Monday, May 30, 2011

Ek Jazba Khak Hua Dil


Ek Jazba Khak Hua Dil Ki Gehrayion Me Kahin
Ta'ajjub Hai Maut Par Uski Koi Roya Tak Nahin
Sahil Se To Chale The Sath Me Hamsafar Banker
Sagar Ne Duboya Hum Hi Ko Unhe To Bhigoya Tak Nahin
Ankhon Me Zinda Khuwab Thay Ya Khuwab Me Zinda Ankhen
Tutne K Bad Hi Jana Ki Unhone To Sanjoya Tak Nahin
Nadani Me Jinki Khatir Sab Lutane Nikle The Hum
Dekho Humare Na Rehne Per Bhi Unka Kuch Khoya Tak Nahin

Tumhen Janan Ijazat Hai

Tumhin Janaa Ijazat Hai....!!!
Keh In Tareek Rahoon Per
Thakan Si Khud Main Pao To...
Andheron sey Kabhi Dil Dol Jaey
Thak SayJao To...!!!
Meray Jaltey Hoey Lamhon
Meray Kangaal Hathon Se
Chhura K Apny Hathoon Ko
Fazza Ki Naghmagi se
Tum Naey Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Per
Naey Khaab Tum Bun Lena
Koi Ger Pochey Mera To
Is Sey Mera Ziker Mat Karna
Meray Jeevan Ki Jalti Dopehr Se
Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Ratoon Main
Jugnu Paltey Rehna
Meri Tanhaion Ki Vehshatoon Ki
Fiker Mat Karna
Tumhen Is Ki Ijazat Hai
Meray Sab Khat Jala Dena
Meri Her Yaad Ko Dil Se
Khurachna Aur Mitta Dena
Tumhin Bilkul Ijazat HAi...
K Jab Chaho Bhulla Dena
Mager Itni Guzarish Hai....
Ager Aesa Na Ho Janaa
To Acha Hai....!!!

Mohabbat Naam Hai Mera...

Mohabbat naam hay mera"

"Agar Chaho Gy Tum Mujh Ko"

Tumahri sans se pehly
Tumhari jan ban jaon

"Ager Dekho Gy Tum Mujh Ko"

Tumhari ankh se pehly
Tumhary khuwab ban jaon

"Agar Socho Gy Tum Mujh Ko"

Tumhary Paon Se pehly
Tumhari rah ban jaon

"Mohabbat Naam Hai Mera.
Mujhe TUM Soch k Dekho............

Wo Sab Hal Apna,

Ulajh ker sulajhna, sulajh ker ulajhna
Bikharna,simatna, simatna,bikharna
Wo ana wo jana yoonhi dil lagana
Usse yaad kerna wo faryad kerna
Main bhooli kahan hoon
Wo sard ah bharna

Usse dekhnay k bahanay banana
Bahane bana ker unhain phir nibhana
Main bhooli kahan hoon
Wo dill ka dharakna

Wo apni kitabon se ji ka churana
Wo tasveer teri wo mera sirhana
Wo khabon main us se mulaqat kerna
Wo her dam her simt ussi ko pana
Mian bhooli kahan hoon
Tera hichkichana

Wo masoom chehre pay qurban hona
Usse taktay rehna wo heran hona
Ussi justuju main pareshan hona
Wo thak haar ker phir pasheman hona
Main bhooli kahan hoon
Tera muskarana

Wo chup chup sa rehna
Wo khinch khinch k rehna
Wo bar bar kerna wo anjan banna
Qayason ki dori se wo jaali bunna
Main bhooli kahan hoon
Wo sab haal apna............

Tum Ajab Ho Meri Chahat Ke...

tum ajab ho meri chaht ke nesibon ki tarha
monsalik gham ke tasalsal ki gunahgari se
beqarari ki agar koi shakal hoti to wo tum hote
ya ke bus mein hota
tum ajab ho meri anhkon ki tarha
apni veerani se bahir ki bybani ko takti hoi
aur beghi hoi
jane kis khadshe mein gum, soch mein khoi hoi
kuch soch ke ghabhrai hoi
tum ajab ho
mere sharon ki tarha
raat ke jage hoe
dhop mein kumlaye hoe
hijar ki rahguzaron ki tarha
bal mein bal khye hoe
door tak chayi hoi
zard ghtaon ki tarha
tum ajab ho mera khwabon ki tarha
umer se ujrye hoe bikhre hoe tarse hoe
tum ajab ho mere nainon ki tarha
barse hoe barse hoe..........

Tum Kaisi Mohabbat Kartey Ho...?

sherein bhi nahin , lailaa bhi nahin
main heeer nahin , azra bhi nahin
wo qissa hain afsanaa hain
wo geet han prem tarana hain
MAIN zinda aik haqeeqat hun
Main jazba-e-ishq ki shiddat hun
main tumko dekh k jeeti hun
main her pal tum pe merti hon
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub haath dua ko uthtay hain
alfaaz kahin khoo jatay hain
bus dehaan tumhara rehta hai
aur ansoo behtay rehtey hain
her khowab tumhara pora ho
is Rub ki minnat kerti hun

Suna Hai Is Jahan Mein..

Suna Hai Is Jahan Main Zindagi Ki Qeht Sali Hai,
Yahan Do,Char Din Jeeny Ka Aksar Zikar Hota Hai,
Yahan Har Cheez Fani Hai, 
Sabhi Ko Moat Aani Hai,
Yahan Izhar Kya Karna,
Yahan Par Pyar Kya Karna...?
Magar Kuch Yun bi Sunta Hon,
K Aisa Ik Jahan Hoga,
K Jis Main Moat Aanay Ka Koi Dharrka Nahi Hoga,
Hayat-E-Javeda'n K Sab Wahan Asbab Rakhy Hain,
Yah Mera Tum Say Wada Hai,
Aagar Donon Wahan Mil Gay,
Wahin Iqrar Kar Lain Gay,
Wahin Izhar Kar Lain Gay,
Wahin Phir Pyar Kar Lain Gay...

Kitna Sehal Jana Tha,

kitna sehal jana tha 
khoshbo ko chu lena 
barishon ke mausam mein sham ka her ek manzir 
ghar mein qeed ker lena 
roshni sitaroon ki mothion mein bhar lena 
kitna sehal jana tha
khosbon ko chu lena
jognaon ki batoon se phool jase angan mein
roshni si ker lena
oski yaad ka chehra khwabnak ankhon ki
jheel ke gholabon per deer tak sajha rakhna
kitna sehal jana tha

ay nazar ki khushfehmi iss tarha nahi hota
titlian pakrne ko door janha parta hai............

Tum Aisi Mohabbat Mat Karna

Tum aisi mohabat mat karna
mera khwabon mein chehra dekho
aur meri qail ho jao
tum aisi mohabat mat karna
mera lafzoon mein wo baat suno
jo baat lahoo ki chaht ho
phir os chaht mein kho jao
tum aisi mohabat mat karna
ye lafz mere ye khwab mere
her chand jism-o-jana tehre
per aisa jism-o-jana too nahi
jo aur kisi ke pass na hoon
phir ye bhi too momkin he,socho
ye lafaz mere ye khwab mere
sab jhoote hoon
tum aisi mohabat mat karna
ger karo kbhi too is traha
jis tarha koi sachayi ki rau her jhot ko sach ker jati hai..........

Sunday, May 29, 2011

Kabhi hansna, kabhi Aansoo bahaana Yaad aaiey gaa

Kabhi hansna, kabhi Aansoo bahaana Yaad aaiey gaa
Tumhein woh Pyar ka guzra zamaana Yaad Aeiy Gaa

Tumhein phir yaad aaien gee humari shurmgeen nigaahein
Mera woh"Rooth" kur phir muskurana Yaad Aeiy Gaa

Chupey gaa Baadalon ki ott mein jub Chaand ka chehra
Dupattey se mera woh "Moonh" chupaana Yaad Aeiy Gaa

Barhey gee shaam jub aaiey Shafaq ki surkhiyaan le kur
Tu mera woh "Haath" pe Mehndi rachaana Yaad Aeiy Gaa

Buhut kuch yaad aaiey gaa tumhein meri judaai mein
Khanakti "Chooriyon" ka Gungunaana Yaad Aeiy Gaa

Jhuka paao gey jub tum kissi nazuk si daali ko
"Haiya" ke bojh se sar ko jhukaana Yaad Aeiy Gaa

Karakti Bijliyaan maazi ke afsaaney sunaaien gee
Woh darr ke "Baazu'on " mein Kapkapaana Yaad Aeiy Gaa

Dum-e-Rukhsat ki woh ghariyaan musalsal yaad aaien gee
"Lipatt" kar tum se woh Aansoo Bahaana Yaad Aeiy Gaa

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar

Yeh rukay agar to nishaan milay, yeh nishaan milay

Keh jo faaslon ki saleeb hai

Ye gari hui hai kahaan kahaan

Mere aasmaan se kidhar gayee tere iltefaat ki kehkashaan

Mere bekhabar, mere benishaa.n

Ye rukay agar to pata chalay

Main tha kis nagar, tu raha kahaan

Keh zaman-o-makaan ki vus'atain

Tujhay dekhnay ko taras gayeen

Vo meray naseeb ki barishain

Kisi aur chatt pe baras gayeen

Meray chaar soo hai vo gubhaar-e-jaa.n, vo fishaar-e-jaa.n

Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki

Mere khaab se teray baam tak

Teri rehguzar ka to zikr kia

Nahin zaufishaan tera naam tak

Hain dhuaan dhuaan meray usthakhvan

Meray aansuon mein bujhay huay meray ustakhvan

Meray naqsha gar, meray naqsha jaa.n



Isi raig-e-dasht-e-firaaq mein rahay muntazir teray muntazir

Meray khaab jin ke fishaar mein

Rahi meray haal se bekhabar

Teri rehguzar

Teri rehguzar ke jo naqsh hai meray haath per

Magar is bala ki hai teergi

Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki

Vo jo chashm-e-sho’bida saaz thi vo uthay agar

Mere ustakhvan mein ho raushni

Usi aik lamha-e-deed mein teri rehguzar

Meri teera jaa.n mein chamak uthay

Meray khaab say tere baam tak

Sabhi manzaron mein damak uthay

Usi aik pal mein ho jaavidaa.n

Meri arzoo ke hai be-karaa.n

Meri zindagi ke hai mukhtasar

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar



Amjad Islam Amjad

Phir Raat Thami..

Phir Raat thami........
Phir dil ne Kaha Sirf Teri Kami................ ..

Phir Yadoon K Jhonkay Mehkay,
Phir Pagal Arman Behkay ,
Phir Janat Si Lagnay lagi ye zameen ............
Phir Dil Ne Kaha Sirf Teri Kami................ ..........

Phir Guzray Lamhoon Ki Batain,
Phir Jagi Jagi Si ratain,
Phir Tehar Gayi,Palkoon Pay Nami................
Phir Dil Ne Kaha Sirf Teri Kami................ ...........

Kuch Din TO Baso Meri Aankhon Mein

kuch din to baso meri ankhon main
phir khwab agar ho jao to kya

koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya

ik aina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya

main tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya

jab ham hi na mahak phir sahib
tum bad-e-saba kahlao to kya

jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya

Mohabbat Farz Jaisi Hai,

Mohabbat Farz Jaisi Hai,
Nibhana Seekh Jaoge,
Dilon Pe Qarz Jaisi Hai,
Chukana Seekh Jaoge,
…Labon Pe Phool Jaisi Hai,
...Khilana Seekh Jaoge,
Nazar Main Aag Jaisi Hai,
Lagana Seekh Jaoge,
Tum Tak Faasla Jo Hai,
Mitana Seekh Jaoge,
Kabhi Jo Dil Main Aa Baithay,
Zamana Bhool Jaoge................!!

Barey Anjan Mousam Mein

baray anjaan mousam main
bohot berang lamhon main,
bina aahat bina dastak
bohot masoom sa sapna
utar aaya hay aankho main
bina soochey bina samjhay,
kaha hay dil ne chupke se,
haan is masoom sapnay ko,
aankho main jagha de do!
bina roke bina bole
jhuka diya hay sar hum ne!
magar tabeer kya hogi,
ye hum janey na dil janey
bus maloom hay itna...
k dil k faislay aksar
"humain kam raas aaye hain

Amada e Fana Hoon Kisi Aor Ke

Ab To Lout Aa

Akheri E Mail

Aajiz Tha Be Ijz Nibhai

Ager Sahil Se Niklo Ge...

Hijar Ka Tara Doob Chala Hai

Un Kahi Baten.....

un kahi batoon ko
un sunay lafzoon ko
qaid say rehaey do
ke warna .....
guzrya hoyay kal ki
chubhan ki bazgasht ....
mairi koey unkahi
tumhari koey unsuni
aanay walay kal main
achanak kabhi takrai to
ankhain khoon rooain gi
zubaan laRkharaey gi
samAt kalbalaey gi .
zindigi dagmagaey gi.
jis chubhan pe zinda thay
ik pal main na rahi
to
usi pal mar jao gay

Ager Kabhi Meri Yaad Aae To....

Wehshaten Barhti Gain Hijr Ke Azar Ke Sath

Ae Abar Tera Jab Bhi Yahan Se Guzar Hua Hai..

Abhi To Hum Ko Hansna Hai

Aap Jaise Yahan Funkar Bahot Miltey Hain

Aankh Aankh Jab Sehra Phailta Nazar Atta Hai

Aaj Ki Shab To Kisi Tor Guzar Jae Gi

Janan Tum Ne Apne Khat Mein

Saturday, May 28, 2011

Kaise Kaise Hadsey Sehte Rahe

Bikher Rahe Hain Meri Zindagi Ke Tamam Warq

Neenden Hamari Chura Gia Ek Shaksh

Dil e Hazen Ko Mohabbat Ke Jaal Mein Rakha

Mere Khial Ko Nisbat Hui Madeene Se

Chandani December Ki

Tum Jo Ek Bar Aao

Mein Ne Us Se Kaha

Milen Gi Hum Ko Bhi

Fasley Qurb Ki Pehchan Hua Kartey Hain

Khushi Se Khak Mein Khalqat

Zaroor Koi Kami Meri Apni Zaat Mein hai

Ae Larki ...Suno..!

Poorey Chand Ki Raat

Jab Wo Mera Naam

Monday, May 23, 2011

Ajab Pagal Si Larki Hai

Ajab Pagal Si larki hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN”
mairi baatain sata-ti hain
...mairi neendain jagati hain
mairi aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhee teheltay ho?
kisi khamosh rastay se
koi awaaz aati hai?
TheTharti serd raatoN main
tum abb bhee chatt pe jaatay ho?
falak k sab sitarooN ko
mairi baatain sunatay ho?
kitabooN se tumharay ishq main koi kammi aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nammi aai?
Ajab pagal c lerki hai
mujhay her khat main likhti hai. . . .

Wo Jo Aa Jatey They Aankhon Mein Sitarey Le Kar

Wo Jo Aa Jatey They Aankhon Mein Sitarey Le Kar
Janey Kis Des Gae Khawab Hamare Le Kar,

Chahon Mein Baithney Waley Hi To Sab Se Pehley
Per Girta Hai To Aa Jatey Hain Aarey Le Kar,

Wo Jo Aasodah E Sahil Hain Unhen Kia Ma'loom
Ab K Mouj Aai To Paltey Gi Kinarey Le Kar,

Aiasa Lagta Hai Ke Har Mousam e Hijran Mein Bahar
Hont Rakh Deti Hai Shakhon Pe Tumharey Le Kar

Shaher Walon Ko Kahan Yaad Hai Wo Khawab Farosh
Phirta Rehta Tha Jo Galion Mein Ghubarey Le Kar,

Naqd E Jaan Sarf Hua Kulfat E Hasti Mein Faraz
Ab Jo Zinda Hain To Kuch Sans Udharey Le kar

Ahmed Faraz

Sab Se Chupa Kar Dard Jo Wo Muskara Dia

Sab Se Chupa Kar Dard Jo Wo Muskura Dia
Us Ki Hansi Ne To Aaj Mujhe Rula Dia

Lehje Se Uth Raha Tha Har Ek Dard Ka Dhuan
Chehra Bata Raha Tha K Kuch Ganwa Dia

Aawaz Mein Thehrao Tha Aankhon Mein Nami Thi
Or Keh Raha Tha Mein Ne Sab Kuch Bhula Dia

Janey Kia Us Ko Logon SE Thein Shikayatein
Tanhaiyon Ke Daes Mein Khud Ko Basa Dia

Khud Bhi Wo Hum Se Bicher Kar Adhura Sa Ho Gia
Mujh Ko Bhi Itney Logon Mein Tanha Bana Dia

Mein Ab Sone Se Darta Hoon

Kaha Tha Naan,
Is Tarah Sote Mein Matt Chor Ke Jana,
Mujhe Be Shak Jaga Dena,
Bata Dena,
Mohabbat Ke Safar Mein,
Sath Mere Chal Nahin Saktey,
Judai Ke Safar Mein
Sath Mere Chal Nahi Saktey,
Tumhen Rasta Badalna Hai...
Thumhen Kis Baat Ka Dar Tha....!
Tumhen Janey Nahi Deta..?
Kahin Pe Qaid Kar Leta..?
Arey Pagli.....

Udas Kion Ho

Gulab Rut Mein Haseen Chehro
Hamein Batao Usad Kion Ho,
Dilon Pe Beeti Sari Kahanian
Sab Sunao Udas Kion Ho,
Jo Ranjishein Dil Mein Pal Rahi Hain
Munafqat Mein Jo Dhal Rahi Hain
Bhula Ke Shikwey Mita Ke Doori
Galey Lagao Udas Kion Ho,
Kitab E Dil Ke Tamam Safhon Pe
Hum Ne Likha Hai Lafz Mohabbat
Hamein Hamari Wafa Ke Agey
Saza Sunao Udas Kion Ho
Fareb Khana Bhi Mashghala Hai
Fareb Dena Bhi Mashghala Hai
To Dil Ke Lutney Pe Kaisa Maatam
Khushi Manao Udas Kion Ho

Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai

Jisay Tum Zindagi Jano
Tumhain wo rog kehta ho
Kay jis nay khud hi chahat se tumhara haath thama ho
Wo apna dil kay darwazay Tumhi par band kar day to
Mohabbat mar bhi sakti hai
Tumhain sangsaar karnay ko jo sang bantay logon main
Saba ko roknay ko quful dalay dareechon main
Kar kay band ghar main saans par pehray lagaey to
Mohabbat mar bhi sakti hai
Ye kis nay keh diya tum se mohabbat mur nhai sakti
Kay jab koi tumhain jaan se guzar janay ko kehta ho
Aadhi raah main khud hi mur janay ko kehta ho
Wo apni bewafae ka khud hi aitraaf kar lay to
Mohabbat mar bhi sakti hai
Mohabbat mar bhi sakti hai

Sab Se Chupa Kar Dard Jo Wo Muskara Dia

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Sunday, May 22, 2011

Andaz Hu Baa Hu Teri Awaz e Paa Ka Tha

Andaz Hu Baa Hu Teri Awaz e Paa Ka Tha
Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha,

Utha Ajab Tazzad Se Insan Ka Zameer
Aadi Fana Ka Tha To Pujari Baqa Ka Tha,

Is Rishta e Lateef Ke Israr Kia Khulen
Tu Samney Tha Aor Tasswur Khuda Ka Tha,

Toota To Kitney Aina Khanon Pe Zad Pari
Atka Hua Galey Mein Jo Pather Sada Ka Tha,

Chhup Chhup Ke Roan Aor Sar E Anjuman Hanson
Mujh Ko Ye Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha,

Dil Rakh Ho Chuka To Chamak Aor Barh Gai
Ye Teri Yaad Thi Ke Amal Keemia Ka Tha,

Is Hussan E Itefaq Pe Lut Kar Bhi Shad Hoon
Teri Raza Jo Thi Wo Taqaza Wafa Ka Tha,

Hairan Hoon Ke War Se Kaise Bacha Nadeem
Wo Shakhs To Ghareeb O Ghaioor Inteha Ka Tha

Ahmed Nadeem Qasimi

Her Dard Pehan Lena Her Khawab Mein Kho Jana

Her Dard Pehan Lena Her Khawab Mein Kho Jana
Kia Apni Tabiat Hai, Her Shakhs Ka Ho Jana,

Ek Shaher Basa Lena Bichherey Huey Logon Ka
Phir Shab Ke Jazeerey Mein Dil Tham Ke So Jana,

Mouzu E Sukhan Kuch Ho, Ta'ader Usey Takna
Her Lafz Pe Ruk Jana, Her Baat Pe Kho Jana,

Aana To Bikher Jana Sanson Mein Mahik Ban Kar
Jana To Kalejey Mein Kantey Se Chabho Jana,

Jatey Huey Chup Rehna Un Bolti Aankhon Ka
Khamosh Takkalum Se Palkon Ko Bhigo Jana,

Lafzon Mein Utar Aana Un Phool Se Honton Ka
Ek Lamas Ki Khushboo Ka Pooron Mein Samo Jana,

Her Sham Azzaim Ke Kuch Mahal Bana Lena
Her Subha Iradon Ki Dehleez Pe So Jana

Aitbar Sajid

Raston Mein Koi Rasta Mo'tabir Aisa To Ho

Raston Mein Koi Rasta Mo'tabir Aisa To Ho
Manzilen Nazan Hoon Jis Per Ek Safar Aisa To Ho,

Sham Dhaltey Hi Hamen Zanjeer Pehnaney Lagey
Mehfilon Mein Bhi Hamen Yaad Aae Ghar Aisa To Ho,

Jis Ke Daman Mein Ulat Deen Apney Dil Ki Kirchian
Is Hajoom e Shaher Mein Ek Chara Gar Aisa To Ho,

Phir Kahen Mil Jain Hum Tark e Ta'luq Ke Laye
Hijar Jaan Lewa Sahi, Bar e Dagar Aisa To Ho,

Kis Laye Hum Zehmat Araish e Khana Karen
Haal e Dil Jaisa Hai Rang e Bam O Dar Aisa To Ho,

Be Nawa Galion Mein Hum Kia Dastaken Dete Phiren
Koi Sajid Sahib e Zanjeer e Dar Aisa To Ho

Aitbar Sajid

Ye Kam Dosron Se Na Le Yaar, Tu Hi Kar

Ye Kam Dosron Se Na Le Yaar, Tu Hi Kar
Mein Tera Shaher Hoon Mujhe Masmar Tu Hi Kar,

Tu Ne Hi Phool Boey They, Insaf To Ye Hai
Apney Lahoo Se Parwarish e Khar Tu Hi Kar,

Tark e Ta'luqqat Ki Nobat To Aa Chuki
Lekin Jawaz Dhoond Kar Izhar Tu Hi Kar,

Farma Rahe Hain Wo Mujhe Eazaz Bakhsh Ke
Le Ab Hifazat e Sar O Dastar Tu Hi Kar,

Apna Makalma To Makeenon Ke Sath Hai
Piarey, Sataish e Dar O Diwar Tu Hi Kar

Aitbar Sajid

Taakeed

Usey Kehna
Ager Aae, To Sath Apney
Koi Jugnu, Koi Tara Bhi Le Aaye
Ke
Mera Dill
Mere Ghar Ki Tarah
Tareek Rehta Hai..

Tabish Kamal

Dekhne Wali Aankain Peeche Reh Jati Hain

Yeh umar tumhari aisi hai
Jab aasman se tare torh k le aana bhi
Sach much mumkin lagta hai
Shaher ka her abad ilaqa
Apna aangan lagta hai
Yun lagta hai jaise her din
Her ik manzar
Tum se ijazat le ker apni shakal moayen kerta hai!
Jo chaho wo ho jata hai jo socho wo ho sakta hai!
Lakin aye is kachi umar ki barish mein mastana phirti chanchal larki!
Yeh badal jo aaj tumhari chat per ruk ker tum se batein kerta hai
Ik saya hai,
Tum se pehle aur tumhare baad k her ik mosam mein yeh
Her ik chat per aise he aur issi tarah se
Dhoke bant’ta phirta hai
Subh-e-azal se sham-e-abad tak! Aik he khail aur aik he manzar 
Dekhne wali her aankh ko her baar dikhaya jata hai
Aye sapnon ki saij pe sone jagne wali pyari larki!
Tere khawab jiyen,
Lakin itna dhayan mein rakhna jeewan ki is khawab sara k sare manzar,
Waqt k qaidi hote hain jo, apni ro mein
In ko sath liye jata hai
Dekhne wali aankhain peeche reh jati hai...........

Mohabbat Rooth Jaye To...

Mohabbat Rooth Jaye To......
Usey Banhon Mein Le Lena...
Bahot He Paas Rakhna Tum...
Usey Janey Nahi Dena...........
Wo Daman Bhi Chhuraye To.
Usey Tum Qasam De Dena...
Dilon Ke Ma'mlon Mein To...
Khatain Ho Hi Jati Hain.........
Mager Tum In Khataon Ko...
Bahana Mat Bana Lena........
Usey Jaldi Mana Lena........!!

Wafa Wo Shakhs Mere Sath Bhi Na Kar Paya

Wafa Wo Shakhs Mere Sath Bhi Na Kar Paya,
Bichhertey Waqat Mulaqat Bhi Na Kar Paya
Sitarey Tor Ke Lana To Ghair Mumkin Tha
Wo Mere Haq Mein Koi Baat Bhi Na Kar Paya
Ye Dukh Nahin Ke Raheen Bad Gumanian Tabish
Ye Ranj Hai Ke Shikayat Bhi Na Kar Paya

Tabish Kamal

Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi

Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi So Mein Ne Jewan War Dia
Mein Kaisa Zinda Aadmi Tha Ek Shakhs Ne Mujh Ko Maar Dia,

Ek Sabz Shakh Gulab Ki Thi Ek Dunya Apney Khawab Ki Thi
Wo Ek Bahar Jo Aai Nahi Us Ke Laye Sab Kuch Haar Dia,

Ye Saja Sajjia Ghar Sathi Meri Zaat Nahi Mera Haal Nahi
Ae Kash..! Kabhi Tum Jan Sako Is Sukh Ne Jo Aazar Dia,

Mein Khuli Hui Ek Sachai, Mujhe Jan'naney Waley Jantey Hain
Mein Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aor Kin Logon Ko Piar Dia,

Wo Ishq Bahot Mushkil Tha Magar Aasan Na Tha Youn Jeena Bhi
Is Ishq Ne Zinda Rehney Ka Mujhe Zarf Dia, Pindar Dia..

Ubaid Ullah Aaleem

Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna,

Kabhi Is Nagar Tujhe Dekhna, Kabhi Us Nagar Tujhe Dhoondna,
Kabhi Raat Bhar Tujhe Sochna, Kabhi Raat Bhar Tujhe Dhoondna,

Mujhe Ja Ba Ja Teri Justoju, Tujhe Dhoondta Hoon Mein Ku Ba Ku,
Kahan Khul Saka Tere Rubaru Mera Is Qadar Tujhe Dhoondna,

Mera Khawab Tha Ke Khial Tha, Wo Urooj Tha Ke Ziwal Tha,
Kabhi Arsh Per Tujhe Dekhna, Kabhi Farsh Per TUjhe Dhoondna,

Yahan Her Kisi Se Hi Bair Hai, Tera Shaher Qarria e Ghair Hai,
Yahan Sahel Bhi To Nahi Koi Mere Bekhabar Tujhe Dhoondna,

Teri Yaad Aai To Ro Dia, Jo Tu Mil Gia Tujhe Kho Dia,
Mere Silsaley Bhi Ajeeb Hain Tujhe Chhor Kar Tujhe Dhoondna,

Ye Meri Ghazal Ka Kamal Hai Ke Teri Nazar Ka Jamal Hai,
Tujhe Sher Sher Sochna, Sar e Bam O Dar Tujhe Dhoondna

Tabish Kamal

Koun Kehta Hai Ke Mout Aai To Mar Jaon Ga...!

 Koun Kehta Hai Ke Mout Aai To Mar Jaon Ga...!
Mein To Darya Hoon, Samandar Mein Utar Jaon Ga

Tere Pehloo Se Jo Uthoon Ga To Mushkil Ye Hai
Sirf Ek Shakhs Ko Paon Ga...Jidher Jaon Ga..

Ab Tere Shaher Mein Aaon Ga Musafir Ki Tarah
Saya e Abar Ki Manind Guzar Jaon Ga

Tera Paiman e Wafa Rah Ki Diwar Bana
Warna Socha Tha Ke Jab Chahon Ga, Mar Jaon Ga

Chara Sazon Se Alag Hai Mera Meiar Ke Mein
Zakham Khaon Ga To Kuch Aor Sanwar Jaon Ga

Ab To Khursheed Ko Doobey Huey Sadian Guzaren
Ab Usey Dhoondney Mein Ta Ba Sahar Jaon Ga

Zindagi Shama Ki Manind Jalata Hoon Nadeem
Bujh To Jaon Ga Magar Subha To Kar Jaon Ga

Ahmed Nadeem Qasimi

Kitney Log Hain....

Kitney Log Hain...
Mere Milney Waley...!
Mere Chahney Waley...!
Mere Sung Hansaney Waley..!
Mere Dukh Mein Roney Waley..!
Phir Bhi Janey Kion Khawahish Hai...!
Koi.....
.
.
.
.
TUM Sa HO....!

Apne Dil Ki Halat Wo

Apney Dil Ki Halat Wo Kisi Ko Dikhata Na Tha,
Usey Kia Gham Hai Wo Kisi Ko Batata Na Tha,
Khizan Ka Mousam Jab Se Uska Naseeb Hi Thehra,
Usey Tab Se Koi Or Mousam Bhata Na Tha,
Logon Ko Hansany Ke Wastey Zindagi Bita Di Us Ne,
Kitna Ajeeb Tha Wo Shakhs Khud Muskurata Na Tha,
Janey Kis Ke Intezar Mein Baitha Rehta Tha Subh-o-Sham,
Misl e Moorat Bana Wo Palk Bhi Jhapkata Na Tha,
Aaj Reh Reh Kar Yaad Aaya Wo......!
Jo Dua De Kar Bhi Dua Batata Na Tha....!

Gila Hai Tum Se

Gila hay Tum Se 

K Tum Kiyon Udaas Rehty hO

Gila hay Tum Se

Tum Kiyon Naraz Rehty hO?

Gila Tu Yeh Bhee hay K.....

Tum Samajh nahi Sakte

jO MerY Dil Mein hain ..............

hazaaron .......

Shikaytein Chupi....

Tu Mere Sath Chal Na Payegi

Tu Mere Sath Chal Na Payegi..
Jab Meri Rah Teri Rah SE Milti Hi Nahi,
Phir Mera Saath Nibhane Ki Zarorat Kia Hai
Apni Masoom Tamanaon Ko Rehbar Na Bana
Khawab Phir Khawab Hai, Labon Ki Haqeeqat Kia Hai
Ye Nayi Rah Tujhe Ras Nahi Ayegi

Mein Ne Mana Ke Tujhe Mujh Se Mohabbat Hai Magar
Meri Ghurbat Teri Chahat Ka Sila Kia De Gi,
Apni Mehroomi e Qismat Se Pareshan Hoon Mein,
Bebasi Ashq-e-Nadamat Ke Siwa Kia De Gi,
Waqt Ki Dhoop Mein Har Cheez Jhulas Jaye Gi,

Friday, May 20, 2011

Es Kari Dhoop Mein Jaltey Hue Paaon Ki Tarah

Es Kari Dhoop Mein Jaltey Hue Paaon Ki Tarah
Tu Kisi Aor Ke Aangan Mein Hai Chhaon Ki Tarah
Tu To Waqif Hai Mere Jazbon Ki Sachaai Se
Phir Kion Khamosh Hai Pather Ke Khudaon Ki Tarah
Mein To Khushbu Ki Tarah Sath Raha Hoon Tere
Tu Bhatkta Raha Bechain Hawaon Ki Tarah
Wo Jo Barbad Hue They Wohi Bad Nam Hue Hain
Tu To Masoom Raha Apni Adaon Ki Tarah
Gham To Ye Hai K Humein Koi Khushi Raas Nahi
Zindagi Kaat Rahey Hain Hum Sazaon Ki Tarah

Marne ka Tere Gham Mein

Marne ka Tere Gham Mein Irada Bhi Nahin Hai
Hai Ishq Magar, Itna Ziyada Bhi Nahin Hai

Hai Yun Ke Ibadat Ki Zaban Aur Hai Ko’ii
Kaghaz Meri Taqdeer Ka Sada Bhi Nahin Hai

Kyun Dekhte Rehte Hain Sitaron Ki Taraf Hum
Jab Un Se Mulaqat Ka Wada Bhi Nahin Hai

kyun Rah Ke Manzar Mein Ulajh Jaati Hain Aankhen
Jab Dil Mein Ko’i Aur Irada Bhi Nahin Hai

Kyun Uski Taraf Dekh K Paon Nahin Uthtey
Wo Shakhs Haseen Itna Ziyada Bhi Nahin Hai

Kis Mor Pe Le Aaya Hamen Hijr-e-musalsal
Taa Had- e-Nigah Wisal Ka Wada Bhi Nahin Hai

Pathar ki Tarah Sard Hai Kyun Aankh Kisi Ki
Amjad jo bicharne Ka Iradah Bhi Nahin 
Hai

Meray Muqablay Mein Dil Kisi Pe Haar

Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh
Baghair meray zaraa Zindagi guzaar k daikh

Tujhay nahin hai meri shiddaton ka andaaza
Kisi bhi simt se mujh ko kabhi pukaar k daikh

Tu aa k mera sabhi kuchh he chheen k le ja
Mohabbaton ka mera Qarz yun utaar k daikh

Boht hi pyaar se daikhay ga Aina tujhko
Kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k daikh

Bisaat-e-Dil pe ajab hai Shikast-e-Zaat ka Lutf
Jahan pe JEET attal ho, wo CHAAL HAAR k daik

Wo Ruk Gia Ho Mujhe Haiwan Kehte Kehte

Gongi Ho Gai Zaban Aaj Kuch Kehte Kehte
Hichkacha Gia Mein Khud Ko Muslman Kehte Kehte
Ye Baat To Nahi Ke Mujhe Us Pe Yaqen Nahi
Bas Dar Gia Mein Khud Ko Sahib e Eman Kehte Kehte
Taufeeq Na Hui Mujhe Ek Waqat Ki Namaz Parhon
Aor Chup Hua Muazan Azan Kehte Kehte
Kisi Kafir Ne Jo Poocha Ye Kia Hai Maheena
Sharam Se Pani Ho Gia Mein Ramzan Kehte Kehte
Meri Shalf Mein Gard Se Atti Kitab Ka Jo Pocha
Mein Gad Gia Zamen Mein Quran Kehte Kehte
Ye Sun Kar Us Ne Chup Sadh Li Ke Youn
Jaise Wo Ruk Gia Ho Mujhe Haiwan Kehte Kehte

Thursday, May 19, 2011

Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Ke Roye

Meri dastan-e-Hasrat Wo Suna Suna Ke Roye…
Mere Azmane Wale Mujhe Aazma ke Roye….
Koi Asia Ahl-e-Dil Jo ke Fasana-e-Mohabbat…
Me Use Suna ke Ro’un, Wo Mujhe Suna Ke Roye…
Mere Arzoo Ki Dunya…Dil-e-Natwaan Ki Hasrat…
Jise Kho Ke Shadman The, Use Aaj Paa Ke Roye…
Teri Be-Wafayion Pe…Teri Kaj Adayion Pe..
Kabhi Sir Jhuka ke Roye..Kabhi Munh Chupa Ke Roye…
Jo Sunayi Anjuman Mein Shab-e-Gham Ki Aab-Beeti..
Kayi Ro Ke Muskuray…Kayi Muskura Ke Roye…!!!

Saif ud Din Saif

Dil Ki Choukhat Pe Jo Ek Deep Jala Rakha Hai

Dil ki Chokhat Pe Jo Ek Deep Jala Rakha hai ,
Tere Lout Ane Ka Imkan Saja Rakha hai,
Sans tak Bhi Nahi Lete Hain tujhe Sochte Waqt ,
Hum Ne is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai,
Rooth Jate Ho To Kuch Or Bhi Haseen Lagte Ho,
Hum Ne Yeh Soch Ke Tum Ko Khafa Rakha Hai,
Tum Jisse Rota Hua Chor Gaye The Ek Din,
Hum Ne Is Shaam Ko Seeney Se Laga Rakha Hai,
Chain Layne Nahin Deta Yeh Kisi Tor Mujhe,
Teri Yadon Ne Jo Toofan Utha Rakha Hai,
Jane Wale Ne Kaha Tha Ke Wo lotay ga zarur,
Ek Issi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hai ,
Terey Jane Se Jo Ek Dhool Uthi Thi Ghum Ki,
Hum Ne Is Dhool Ko Ankhoun Mein Bassa Rakha Hai,
Mujh Ko Kal Sham Se Wo Yaad Bahut Ane Laga,
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shaks Bhula Rakha Hai,
Akhri Bar Jo Aya Tha Mere Naam Wasi,
Mein Ne Us Khat Ko Kalije Se Laga Rakha Hai


Wasi Shah

Hum Dasht Ke Basi Hain

Hum Dasht K Basi Hain, Ae Shaher Ke Logo,
Ye Rooh Piyasi, Hamen Wirsay Main Mili Hai.

Dukh Dard Se Sadion Ka Ta'alluq Hai Hamara,
Ankhon Ki Ye Udasi, Hamen Wirsay Main Mili Hai,

Jaan Dey-na Riwayat Hai Qabilay Ki Hamarey,
Ye Surkh Libasi, Hamen Wirsay Main Mili Hai,

Jo Baat Bhi Kehtay Hain Utar Jati Hai Dil Main,
Taseer Juda Si Hamen Wirsay Main Mili Hai,

Jo Hath bhi Thaama Hai SADA Sath Raha Hai,
Ahbaab Shanashi Hamen Wirsay Main Mili Hai,

Dayar-e-Ghair Main Kaise Tujhe Sadaa Detey

Dayar-e-Ghair Main Kaise Tujhe Sadaa Dete
Tuu Mil Bhi Jata To Akhir Tujhe Ganva Dete
Tum Hi Ne Ham Ko Sunaya Na Hal-e-Dil Apana Warna
Duaa Wo Karte Ke Aasmaan Hilaa Dete
Hamen Ye Zoam Rahaa Ab Ke Wo Pukaarenge
Unhen Ye Zid Thi Ke Har Bar Ham Sadaa Dete
Vo Teraa Gham Thaa Ke Taasiir Mere Lehaje Ki
Ke Jis Ko Haal Sunaate, Usey Rulaa Dete
Tumhen Bhulana Hi Awwal To Dastaras Main Nahi
Jo Ikhtiyaar Bhii Hotaa To Kyaa Bhulaa Dete
Samaton Ko Main Taa-Umer Kostaa Hi Raha
Wo Kuchh Na Kehete Magar Hont To Hilaa Dete

Ret Par Likh Ke Mera Naam Mitaya Na Karo

Ret Par Likh k mera nam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo
log har bat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo
ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho
pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsas main patthar bahut hain ‘Mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon main Sajaya Na karo
Mohsin Naqvi

StatCounter