Wednesday, September 14, 2011

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai

Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Uski Marzi Ke Wo Hizan Ko Bahar Likh De
Bahar Ko Intazar Likh De
Sufer Ki Khuwahish Ko
Wehmoon Ke Azab Se Humkinar Ker De
Wafa Ke Rastoon Pe Chalne Waloon Ki Kismatoon Main
Ghubar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Hawa Ki Marzi
Ke Wisel Mousam Main Hijer Ko Hissa Dar Likh De
Muhabbtoon Main Ghuzrnay Wali Ratoon Ko
Na Paidaar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Uski Marzi
Ke Hamaray Diye Bhuja Ker
Shaboon Ko Baikhtiyar Likh De
Hawa Ko Likhna Sikhanay Waloo!!!
“Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai”

No comments:

Post a Comment

StatCounter