Maikhane Men Ay Saaqi Yeh Raat Suhaani Hai,
Har aik K Saaghr Men Angoor Ka Paani Hai,
Paimaane se Ay Saaqi Kuch Nasha Nahi Hota,
Aankhon Se Pila Mujh Ko Jo Mai Hi Pilaani Hai,
Ham Aaj Na Khaein Ge Taoba Ki Qasm Saaqi,
La Aaj Pila Mujh Ko Jitni Bhi Pilaani Hai,
Keh Do yeh Hseenon Se Maghroor Ho tum Jis Par,
Dhal Jaay Ga Yeh Ek Din, Yeh Husn To Faani Hai,
In Chand Sitaaron K Lab par Yeh Fasaana Hai,
Main Raat Ka Raaja Hoon Wo Raat Ki Raani Hai,
Ay Kaash"Sagar" un Se Yeh Baat Koi Keh De,
Do Din ki hai Yeh Dunia do Din Ki Jawaani Hai.

gr888 ghazal h dear awesm suprb
ReplyDeleteilove u yar