Tuesday, August 16, 2011

Mohaal Tha K Men Aazaad-E-Do Jahaah Hota


Mohaal Tha K Men Aazaad-E-Do Jahaah Hota
Baqaid-E-Jism Na Hota, Baqaid-E-Jaa,N Hota

Nihaan Kiye Se Kahin Raaz-E-Ghum Niha,N Hota
Zabaan Dahan Mein Na Hoti, To Main Zaba,N Hotaa

Yeh Sochta Hun Thikaana Mera Kaha,N Hota
Agar Woh Meri Tarah Mujh Se Badguma,N Hota

Mohaal Tha, K Ghum-E-Ishq , Benisha,N Hota
Jo Main Nahin, To Meri Aah Ka Dhhua,N Hota

Jo Main Khud Apni Haqeeqat Ka Raazda,N Hota
Tamaam Manzar-E-Fitrat, Miri Zaba,N Hota

Bhalaa Howaa, K Nazar Hairaton Mein Doob Gai
Kaha,N Kaha,N Na Tira Husn Raaega,N Hota

Kamaal-E-Ahl-E-Haram, Mustanad Sahi Lekin
Koi Tau Bakhabar-E-Jalwah-E-Buta,N Hota

Kaha,N Hum, Aur Kaha,N Ab Fasaana-E-Gham-E-Ishq
Woh Iltifaat Na Karty Tau Kuchh Baya,N Hota

Woh Haal-E-Dil, Lab-E-Khaamosh Sy Bhi Sunty Hain
Yeh Jaanta, Tau Na Sharmindah-E-Fughaan Hota

No comments:

Post a Comment

StatCounter