhe Kitna Gehra Khumar Tha,
Mein Khara Tha Us K Hissar Mein                          
Mere Ird Gird Ghubbar Tha,
Yonhi Sochta Raha Der Tak,
Magar Us Ko Kuch Na Bata Saka,

Na Mein Pass Us Ko Bulla Saka,
Na Mein Dill Ki Baat Suna Saka,
Na Hai Dushmani Kissi Din Se Ab
Na Hai Dosti Kissi Raat Se Ab,
Hai Bacha He Kia Jo Wo Le Giya
Mujhe Cheen Kar Meri Zaat Se,
Ye Muqam He Tha Ajeeb Sa,
K Mein Khud Ko Bhi Na Bacha Saka,

Na Mein Pass Us Ko Bulla Saka,
Na Mein Dill Ki Baat Suna Saka,
Yeh Bhi Theek Hai Wo Challa Giya,
Mujhe Band Raste Pe Chor Kar,
Yeh Bhi Theek Hai K Na Aae Ga,
Kabhi Bu't Anaa Ka Tor Kar,
Wo Judda Bhi Kaise Hua K Mein,
Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka,
Na Mein Pass Us Ko Bulla Saka,
Na Mein Dill Ki Baat Suna Saka,


Sa'd Ullah Shah

KISSI KO GALEY LAGAYA TO HO GA

ko_ii chaudhvii.n raat kaa chaa.Nd ban kar tumhaare tasavvur me.n aayaa to hogaa
kisii se to kii hogii tum ne muhabbat kisii ko gale se lagaayaa to hogaa

tumhaare Khayaalo.n kii anganaa_iyo.n me.n merii yaad ke phuul mahake to ho.nge
kabhii apanii aa.Nkho.n ke kaajal se tum ne meraa naam likh kar miTaayaa to hogaa

labo.n se muhabbat kaa jaaduu jagaakar bharii bazm me.n sab se nazare.n bachaa kar
nigaaho.n kii raaho.n se dil me.n samaa kar kisii ne tumhe.n bhii churayaa to hogaa

kabhii aa_iine se nigaahe.n milaakar jo lii hogii bharapuur anga.Daa_ii tuune
to ghabaraake Khud terii anga.Daa_iiyo.n ne tere husn ko gud_gudaayaa to hogaa

nigaaho.n me.n shama-e-tamannaa jalaa kar takii ho.ngii tum ne bhii raahe.n kisii kii
kisii ne to vaadaa kiyaa hogaa tum se kisii ne tumhe.n bhii rulaayaa to hogaa

Kia Hota Hai

chand ki simt nazar jaye to kia hota ha.
raat kuch yunhi guzar jaye to kia hota ha?

kitni masoom ada se wo mujhe pochta ha.
jab koi dil me utar jaye to kia hota?

mere muala tu faqt itna bta de mujh ko.
admi jeetey jee mar jaye to kia hota ha?

kisi anjan musafir ka kisi pichle pehr.
aks ankhon me thehr jaye to kia hota ha?

dard de k wo mujhe hansta raha aur bola.
dard jab had se jazarta ha to kia hota ha?

tohmat tumhaare ishq kii hum par lagii hu’ii

sunne ko bhiiR hai sar-e-mahshar lagii hu’ii
tohmat tumhaare ishq kii hum par lagii hu’ii


rindon ke dam se aatish-e-mai ke baGhair bhii
hai maikade meN aag baraabar lagii hu’ii


aabad kar ke shahr-e-KhaamoshaaN har ek suu
kis khoj meN hai teGh-e-sitamgar lagii hu’ii


jiite the yuuN to pahle bhii hum jaan pe khel kar
baazii hai ab ke jaan se baRh kar lagii hu’ii

aakhir ko aaj apne lahuu par hu’ii tamaam
baazi miyaan-e-qaatil-o-Khanjar lagii hu’ii


lao to qatl-naamaa meraa, maiN bhii dekh luuN
kis kis kii mohar hai sar-e-mahzar lagii hu’ii

MeRE SaTH hAI

Raaton ka karb,din kii thakan mere saath hai
yaadon ka ik dariida kafan mere saath hai

barso.n se jal rahaa huu.N mai.n qurbat kii aag mei.n
naa qaabil-e-bayaan jalan mere saath hai

mere liye to saa.Ns bhii lenaa muhaal hai
maahaul kii ye saarii ghuTan mere saath hai

aa.Nkho.n mei.n bas gayi hai kisii shokh kii tarah
har ik qadam pe yaad-e-dakan mere saath hai

ehd-e-wafa ko terii tarah kaise toD duu.N
mera mizaj mera chalan mere saath hai

Tanhai Jab Bool Paray Tu

Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai

Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai

Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai

Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai

Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khaahish Puri Ho Jaati Hai

Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Laut ke aatey nahi hain

Meri hasrat ke janazey ko uthaney wale
Kitne be-dard hain ye log zamaney wale

Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari
Ab kahan miltey hain wo dost puraney wale

Main dua go hoon sada neendein hon mubarak tujhko
Hijar ka dard mujhe de ke jaganey wale

Bas yehi soch ke har baar manata hoon usey
Laut ke aatey nahi hain rooth ke janey wale

Un ke seeney mein kabhi jhaank ke to dekho Faraz
Kitne afsurda hain auron ko hansaney wale

Thaharein ki kooch kar jaayein

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahar main kuch din Thahar ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko Kharaab halon se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so hum bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
so hum bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

Suna hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

Suna hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

Suna hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

Suna hai din ko use titaliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

Suna hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

Suna hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

Suna hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

Suna hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

Suna hai jab se hamaail hain us ki gardan main
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

Suna hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

Suna hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain

us ko bura lage

Guzre Dino ki Yaad Barasati Ghataa lage
Guzroon jo us Gali se to Thandi Hawa lage

Mehamaan banke aaye kisi Roz agar wo Shakhs
Us Roz bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa lage

Mai is liye Manata nahi Wasl ki Khushi
Mere Raqeeb ki na Mujhe bad-Duaa lage

Wo Qehat Dosti ka para hai k, in Dino
Jo Muskura ke Baat kare Aashnaa lage

Tark-e-Wafa ke baad ye us ki adaa 'Qateel'
Mujh ko Sataye koi to us ko Buraa lage

Tujhe Kaha Na

Kab Yad Mein Tera Sath Nahin

Pagal Aankhon Wali Larki

Akela Hai

Mere Har Amal Ko Nazar Mein Rakh



StatCounter