Sunday, May 22, 2011

Dekhne Wali Aankain Peeche Reh Jati Hain

Yeh umar tumhari aisi hai
Jab aasman se tare torh k le aana bhi
Sach much mumkin lagta hai
Shaher ka her abad ilaqa
Apna aangan lagta hai
Yun lagta hai jaise her din
Her ik manzar
Tum se ijazat le ker apni shakal moayen kerta hai!
Jo chaho wo ho jata hai jo socho wo ho sakta hai!
Lakin aye is kachi umar ki barish mein mastana phirti chanchal larki!
Yeh badal jo aaj tumhari chat per ruk ker tum se batein kerta hai
Ik saya hai,
Tum se pehle aur tumhare baad k her ik mosam mein yeh
Her ik chat per aise he aur issi tarah se
Dhoke bant’ta phirta hai
Subh-e-azal se sham-e-abad tak! Aik he khail aur aik he manzar 
Dekhne wali her aankh ko her baar dikhaya jata hai
Aye sapnon ki saij pe sone jagne wali pyari larki!
Tere khawab jiyen,
Lakin itna dhayan mein rakhna jeewan ki is khawab sara k sare manzar,
Waqt k qaidi hote hain jo, apni ro mein
In ko sath liye jata hai
Dekhne wali aankhain peeche reh jati hai...........

No comments:

Post a Comment

StatCounter