Bhuule Na Kisii Haal Men Aadaab-E-Nazar Ham
Mur Kar Na Tujhe Dekh Sake Vaqt-E-Safar Ham
Ai Husn! Kisii Ne Tujhe Itnaa To Na Chaahaa
Barbaad Hu’aa Tere Liye Kaun, Magar Ham
Jiine Ka Hamen Khud Na Milaa Vaqt To Kyaa Hai
Logon Ko Sikhlaate Rahe Jiine Kaa Hunar Ham
Ab Tere Ta’lluq Se Hamen Yaad Hai Itnaa
Ek Raat Ko Mehmaan Rahe The Tere Ghar Ham
Duniyaa Kii Kisii Chhaanv Se Dhundlaa Nahiin Saktaa
Aankhon Men Liye Phirte Hain Jo Khvaab-E-Sehar Ham

No comments:
Post a Comment