Tuesday, August 16, 2011

Nahin Minnat-Kash-E-Tab-E-Shanidan Dastan Meri


Nahin Minnat-Kash-E-Tab-E-Shanidan Dastan Meri
Khamoshi Guftagu Hai, Bezubani Hai Zaban Meri

Ye Dastur-E-Zaban-Bandi Hai Kaisi Teri Mahfil Mein
Yahan To Bat Karne Ko Tarasti Hai Zaban Meri

Uthaye Kuch Waraq Lala Ne Kuch Nargis Ne Kuch Gul Ne
Chaman Mein Har Taraf Bikhri Hui Hai Dastan Meri

Ura Li Kumariyon Ne Tutiyon Ne Andlibon Ne
Chaman Walon Ne Mil Kar Lut Li Tarz-E-Fugan Meri

Tapak Ai Shama Ansu Ban K Parwane Ki Ankhon Se
Sarapa Dard Hun Hasrat Bhari Hai Dastan Meri

Ilahi Phir Maza Kya Hai Yahan Duniya Mein Rahne Ka
Hayat-E-Jawidan Meri Na Marg-E-Nagahan Meri

No comments:

Post a Comment

StatCounter