Tuesday, October 11, 2011

Khuwab Nagar Hai Aankhein Khole Dekh Raha Hun

Khuwab Nagar Hai Aankhein Khole Dekh Raha Hun
Us Ko Apni Janib Aata Dekh Raha Hun

Kisi Ki Aahat Qariya Qariya Phel Rahi Hai
Deewaaron Ke Rang Badalte Dekh Raha Hun

Kon Mere Jaadu Se Bach Kar Ja Sakta Hai!
Aienaa Hun, Sab Ke Chehre Dekh Raha Hun

Darwaaze Par Tez Hawaaon Ka Pehra Hai
Ghar Ke Andar Chup Ke Saaye Dekh Raha Hun

Manzar Manzar Weeraani Ne Jaal Taane Hain
Gulshan Gulshan Bikhre Pattey Dekh Raha Hun

Manzil Manzil Hol Mai Doobi Aawazein Hain
Rasta Rasta Khauf Ke Pehrey Dekh Raha Hun

Shehr-E-Sangdil Mai AMJAD Har Raaste Par
Aawazon Ke Pathar Chalte Dekh Raha Hun

No comments:

Post a Comment

StatCounter