kahan aa k rukney they rastey!kahan more tha!usey bhool ja
wo jo mil gaya usey yad rakh,jo nahi mila usey bhool ja
wo trey naseeb ki barishain kisi aor chat per bars gain
dil-bekhabar mirey bat sun usey bhool ja,usey bhool ja
main to gum tha terey hidhian main,tri aas,terey guman main
saba keh gay mirey kan main,mrey sath aa,usey bhool ja
kisi ankh main nahi ashk-gham,trey ba'ad kuch bhi nahi hai kam
tujhey zindagi ney bhula dya,tu bhi muskra,usey bhool ja
kahin chak jan ka rafu nahi,kisi aasteen pe lahu nahi
k shaheed rah-milal ka nahi khoon baha,usey bhool ja
uon ata hua hai ghubar main, gham-zindagi k fishar main
wo jo darj tha trey bakht main,so wo ho gaya,usey bhool ja
na wo aankh hi tri aankh thi,na wo khawab hi tra khawab tha
dil muntazir to ye kis liye, tra jagna, usey bhool ja
ye jo rat din ka hai khail sa, isey daikh,is par yaqeen na kar
nahi aqs koi bhi mustaqil, sar-aaina, usey bhool ja
jo basat-jan hi ulat gaya, wo jo rastey sey palat gaya
usey rokney sai husool kia,usey mat bula,usey bhool ja
to ye kis liye shab hijer k usey har ditarey main daikhna
wo falak k jis pe miley they ham,koi aor tha, usey bhool ja
tujhey chand ban k mila tha jo, trey sahelon pe khila tha jo
wo tha aik darya wisal ka,so utar gaya, usey bhool ja
No comments:
Post a Comment