Kamal-E-Fun Hi Mila Mujhay, Na Jamal Husn-E-Khayal Ka
Main To Na Tamam Jawab Hoon Kisi Doosray Ke Sawaal Ka
Mere Saye Se Na Simat Saka Tere Mere Dard Ka Fasla
Karain Zindagi Ke Sapurd Kya Ye To Silsila Hai Malal Ka
Mare Aaiynon Main Jami Rahi Wo Jo Raig-E- Dasht-E-Firaq Thi
Mujhay Phir Aseer Na Kar Saka Koi Rang Mazi-O-Haal Ka
Kahain Kya Kissay Koi Kya Sunay Ye Hadees-E-Dil Ka Mua'mla
Na Fasana Laila-O-Qais Ka, Na Qissa Heer Sayyal Ka
Jissay Khojti Hi Rahi Sada Tere Harf Harf Main Roz-O-Shab
Teri Ankh Main Tha Chupa Huwa Wo Jawab Mere Sawal Ka....

No comments:
Post a Comment